Pages

Wednesday, March 27, 2013

febrary ki ek sham


yaad ho usko bhegi sham deceember ki

                                                                [Aatif Saeed]

aatif saaed



Saturday, March 23, 2013

jaNa tumHari yaad ne badal dala

jaNa tumHari yaad ne badal dala bhut mujh koo..
rato ko der tak jaga nahi karta'
tumhari yad me sona acha lagta hai'
ab rona acha lagta hai....

tumhari yad k jugno rat  bhar khuwabo me aty hai
khty hai mujhe bholi nahi ho tum'
keese yaqeen me karlo'
chalo tasleem me karlo'
mujhe bholi nahi ho tum...

magar phir ankh khulti hai to khayal ata hai
mujhe tu bhool gaya hoga'

magar jana haqiqat hai 
bhut kuch badal dalaaa

teri yaad ne mujhko
qasam teri badal dala.....

[sufyan shaikh]
23/03/2013
12:35 AM

Monday, March 18, 2013

ek ashar

Chalo jAo Nahi Me roKta tuM ko..
mAgar jaB aoGi waPas meE kIsi kA ho chUka hoNga..!

[sufyan shaikh]
18/03/2013
12:19 PM

zindagi k mele main

zindagi k mele main
khvahishon k rele main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main
vaqt ki ravani hai
bakht ki girani hai
sakht bezamini hai
sakht lamakani hai
hijr k samandar main
takht aur takhte ki
ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai

bat go zara si hai
bat umr bhar ki hai
umr bhar ki baten kab
do ghari main hoti hain
dard k samandar main
anginat jaziren hain
beshumar moti hain
ankh k dariche main
tum ne jo sajaya tha
bat us diye ki hai
bat us gile ki hai
jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz k fasilon par
tut tut jata hai

zindagi se lambi hai
bat ratjage ki hai
raste main kaise ho
bat takhliye ki hai
takhliye ki baton main
guftagu izafi hai
pyar karne valon ko
ik nigah kafi hai
ho saky to sun jao
ek din akale main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main

yahi bahut hai k dil us ko dhund laya hai

yahi bahut hai k dil us ko dhund laya hai
kisi k sath sahi vo nazar to aya hai

karun shikayaten takta rahun k pyar karun
gaye bahar ki surat vo laut aya hai

vo samane tha magar ye yaqin na ata tha
vo ap hai k meri khvahishon ka saya hai

azab hup k kaise hain barishen kya hain
fasil-e-jism giri jab to hosh aya hai

main kya karunga agar vo na mil saka 'Amjad'
abhi abhi mere dil main Khayal aya hai

Sunday, March 17, 2013

tulu-e-shams-e-mufaraqat hai

tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
purani kirnen naye makanon k anganon main laraz rahi hain
fasil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhar gai hain
gaye dinon k aziz baten nigar subahen gulab raten
bisat-e-dil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar maten
judaiyon ki havayen lamhon ki Khush matti ura rahi hain
gai ruton ka malal kab tak
chalo k shakhen to tutati hain
chalo k qabron pe khun rone se
apni ankhen hi phutti hain
ye mor vo hai jahan se mere tumhare raste badal gaye hain
purani rahon ko lautana bhi hamari qatadir main nahi
k raste bhi hamare qadamon k sath age nikal gaye hain
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
tum apani ankhon main jhilmilate huye sitaron ko maut de do
gai ruton k tamam phulon tamam kharon ko maut de do
naye safar ko hayat bakhsho
k pichli rahon pe sabt jitne nuqush-e-pa hain
vo bar honge
hava uraye k tum urao

Teri zat se nikalna chahta hai

Teri zat se nikalna chahta hai
ye dariya rukh badalana chahata hai

vo sapna jis ki surat hi nahi hai
meri ankhon main chalna chahta hai

dilon ki mandagi pe kya ta'ajjub
k suraj bhi to dhalna chahta hai

nashist-e-dard badali hai to ab dil
zara pahlu badalna chahta hai

mujhe bhi samana hai karbala ka
mera sar bhi uchalna chahta hai

nahi hai tarjuman-e-gam ye ansu
ye pani ab ubalna chahta hai

tabassum zer-e-lab kahta hai 'Amjad'
koi jazba machalna chahta hai

sitare jo damakate hain

sitare jo damakate hain
kisi ki chashm-e-hairan main
mulaqaten jo hoti hain
jamal-e-abr-o-baran main

ye na abad vaqton main
dil-e-nashad main hogi
muhabbat ab nahi hogi
ye kuch din bad main hogi
guzar jayenge jab ye din
ye un ki yad main hogi


na shikayaten na gila kare

na shikayaten na gila kare
koi aisa shaKhs hua kare
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se baten kiya kare

kabhi roye jaye vo bepanah
kabhi betahasha udas ho
kabhi chup k chup k dabe qadam
mere piche a kar hansa kare

