Pages

Thursday, July 25, 2013

Hawa us se kehna

Hawa us se kehna

Hawa!



subah dam us ki ahista ahista khulti hui aankh se
khwab ki sipia chunne jae to kehna
ke hum jagte hain



Hawa us se kehna
ke jo hijar ki aaj peeti ruton ki tanabein
ragon ke sath ulajhti hui saans ke sath kas de
unhe raat ke surmai hath khairaat mein neend kab de sake hain



hawa, us ke bazoo pe likha hua koi taaweez bandhay to kehna
ke awargi oorh kar saans lete musafir
tujhe khojte khojte thak gai hain




hawa us se kehna 
ke hum ne tujhe khojne ki sabhi khwahishon ko
udaasi ki deewar mein chun diya hai



hawa us se kehna 
ke wahshi darindo ki basti ko jate hue raaston par
tere naqsh e paaon dekh kar
hum ne dil mein tere naam ke har taraf
ek siah matami hashia bun dia hai



Hawa us se kehna
hawa kuch na kehna......!!
hawa kuch na kehna......!!




کاش میں بھی تمہیں یہ کہہ سکتا

کاش میں بھی تمہیں یہ کہہ سکتا

میں تمہارے بغیر جی لوں گا

اپنی خوشیوں پہ خوش بھی ہو لوں گا


اپنے غم پر بھی خود ہی رو لوں گا

یاد تم کو نہیں کروں گا کبھی

اور تم پر نہیں لکھوں گا کبھی
ہم
 ہیں بس دوست اور کچھ بھی نہیں

تم مرے معاملوں سے دور رہو

میں جو کرتا ہوں مجھ کو کرنے دو

مجھ کو جینا ہے اپنی مرضی سے

مجھ میری طرح سے جینے دو

کاش میں بھی تمہیں یہ کہہ سکتا

سنو زندگی!

سنو زندگی!

ہاتھ تھامو مرا

مجھ کو اس راہ ِ پرخار سے دور تم لے چلو


اس جگہ کہ جہاں چند لمحے سہی
جی سکوں

کہ یہاں یاد کے ساتے گہرے ہیں اتنے 

کہ کچھ بھی سجھائی، دکھائی نہیں دے رہا ہے مجھے

ہر قدم پر گئے وقت کے تذکرے

جن سے ٹکرا کے میں گرچہ گرتا نہیں

لڑکھڑاتا تو ہوں

اور یہ لڑکھڑاہٹ اذیت بھری ایک سچائی ہے

جس میں گرنے سنبھلنے کی اس مختصر جنگ میں

جیت جاتا ہوں میں

ہار جاتا ہے دل

جاناں! تمہاری یاد کا پیکر اُجالنے



جاناں! تمہاری یاد کا پیکر اُجالنے
اُن راستوں پہ جب بھی گیا جان کر گیا

Tuesday, July 23, 2013

عجب لڑکی ہو تم جاناں!


عجب لڑکی ہو تم جاناں!

یہ کہتی ہو!

تعلق توڑنا ہے تو مکمل توڑنا ہو گا

مجھے گر بھولنا ہے تو پھر ایسے بھولنا ہو گا 

کہ یادوں کی کوئی پرچھائی بھی باقی نہ رہ پائے

تمہیں پھر زندگی بھر یاد نہ میری کبھی آئے



عجب لڑکی ہو تم جاناں!



