Pages

Tuesday, July 2, 2013

Naya ek rishta paida kyun karein hum

Naya ek rishta paida kyun karein hum

Bicharna hai to jhhagra kyon karain hum

Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri

Koi humgama barpa kyon karain hum

Ye kafi hai k hum dushman nahi hain

Wafa-Dari ka da’awa kyon karain hum

Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat

Ab inn lafzon ka peecha kyon karain hum

Suna dain ismat.E.Maryam ka qissa?

Par ab iss baab ko waa kyon karain hum

Zulekhaa.E.Azeezaan baat ye hai

Bhala ghaatay ka sauda kyon karain hum

Hamari hee tamanna kyon karo tum

Tumhari hee tamanna kyon karain hum

Kia tha e’had jab lamhon mein hum nay

To saari umar iifa kyon karain hum

Nahi dunya ko jab parwah hamari

To phir dunya ki parwah kyon karain hum

Barehna hain sar.E.Bazaar to kia

Bhala andhon se pardah kyon karain hum

Hain baashinday issi basti k hum bhi

So khud par bhi bharosa kyon karain hum

Pari rehnay do insaanon ki laashain

Zameen ka bojh halka kyon karain hum

Ye basti hai muslamaanon ki basti

Yahan kar.E.Maseeha kyon karain hum


No comments:

Post a Comment