Pages

Thursday, July 11, 2013

KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN tu

KyuN mujh pe hua hai mehrbaaN tu
Ek zarra-e-khaak aur kahaaN tu
MaiN dhoop ki aadi ho chali thi
KyuN mujh pe bana hai sayebaaN tu
MaiN teri zameen-e-nisf-e-shab huN
TaaroN bhara mera aasmaaN tu
Aise hi hamaari soch yekjaan
MaiN nutq tera, meri zabaaN tu
Taiyyar huN maiN safar ko lekin
Kashti ka uThaaye baadbaaN tu
Kitna bhi ho sakht mera lehjaa
Deeba-o-hareer-o-parniyaaN tu
Ek aam ghareeb-e-shahr hun maiN
Kya sun ke karega daastaaN tu
Pat_thar mein gulaab dekhta hai
Kis darja hai mujh se khushgumaaN tu
Ab thoRa sa waqt rah gaya hai
Zaaye’ karuN maiN na raayegaaN tu
(Parveen Shakir)

No comments:

Post a Comment