تمہیں بھی علم ہے اس کا 


مکمل کچھ نہیں ہوتا 


ادھورا پن ہماری زندگی کے ساتھ چلتا ہے


تو کیسے میں تمیں ایسے بھلانے کا کروں وعدہ


تمہیں اہسے ہی بھولوں گا 


کہ جیسے بارشیں ساون کی ہوتی ہیں

Sunday, July 21, 2013

چہرے پڑھتا، آنکھيں لکھتا رہتا ہوں


چہرے پڑھتا، آنکھيں لکھتا رہتا ہوں

ميں بھي کيسي باتيں لکھتا رہتا ہوں؟

سارے جسم درختوں جيسے لگتے ہيں

اور بانہوں کو شاخيں لکھتا رہتا ہوں

مجھ کو خط لکھنے کے تيور بھول گۓ

آڑي ترچھي سطريں لکھتا رہتا ہوں

تيرے ہجر ميں اور مجھے کيا کرنا ہے؟

تيرے نام کتابيں لکھتا رہتا ہوں

تيري زلف کے ساۓ دھيان ميں رہتے ہيں

ميں صبحوں کو شاميں لکھتا رہتا ہوں

اپنے پيار کي پھول مہکتي راہوں ميں

لوگوں کي ديواريں لکھتا رہتا ہوں

تجھ سے مل کر سارے دکھ دہراؤں گا

ہجر کي ساري باتيں لکھتا رہتا ہوں

سوکھے پھول، کتابيں، زخم جدائی کے

تيري سب سوغاتيں لکھتا رہتا ہوں

اس کي بھيگي پلکيں ہستي رہتي ہيں

محسن جب تک غزليں لکھتا رہتا ہوں.

Tuesday, July 16, 2013


Nam Hain Palkein Teri Aye Mooj-e-Hawa,,Raat K Sath

Nam Hain Palkein Teri Aye Mooj-e-Hawa,,Raat K Sath
Kia Tujhe Bhi Koi Yaad Aata Hai Barsat K Sath...

Roothny Aur Manany Ki Haddein Milny Lagi
Chasam Pooshi K Saleeqy Thy,,Shikayat K Sath... 

Tujh Ko Kho Kr Bhi Rahoon,,Khalwat-e-Jaan Main Teri
Jeet Paye Hai Mohabbat Ne Ajab,,Maat K Sath...

Neend Lata Hua,,Phir Aankh Ko Dukh Deta Hua
Tajruby Dono Hai Wabsta Tere Haat K Sath...

Kabhi Tanhai Se Mehroom Na Rakha Mujh Ko
Dost Humdard Rahy Kitny,,Meri Zaat K Sath..

"Hum se kahiye dard k qissay,

"Hum se kahiye dard k qissay,

Hum se kijiye runj ki baat,

Hum pe beetay kya kya mousam,

Tanha dil, laakhon aafat,

Aaj hi dil kuch thehra tha,

Aur aaj hi aankhain khushk si theen,

Aaj hi zaalim toot k barsi,

MOUSAM KI PEHLI BARSAAT!"

Yaadai'n jaag jati hyn

Yaadai'n jaag jati hyn
Barisho'n k mausam main

Har ghari satati hyn
Barisho'n k mausam main

Shaambhi kisi surat
Chain se nahi kat'ti

Subhai'n bhi satati hyn
Barisho'n k mausam main

Zehen k jharokey main
Jab koi sada ubhrey

Aankhai'n bheeg jati hyn
Baarisho'n k mausam main

Usay kehna, Lout Aao K Meri Sansain,

Usay kehna, Lout Aao K Meri Sansain,
Ab Tinka Tinka Jhulasti Hain...

Kahin Meri Jaan Na Le Le,
Ye 'BARISH' January ki !!

"BARISH KI TARAH TUJH PE BARASTI RAHEN KHUSHIYAN...

"BARISH KI TARAH TUJH PE BARASTI RAHEN KHUSHIYAN...


HER BOOND TERAY DIL SE HER EK GHUM KO MITA DE."
happy Rainy day.

Aaj Ki Is Baarish Mei

Aaj Ki Is Baarish Mei
Phir Wohi Saa Manzar Hy
Phir Wohi Si Boondain Han
Phir Wohi Si Thandak Hy
Phir Wohi Sa Sub Kuch Hy

Par

Aaj Ki Is Baarish Mei
Saath Tm Nhi Ho To
Aankh Nm Si Kitni Hy
Saans Tang Si Ktni Hy
Rooh Pyasi Ktni Hy
Yeh Udaasi Ktni Hy

Aaj Ki Is Baarish Mei....

Saturday, July 13, 2013

Khuwab posh aankhon mein,

Khuwab posh aankhon mein,
Aansuon ka bhar jana,
Hasraton k sahil 
pr,
Titlion ka mar jana,
Habs ki hawaon men,
Khushbuon ka darr 
jana,
Dil k garm sehra men,
Hashar he barpa hona,
Dard la-dawa 
hona,
Kya bohat zaroori tha,
Ab tera “judaa hona”???

Meri majbori ko

Meri majbori ko
Meri bad-kismati na samajh
Kyon ki
Mai Aise raste pe chala hu
Jaha
Perchayi bhi sath chod deti hai..

