Pages

Saturday, December 31, 2011


Woh december ki udas sham thi

jab gali k sunsan morr peh

us ne mera hath thama tha

kitney aram say us na kaha tha

"MUJEH BHOOL JANA"

me tu aj b heran hon

kaisey sooch liya usne

k itnaa asan hota hai

roh k rishtoon ko toor kar

rasta badal lena

kisi ko choor dana

faqat

yeah kah kar

k

"MUJEH BHOOL JANA"

..! sufyan shaikh !..

december ki kisi srd raat

Aisa b hoga...

Tere na aany ka sun kr

Meri aah srd hojaygi..

Hr daali zrd hojaygi..

Aur main

Ankhon mein

Munjamid yaqeen liye

Bohht Door chli jaaoongi..!!

Bohht door chli jaaoongi..!!

Suno december...!!!

Zara sa Tehro...

Abhi to baqi hain mere Arma'n

Mujhey bitaney hain chnd Lamhey

Tumhari Thandi Panahon main Ab....

Suno december Ki Sard Ratoon....!!!

Zara sa Tehro...

Guzartey Mah-o-Din ki raten

Akeley Pan main guzar chuki hain..

Suno in jagti si ratoon ko

Chnd aik sapney udhar dey do....

Suno december ki Bhegi Shamoon...!!!

Zara sa Tehro

Tumhari thandi thandi chaya main

Ajub sukoo'n sa basa huwa hai

Ye bheegey bheegey shajar hain aisey

Hon Merey jeevan ka Aks jesey....

Suno december Ki Ae Hawaon

Mujhey Bikha
ey ka darr laga hai

Zara sa aa k mujhey Sambhalo

K ab k thandi hawaon main hi

Main Apna jeevan guzaar daloon

Suno december...!!!

Abhi Na Guzro...

Abhi To Baqi Hain Mere Arma'n...

Wo akhri shab december ki, 

Darwazy ki chokhat pay 

Muntazir tumhari thi, 

Nigah me uska chehra tha, 

Subah say sham thera tha, 

Magar sham dhaltay hi 

Mere aanso nikal aaye, 

Bohut Na umeed ho kar 

Main darwazay say palat aai, 

K itnay me awaz aayii, Ulfatoun ki raahon me, 

Apni Mohabbat k, 

Muntazir nahi hotay, Mohabbat khud hi aati hai, Mohabbat khud hi jati hai, Main jhapti foran chokhat par, 

Magr Wo Wehm Mera tha, 

Baras pichlay december me,Tu mujhsay milnay aya tha, 

Na pocho mujsay gyara(11) mah 

kesay maine bitaaye hain, 

Hr ik lamha ye socha tha, 

Decembr kab tu aayega, 

Mujhe milnay Wo aayega...

december aaj kyuuN udaas hai

Mere' liye

Ya phir us ke liye

Jis ke dard ki wajha se

Us ki shaam sard

Aor kaali hai

Ya phir

Wo jo mujh se bichaR chuke'

Wo kaheiN

Bohat udaas haiN

Mene Is Saal Ko Jate Dekha

Apne Jalte,apni Bhujhi Raaten

Apni Jeet Apni Maatein 

Sath Le Jate Dekha

Tujh Se Juda Hone K Baad 

Har Raat Ko Sone K Baad 

Mene Khhud Ko Jagte Dekha

Beete Dino Me Jana Zindagi Kya He

Maut Kise Kehte Hein

Hansi Kya He Ansu Kese Behte Hein

Mene Khud Par Khulte Har Ik Raaz Ko Dekha

Jo Jiye The Pal Tujh Sang

Unhe Yaad Bante Dekha

december Ki Akhri Raat Me 

Bas Ek Lamhe Ki Baat Me

Mene Chand Ko Jalte Dekha 

Rait Ko Raakh Bante Dekha

Nayi Subah K Sath Nayi Kiran Phooti He 

Baagh Me Ik Kali Bhi Chatki He

Hawaon Ne Bahaar Ka Ishara Kiya He

G Me Phr Ik Lagan Uthi He Roshan Asmaan Mein 
Me Ne Sham Tak Kuch Bante Dekha

Meri Jholi Me Aa Gira He Meri Duaon Ka Phal 

Khushi Me Chamakte Har Sitare Ko Mene Hanste Dekha



SuNooo....

december Ki Thatharti Hoi Shamien

Kohar Mein Lipti Dhundali Se Subhien

Darakhto'n Se Girtey HuayKhushk Zard Pattey

Woh Gao'n Ke Tama'm Raste

Mohabbato'n Ke Tama'm Rishtey

Khiyaal Abad Karte Hain

Tumhein Sab yaad Karte Hain...!!!

december Tehar jao


Abhi lamhe

Nahin bikhre

Abhi mosam

Nahi bichre

Mere kamry ki

Thandak me

Abhi kuch dhoop

Baqi hay

Meri diary k

Kuch safhay

Abhi kuch keh

Nahin paye

Mere angan k

Sab poday

Abhi bhi

Gungunate hain

Mere be-jaan

Honton per

Abhi muskaan

Waisi hay

Kisi k laot aanay

Ka

Abhi imkaan baqi

Hay


Baat botoon

Main,

Agar tum maan

Jao


Tehar jao
.!!!

