Pages

Thursday, July 28, 2011

BACHPAN KA DECEMBER…

han mujhay yad hy
bachpan ka wo december
thetherti dhalti shamoon main
aangan ki deevar sy sarakti dhoop
jaltay huay koilay ki mehk
aur mairy phatay huay galoon per
lakeeren bnatay
wo jamay huay ansu….
asman per jamti wo badloon ki dhund daukh ker
ami ka derwazay per kharay ho ker pukarna
aur hum sub ka mitti bhery kanchay sanbhal ker
apnay apnay gharoon ko bhagna
raat bher chup chup ker
asman ko daikhna
barf girnay ki duaeen kerna
aur phir subha poo phoot,tay hi
sehn main girti barf k sitaray chun,na
aur barf giratay asmaan ko daikh daikh ker
khud ko bhi barf k galoon k sath
urtay huay mehsoos kerna
phir tum a gaenn……………………..
aur bachpan ka december beet gia
tab pehroon main sarakti thandi dhoop talay
aur un thatharti thandi shamoon main
main tumhari aik jhalak daikhnay k liay
asman sy girti barf ki chandi
apnay wajood per sjata raha aur
zameen per bichi is sufaid chader per
mairy qadmoon ka her nishan
tumharay gher ki dehleez tak hi jata raha
phir wo december bhi beet gia
aur daikho………
main ab bhi gali ki usi nuker per khara hun
thatherti sarakti shaam main
per sunehri doop nhe serakti
waqt jaisy tham sa gia hy
barf k sitaray mairy galoon per
chandi bikhair to rahay hain
per inheen bhigoo nhe patay
yeh kaise berfeli sham hy
jis ki serdi mairy ansu jama nhe paa rahi
jaltay koily ka dhuwan
aankh to jalata hy
per is main wo mehk nhe
aur daikho mairy gher ka derwaza
paat kholay khara to hy laiken
ami ki dant na janay kahan kho gai hy..??
tumharay gher ki janib jatay sab rastay
is qader sunsaan kun paray hain…??
is berfeli shaam main
aur
mairy bachpan k december main
kitna farq hy…….

Ab bhe har december main

Ab bhe har december main

Mujh se pochty hain loog
kis liye december main
yun udas rehta hon
koi dukh chupata hon
ya kesi k jane ka
soog phir manata hon
app mere album ka safa safa dekhain gy
aaye dekhata hon zubt aazmata hon
sardion k mosam mai garm garm cofi k
choty choty sip ly kar
koi mujh sy kehta hai
haaye es december mai kis bala ke sardi hai
ketna thanda mosam hai
ketni yaakh hawain hain
ap bhe ajab shay hain
eti sakht sardi mai ho k etnay by-parwah
jeans aur t-shirt mai kis mazay sy phirty hain
shaal bhe mujhy dy di
Coat bhe ourha dala..
phir bhe kanpti hon main
chalye ab sharafat say pehan lejiye sweter
ap k liye maine
bun liya tha 2 din main
ketna maan tha us ko meri apni chaht par
ab bhe hr december mai uski yad ati hai
garm garm cofi k
chotay choty sip leti
hath gal par rakhy herat-o-ta'ajub sy
mujh ko dekhti rehti aur muskura deti
sookh-o-shang lehjay main
mujh sy phir wo kehti the
etnay sard mosaam main
aadhi sleaves ke t-shirt
MALE CHAUVINISM hai
es kadar na itraye
sedhay sedhay ghr jaye
ab ki baar jab aaye
blak trouser k sath blak high neck pehanye
coat dhang ka ly lein
werna mai kasam sy phr
Aisay routh jaoo gi...
samnay na aao gi
dhundhty he rahye gaa
pass bethay abu k ap suntay rahye ga
tabsaray siyasat par
cofi ly k kamray mai tu phr kabhe na ao gi
khali khali nazron sy ap in khaalaon mai
yunhi taktay rahye ga
aur by khayali par dant khaty rahye ga
ketni mukhtalif thi wo
sab sy munfarid thi wo
apni ek lagzish sy
maine kho diya us ko
ab bhe har december main uski yaad ati hai
sardion k mosam mai
garam garam cofi k
choty choty sip leti
gal hath par rakhy herat-o-taa'jub say
mujh ko dekhti rehti aur muskura deti
ab bhe har december mai us ki yaad aati hai ...!