Tumhara Dil Jo Hai Janaa

Tumhara Dil Jo Hai Janaa
Humare Naam Ker Daina
Zaroorat ger Pari Mujh Ko
To Main Kuch Or Mangon ga
Na Jaan Maangon ga
Na Pehchaan Mangon ga
Choti Si Guzarish Hai
Tumhara Sath Maangon ga
Ager Naraaz Ker Doge
Main Tum Se Rooth Jaon Ga
Bulana B Ager Chaho
To Wapis He na Aaon ga
Main Hasaas Larka Hon
Mera Dil Toot Jayega
Bohut Rona B Aayega
Ager Tum Maan Jaoge
Khushi Se Jhoom Jaonga
Tumhe Apna Banaonga
Ager Nazer E Karam Ho To
Mera Ik Kaam Ker Daina…..!
Tumhara Dil Jo Hai Janaa
Humare Naam Ker Daina………

Ajab pagal si larki...! Meri khamosh aankhon main,

Ajab pagal si larki...!

Meri khamosh aankhon main,

Mehakti, muskurati, gungunati, khwab si gehri mohabbat k sabhi rangon se waqif hai...
...
Magar anjaan banti hai,

Wo meri beqarari k sabhe maana samajhti hai,

Magar khamosh rehti hai,

Usay maloom hai ye betahasha bolne wala...!

Zamane bhar k qissey, daastanen us se kehta hai,

Her ek mozoo pe us se baat kerta hai...

Woh us se keh nahi sakta,

"Meri sochon k mehwar ho,

Tumhare bin mujhe ye zindagi bekaar lagti hai,

Mera her din tumhari soch k suraj se ugta hai,

Meri her shaam k pehloo main tum he muskurati ho,

Meri her raat karb-e-naarsai se sulagti hai,

Ager khud se tumhen minha karoon tou kuch nahi bachta..."

Usay maloom hai ye shab gaye tak jaagne wala...!

Jise khwabon ki dunia se mohabbat si mohabbat hai,

Woh kyon sone se darta hai?

Usay kia khof lahaq hai?

Woh khul ker kyon nahi hansta?

Woh kyon chhup chhup k rota hai...?

Usay maloom hai sub kuch,

Mager anjaan banti hai...

Usay ye kon samjhaaye?

K dil youn naarsai ki tapish ziada dino tak seh nahi sakta,

Jise khwabon ki dunia se mohabbat si mohabbat ho,

Woh khwabon k bina aise adhoora reh nahi sakta,

Usay ye kon samjhaye?

K us se betahasha bolne waala...!

Jo her mozoo per uss se baat kerta hai,

Kabhi ye keh nahi sakta,

"Meri veraan aankhon main,

Kayi sapne samo jao,

Tumhare bin adhoora hon,

Meri takmeel ho jao..."

Usay maloom hai sub kuch magar ye kon samjhaye...

Ajab pagal si larki hai...!!!

Friday, July 12, 2013

Ajab Pagal c Larki Hai mujhe har roz kehti hai

Ajab Pagal c Larki Hai
Mujhe Her Roz Kehti hai

“Batao Kuch Naya Likha”
Main Jab Bhi Uss Se Kehta Hoon
“Haan ik Nazm Likhi Hai

Mgar Unwaan Dena Hai”
BhoT Bechain Hoti hai
Wo Kehti Hai

“Acha Sunao
Main Ussy ik Acha Sa Unwaan Deti Hoon”
Wo Meri Nazm Sunnti Hai

0r UssKi Bolti Aankhain
Kisi Missry Kisi Tashbeeh Per Yu Muskurati Hain
Mujhe Lafzoon Se Kirrnain Photti Mehsoos Hoti Hain

Wo Meri Nazm Ko Acha Sa ik Unwaan Deti Hai
0r Uss K Aakhri Missry K Neechy ik Ada-e-Benayazi Se
Wo Apna Naam Likhti Hai
Main Kehta Hoon

“Suno!
Ye Nazm Meri Hai
To Phir Tum Ne Kyon Apny Naam Se Mansoob Ki Hai”
Meri Ye Baat Sun K UssKi Aankhain Muskurati Hain