Tehar jao


kaheen jaey usey meri duaain yaad kerti hain

usey kehna,usey meri wafaain yaad kerti hain

main aksar aaeeney k samney bey chain rehti hun

kisi ney khat main likha hai,adaain yaad kerti hain

usey kehna khazaain aa gai hain,ab to loat aaey

usey kehna december ki hawaain yaad kerti hain

usey kehna k aankhoan per ghani badli si chaai hai

jinhain dil per barasna hai,ghataain yaad kerti hain

gya tha jab to meri khawahishain bhi saath ley jata

lahu main nachti kuch iltajaain yaad kerti hain

Monday, December 26, 2011

                Laikin Iss Koshish Main Saal Guzer Jaata Hai :-(

Thursday, December 22, 2011

22 December


22 December 
Yaad Hay Mujko Saal Ka Subsay Choota Din Tha....
Dhoob Ki Chadar Par Kuhrey Ny Yakh-Basta Ghakari Ki Thi..!!
Yaad Hay Mujko....

Uss Din Tumko Aaney Mein Takheer Howi Thi....!
Itni Si Takheer Jismein Sadiyon Jitnay Lambay Pal Thay...!!
Mein Har Pal Mein Jeeta Marta Sooch Raha Tha...
Tum Aaoo Ghi....??

Tum Ayein Thein....!!!!
Yaad Hay Mujko Tum Ayein Thein...
Saal Ka Subsay Choota Din Tha...!!
Dhoob Ki Chaadar Ouray Tumne Mujse Dhe'ron Baatein Ki Thein...!!
Be-Mai'nee Sii Aisi Baatein....!

Aisay Qisse..! Jinko Yaad Kia Toa Aankhein Bheeg Gayein Thein..!!
Tumne Apni Aankhon Say Behtay Kaajol Say..!!
Sooraj Ko Pai'gham Diya Tha..!!
Sooraj Pal Mein Dhoob Gaya Tha...!!
Yaad Hay Mujko Saal Kay Subsey Chootay Din Ki Dhalti Shaam Kay Gehray Saaye..!!

Jab Tumne Meri Jaanib Jee Bhar Dekha Tha...!!
Jaane Say Kuch Pehlay Tumne Khamooshi Say..!!
Meray Haath Peh Kuch Pal Apna Haath Rakha Tha...!!
Aur Tumharay Lamss Ki Khushboo Aaj Bhi Waisay Hi Taaza Hay...!
Yaad Hay Mujko...!
Saal Kay Subsay Chootay Din Nay...!!
Mujsey Tumko Cheen Leya Tha....!!

Monday, December 19, 2011


Suno Yaroon?
Ye Qissa Hai December Ka
Jab Mai Aur Woh Juda Hue

Na Usne Mujse Milna Chaha
Na Hum Unhe Bula Sake

Na Baat Cheet Phir Hui
Na Haal-e-Dil Suna Sake

Maine Usko Chaha Tha
Woh Meri Chahat Hee Na Pa Sake

Phir Usne Mujko Chore Dya
Hum Aaj Tak Na Bhula Sake

December Phir Se Aya Hai
Par Woh Na Laut K Aa Sake

Ye Qissa Hai December Ka
Jab Mai Aur Woh Juda Hue..!!


Mujh se Matt Pooch, Daikh ShairooN maiN ~ 
Derd Apnay Sabhee Utaar Diya !!
 Bin Teray Pal Nahin Guzerta Tha ~ 
Dass beras kis Tarah Guzaar Diya
..! atif saeed !..
sufyan shaikh..!



Saturday, December 10, 2011

Jatey December ki us aakhri shab
mujhay yaad aaye woh guzrey huye pal
k jab tum aur hum bicherrney lagay thay
na tum kuch thay bolay, na main ney kaha kuch
magar khaamshi sey woh sub kuch  tha
tumharey humarey jo dil main  tha
meri ashk aankhon main bus ik dua thi
raho khush humaisha, raho tum jahan bhi
tumhain merey ashkon ney pighla diya tha
“magar chalti saanson ney rukna kahan tha !”
mujhay chorr ker tum chaley, phir na aaye
rahey muntazir meri palkon k saaye
yunhi saal guzra, december bhi beeta
magar merey zakhmon ko phir kaun seeta !
usi aakhri shab k pichley pehar main
tha kitna charaghaa barr-o-behar main
mehav thay naye saal ki ronaqon main
chehray bohat muskuratey huye sub
magar tum kia jano thi kitni akaili
main aur December ki woh aakhri shab