Pages

Monday, November 28, 2011



Monday, November 21, 2011

her saal jaunary


                          her saal jaunary
                   humain kuch sapnay dikhati hai
                       jis ko poora kernay main
                      december aa pohanchta hai
                       zindagi aur akheer bi mano
               umer kay january aur december hain
            zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai
           admi umer ber un ko poora kerta rehta hai
            aur umer ka december aan pohanchta hai
                             aur saal ki terha
                      saans bi khutum ho jati hai

Haan Yehi DECEMBER Hai.


*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,


Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,


Haan Yehi DECEMBER Hai.

Monday, November 14, 2011


ZaRa Thehro



‎**" ZaRa Thehro 
Mujhe MehSoos Krne Do "**

Judai Aan PohnChi Hai 
Mujhe Tum Se Bichharhna Hai ..
Tumhari MusKurahat, GuftaGu, KhamoShiYan 
Sab Kuch Bhulana Hai ..
Tumahare Sath GuZre SanG-Dil Lamhon Ko 
Iss Dil Mein Basana Hai ..
Tumhari Khawb Si Ankhon Mein 
Apne Aks Ki Parchhai Ko MehSoos Krne Do ..

**" ZaRa Thehro 
Mujhe Tanhai Ko MehSoos Krne Do "**

Mujhe Mehsoos Krne Do ..
AZziYat Se Bhare Lamhe ..
Bichharhte Waqt K QisseY ..
K Jb Khamosh Ankhon K Kinaron Per ..
Mohabbat Jal Rahi Ho Gi ..
Kai JumLe Labon Ki KapKapahat Se Hi ..
Pathar Ho Rahe Hon Ge ..
Mujhe Un Pathron Mein Been Krti ..
Chhkhti GoYAi Ko Mehsoos Karne do ..

**" ZaRa Thehro 
Mujhe Tanhai Ko MehSoos Krne Do "**

Mujhe Mehsoos Krne Do ..
Tumhare Baad Ka ManZar, Dil-e-BarBaad Ka ManZar ..
Jahan AarZu'on Ki Jawan Lashon Pe ..
Koi Ro Raha Ho Ga ..
Jahan Qismat Mohabbat Ki Kahani Mein ..
Judai Likh Rahi Ho Gi ..
Mujhe Un Sard Lamhon Mein Sisakte Dard Ki ..
Gehrai Ko MehSoos Karne Do ..

**" ZaRa Thehro 
Mujhe Tanhai Ko MehSoos Krne Do "**

Wednesday, November 9, 2011






Waqt miley to kaghez ke ek tukray pe...
Dil ka haal to likh dena..
kuch oss shehr ka mosam likhna..
Haal kuch os me basney waley logo'n ka..
chand woha'n ka kaisa hi..?
Hawa ki khushboo kaisi hi..?
Wohan be Badel, Yad kisi ki latey hen..?
wohan be Barish ka her Qatra..
Aks kisi ka hota hi..?
Wohanb be shabnam, phoolo'n ko Nehlati ho ge..
Yaad kisi ki aati ho gi..
Wohan ke Din aur Rat kaisy hen..?
Wohan pe dekhey khawab kaisy hen..?
Wohan ki galia'n aur Bazar..
Wohan ke ghar aur Dewar..
Gharz, too sari batie'n likhna..
Apni sari Ratie'n likhna..
Han, Aakhir me..
Kaghez per ger jaga bachey to...
Kuch mazi ke peyar ke Qisey...
kisi ki Bhooli Yaad ke Hisey...
Yaad agr hon, to likh dena...
Kisi ka Jeevan ban jaien gey...
Teray Haath ke Likhey Harf...!

Meray Dil ki baat jo poocho...
Kuch be mat Likhna tum mujh ko...
Khud hee wapis aa jana...
Sara haal suna jana...!!!