Wo Kehti Hai
“BARA SADA SA RISHTA HAI
K JESY TUM MERY HOO

ISS TERHA YE NAZM MERI HAI”
Ajab Pagal c Larki Hai…/

ik udas larki hai


Ik udas larki hai
door ik jazeray par ik udas larki hai
aankhain us ki bojhal si
un main khuwab andekhey
khuwab dekh bhi lay gar, tabeer say woh darti hai
door ik jazeray par ik udas larki hai
rooh us ki roti hai
man ka meet paney ko
hont us kay bay kal hain
dil ki baat kehney ko
rooz sochti hai woh
chordon jazera hai
hath thamoon dilber ka
aur jabasoon us aangan main
jis main saath soraj kay khosian bhi utarti hain
door ik jazeray par ik udas larki hai
par, apna yeh jazera woh,
chor bhi nahin sakti
gham kay is jazeray ney,
us kay phailey daman main
jitney dukh bhi daley hain
jitney gham bhi bakhshey hain
sarey doosron kay hain
us ki kali qismat main
phaili hai jo tareeki
chaya hai jo san'nata
sara doosron ka hai
us ney apney rishton say pai hain jo zanjerain
us kay paon kay neechey, jo aseer khana hai
us aseer khaney ko, chorna bhi chahey to, chorney say darti hai
apney rishton kay bandhan, torna bhi chahey to, torney say darti hai
gham kay qaid khaney main
janey kab say tanha hai,
janey kab say woh apni khosion ko tarasti hai
door ik jazeray par ik udas larki hai
ik udas larki hai

may nay theek kya hai na


kehtay hain jab gher may aachanak
aesi aag bharak uthay
jo chashem-e-zadan may
her aik shay ko apni lapeet may le lay
aag bhojhana mushkil ho aur
gher ka aasasa is say bachana namumkin to
aik hi raasta reh jata hai
jo bechta ho wohi bachao
gher ki sab say qemati chezein haath may lo aur
is say duur nikal jao
meray dil may bhi aesi hi aag lagi thi
may nay jaldi jaldi aankh may teray bhujtay khawaab sametay
teri yadoin k tukray chun ker dhaya'n may rekhay
aur is aag may dil ko jalta chor k duur nikal aaya hoin
may nay theek kya hai na 

Khushaal se tum bhi lagtey ho


Khushaal se tum bhi lagtey ho
Yun afsurda tu hum bhi nahin

Par janney waley jantey hain
Khush tum bhi nahin, khush hum bhi nahin

Tum apni khudi k pehrey mein
Hum apni zayem k nargey mein

Anaa haath hamarey pakrey huwey
Ik mudat se galtaan pechaa'an 
Hum apney aap se uljhey huwey
Pachtawoon k aangaroon mein

Mehsoor e talatim aaj bhi ho
Go tum ne kinarey dhoond liye
Toofan se sambhlein hum bhi nahin
Kehney ko saharey dhoond liye

Khamosh se tum, hum mehr be lab
Jug beet gey, tuk baat kiye
Suno khail adhoora chortey hain
Bina Chaal chaley, bina maat kiye

Jo bhagtey bhagtey Thak jaein
Woh sayein ruk bhi saktey hain
Chalo toroo qasam iqraar karein
Hum dono Jhuk bhi saktein hain 

Thursday, July 11, 2013

Terii Khushbu kaa pataa karti hai

Terii Khushbu kaa pataa karti hai
Mujh pe ehasaan hawaa karti hai
Shab ki tanhaai meN ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai
Dil ko us raah pe chalanaa he nahiN
Jo mujhe tujh se judaa karti hai
Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne meN raha karti hai
Us ne dekhaa hi nahiN warnaa ye aaNkh
Dil kaa Ahawaal kahaa karti hai
Be-niyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
Ret par naam likhaa karti hai
Shaam parte he kisi shaKhs ki yaad
Kuuchaa-e-jaaN meN sadaa karti hai
Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Haal jo teraa ana karti hai
Dukh huaa kartaa hai kuchh aur bayaaN
Baat kuchh aur huaa karti hai
Abr barse to inaayat us ki
ShaaKh to sirf duaa karti hai
Humne dekhi hai wo ujli saa’at
Raat jab she’r kaha karti hai
Mas’ala jab bhi chiraagooN ka uThe
Faisalaa sirf hawaa kerti hai

Khulegi uss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista

Khulegi uss nazar pe chashm-e-tar aahista-aahista
Kiya jaata hai paani mein safar aahista-aahista
Koi zanjeer phir waapas waheeN par le ke aati hai
Kathin ho raah to chhut’ta hai ghar aahista-aahista
Badal dena hai rasta ya kaheeN par baith jaana hai
K thakta jaa raha hai humsafar aahista-aahista
Khalish ke saath iss dil se na meri jaan nikal jaaye
Khinche teer-e-shanaasaai magar aahista-aahista
Hawa se sarkashi mein phool ka apna zayaaN dekha
So jhukta jaa raha hai ab ye sar aahista-aahista
Meri shola mijaazi ko wo jangal kaise raas aaye
Hawa bhi saans letii ho jidhar aahista-aahista.

Qaryaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye

Qaryaa-e-jaaN mein koi phool khilaane aaye
Woh mere dil pe nayaa zakhm lagaane aaye
Mere veeraan darichoN mein bhi khushbu jaage
Woh mere ghar ke dar-o-baam sajaane aaye
Uss se ek baar to roothuN main usee ki maanind
Aur meri tarh’ se wo mujhko manaane aaye
Isee kuche mein kayi us ke shanaasa bhi to hain
Woh kisi aur se milne ke bahaane aaye
Ab na puchhungi main khoye hue khaboN ka pata
Woh agar aaye to kuch bhi na bataane aaye
Zabt ki shehar-panaahoN ki mere maalik khair
Gham ka sailaab agar mujhko bahaane aaye.

Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai

Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai
Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai
Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai
Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai
Uss ne mujhe dar-asal  kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai
Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai
Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they
Band aankhon se usko jata dekh liya hai !!

Tera ghar aur mera jungal bheegta hai saath saath

Tera ghar aur mera jungal bheegta hai saath saath
Aisi barsaateN ke badal bheegta hai saath saath
Bachpane ka saath hai phir aik se dono ke dukh
Raat ka aur mera aanchal bheegta hai saath saath
Woh ajab duniya, k sab khanjar bakaf phirte hain, aur
Kaanch ke peyaloN maiN sandal bheegta hai saath saath
Baarish-e-sang-e-malamat maiN bhi woh hamraah hai
MaiN bhii bheeguN khud bhi pagal bheegta hai saath saath
LaRkiyoN ke dukh ajab hote haiN sukh us se ajeeb
Hans rahi haiN aur kaajal bheegta hai saath saath

Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye

Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye
Mausam ke haath  bheeg ke saffaak ho gaye
Baadal ko kya khabar hai k baarish ki chaah meN
Kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye
Jugnu ko din ke waqt parakhne ki zidd kareN
Bachche hamaare ‘ahd ke  chaalaak ho gaye
Lehra rahi hai barf ki chaadar hata ke ghaas
Sooraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye
Sooraj-dimaag log bhi iblaagh-e-fikr mein
Zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye
Jab bhi ghareeb-e-shehar se kuch guftagu huee
Lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye
Saahil pe jitne aabguzeeda thhay sab ke sab
Dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye

ChiraaGh maangte rahne ka kuch sabab bhi nahiN

ChiraaGh maangte rahne ka kuch sabab bhi nahiN
Andhera kaise batayeN k ab to shab bhi nahiN

Main apne zo’m mein ek bazyaft par khush huN
Ye waqia hai ke mujh ko mila wo ab bhi nahiN

Jo mere shai’r meN mujh se zayada boltaa hai
Main os ki bazm meN ek harf zer-e-lab bhi nahiN

Aur ab to zindagi karne ke sau tareeqe haiN
Hum us ke hijr meN tanha rahe thay tab bhi nahiN

Kamal shakhs tha jis ne mujhe tabaah kiya
Khilaaf us ke ye dil ho saka hai ab bhi nahiN

Ye dastakeN ye meri zindagi ki aadhi raat
Hawaa ka shor samajh luN to kuch ajab bhi nahiN

Ye dukh nahiN K andheroN se sulh ki hum ne
Malaal ye hai ke ab subH ki talab bhi nahiN

Hisaab-e-dar-badari tujh se maang saktaa hai
Ghareeb-e-shahr magar itna be adab bhi nahiN

HameN bahut hai ye saadaat-e-ishq ki nisbat
Ke ye qabeela koii aisa kam nasab bhi nahiN