meri qurbaten meri chahaten
koi yad kare qadam qadam
main tavil safar main hun agar
meri vapasi ki dua kare

mera tamam fun meri kavish mera riyaz

mera tamam fun meri kavish mera riyaz
ik na-tamam git k misre hain jin k bich
mani ka rabt hai na kisi kafiye ka mel
anjam jis ka tay na hua ho ik aisa khelmeri mata bas yahi jadu hai ishq ka

sikha hai jis ko main ne bari mushkilon k sath
lekin ye sahir-e-ishq ka tohfa ajib hai
khulta nahi hai kuch k haqiqat main kya hai ye
taqdir ki ata hai ya koi saza hai ye
kis se kahen ai jan k ye qissa ajib hai

kahne ko yun to ishq ka jadu hai mere pas
par mere dil k vaste itna hai is ka bojh
sine se ik pahar-sa hatta nahi hai ye

ekin asar k bab main halka hai is qadar
tujh pe agar chalaun to chalata nahi hai ye

kuch aise ghao bhi hote hain

kuch aise ghao bhi hote hain
jinhen zakhmi ap nahi dhote
bin roye huye ansuon ki tarah
sine main chupa k rakhte hain
aur sari umr nahi rote

ninden bhi muhaiya hoti hain
sapne bhi dur nahi hote
kyun phir bhi jagte rahte hain
kyun sari rat nahi sote

ab kis se kahen ai jan-e-vafa
ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain
kyun bujh k rakh nahi hote

kisi ki ankh jo purnam nahi hai

kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai

savad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai

samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai

sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai

ye basti hai sitam parvar digan kiyaha koi kisi se kam nahi hai

kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai

dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai

main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai

jo koi sun sake 'Amjad' to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai

Khud apne liye baith k sochenge kisi din

Khud apne liye baith k sochenge kisi din
yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din

bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main
duniya ne diya vaqt to likkhenge kisi din

hil jayenge ik bar to arshon k dar-o-bam
ye khaknashin log jo bolenge kisi din

apas ki kisi bat ka milta hi nahi vaqt
har bat ye kahae hain k baithenge kisi din

ai jan teri yad k be-nam parinde
shakhon pe mere dard ki utrenge kisi din

jati hai kisi jhil ki gahrai kahan tak
ankhon main teri dub k dekhenge kisi din

khushbu se bhari sham main jugnu k qalam se
ik nazm tere vaste likkhenge kisi din

soyenge teri ankh ki khlvat main kisi rat
saye main teri zulf k jagenge kisi din

khushbu ki tarah ,asl-e-saba khak numa se
galiyon se tere shahar ki guzrenge kisi din

'Amjad' hai yahi ab k kafan bandh k sar se
us shahar-e-sitamgar main jayenge kisi din

kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja

kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja
vo jo mil gaya use yad rakh jo nahi mila use bhul ja

vo tere nasib ki barishen kisi aur chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri bat sun use bhul ja use bhul ja

main to gum tha tere hi dhyan main teri as main tere guman main
hava kah gai mere kan main mere sath a use bhul ja

tujhe chand ban k mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja

jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-Khush main sama gaye

jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-Khush main sama gaye
vahi jalte bujhte se mahar-o-mah mere bam-o-dar ko saja gaye

ye ajib khel hai ishq ka main ne ap dekha ye mojeza
vo jo lafz mere guman main the vo teri zuban par a gaye

vo jo git tum ne suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha
mere dard ki thi dastan jise tum hansi main ura gaye

vo charag-e-jan kabhi jis ki lau na kisi hava se nigun hui
teri bevafai ke vasava use chupke chupke bujha gaye

vo tha chand sham-e-visal ka k tha rup tere jamal ka
meri ruh se meri ankh tak kisi raushani main naha gaye

ye jo bandagan-e-niyaz hai ye tamam hai vo lashkari
jinhen zindagi ne aman na di to tere huzur main a gaye

teri beruKhi k dayar main main hava ke sath hava hua
tere aine ki talash main mere Khvab chehara ganva gaye

tere vasvaon k fishar main tera sharar-e-rang ujar gaya
meri khvahishon k gubar main mere mah-o-sal-e-vafa gaye

vo ajib phul se lafz the tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-khvab main dur tak koi bagh jaise laga gaye

meri umr se na simat sake mere dil main itne saval the
tere pas jitne javab the teri ik nigah main a gaye

dil k dariya ko kisi roz utar jana hai

dil k dariya ko kisi roz utar jana hai
itna besimt na chal laut ke ghar jana hai

us tak ati hai to har chiz thahar jati hai
jaise pana hi use asl main mar jana hai

bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai

kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke
us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai

main khila hun to isi khak main milna hai mujhe
vo to khushbu hai use agle nagar jana hai

vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil
har musafir ko isi ghat utar jana hai

chuke chupke asar karta hai

chuke chupke asar karta hai
ishq kainsar ki tarah barhta hai

jo koi ji na sake mar jaye
ap ka nam abas leta hai

kaun sunata hai kisi ki vipada
sab k mathe pe yahi qissa hai

koi darta hai bhari mahfil main
koi tanhai main hans parta hai

yahi jannat hai yahi hai dozakh
aur dekho to yahi duniya hai

sab ki qismat main fana hai jab tak
asmanon pe koi zinda hai

vo Khuda hai to zamin par aye
hashr ka din to yahan barpa hai

sans roke hue baitho 'Amjad'
vaqt dushman ki tarah chalta hai

chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajate ho baras jao kisi din

razon ki tarah utaro mere dil main kisi shab
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din

peron ki tarah husn ki barish main naha lun
badal ki tarah jhum k ghir ao kisi din

Khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din

phir hath ko khairat mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohrao kisi din

guzaren jo mere ghar se to ruk jayen sitare
is tarah meri rat ko chamkao kisi din

main apani har ik sans usi rat ko de dun
sar rakh k mere sine pe so jao kisi din

chand k sath kai dard purane nikle

chand k sath kai dard purane nikle
kitne gam the jo tere gam ke bahane nikle
fasl-e gul ai phir ik bar asiran-e-vafa
apne hi khun k dariya main nahane nikle
hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai
dil ki befaiz zaminon se khazane nikle
umr guzri hai shab-e-tar main ankhain malte
kis ufaq se mera khurshid na jane nikle
ku-e-qatil main chale jaise shahidon ka julus
Khvab yuu bhigti ankhon ko sajane nikle
dil ne ik int se tamir kiya taj mahal
tu ne ik bat kahi lakh fasane nikle
dasht-e tanhai-e-hijranN main khara sochta hun
haye kya log mera sath nibhane nikle
main ne 'Amjad' use bevasta dekha hi nahi
vo to Khushbu main bhi ahat ke bahane nikle

aisi hi sard sham thi vo bhi

aisi hi sard sham thi vo bhi
jab vo mahndi rachaye hathon main
apni ahat k khauf se larazan
surkh anchal main munh chipaye hue
apne khat mujh se lene ai thi
us ki sahmi hui nigahon main
kitni khamosh iltijayen thin
us k chehre ki zard rangat main
kitni majaburiyon k saye the
mere hathon se khat pakarte hi
jane kya soch kar achanak vo
mera shana pakar kar roi thi
us k yaqut rang honthon k
kapkapate hue kinaron par
saikaron ankahe fasane the
sard shamon main der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se
mujh ko apani taraf bulata hai
hamnashin ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi vo bhi

mohabbat ki tabiyat main

mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai
k jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai
yaqin ki aKhiri had tak dilon main lahlahati ho
nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
use izhar k lafzon ki hajat phir bhi rahti hai
mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
k jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
aur shab main baura uthe
zamin ko khod kar dekhe
k paudha ab kahan tak hai
mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki Khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunane se nahi thakati
bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa'at ho
ise bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai
kuch aisi besakuni hai vafa ki sarzaminon main
k jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai
k jaise phul main Khsuhbu k jaise hath main tara
k jaise sham ka tara
mohabbat karne valon ki sahar raton main rahti hai
gumanam k shakhchon main ashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal main bhi hijr k khadshon main rahti hai
mohabbat k musafir zindagi jab kat chukte hain
thakan ki karachiyan chunte vafa ki ajarakn pahne
samay ki rahguzar ki aKhiri sarhad pe rukte hain
to koi dubati sanson ki dori tham kr
dhire se kahta hai
k ye sach hai na
hamari zindagi ik dusare k nam likhi thi
dhundhalaka sa jo ankhon k qarib-o-dur phaila hai
isi ka nam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakkha hai

Saturday, March 16, 2013

khalil jibran




زندگی بھی بس اک ڈائری کی مانند ہے،جس کے ہر صفحے پر دن، تاریخ، ماہ و سال چسپاں ہیں۔۔ صفحہ ایک سے آخر تک زندگی اس پر بے شمار تحریریں لکھتی ہے۔۔اس تحریر کی نوعیت ہر زندگی کے مزاج پر منحصر ہے۔۔
جب یہ خوش ہوتی ہے تو دھنک کے ساتوں رنگ ڈائری میں س…جاتی ہے
اور
جب ناخوش ہوتی ہے تو ماتمی سیاہ رنگ سے صفحوں کو کالا کر ڈالتی ہے۔
ہم اگر شروع سے آخر تک اسے پڑھتے جائیں تو پتہ چلے گا کہ تاریخ کے ساتھ ساتھ تحریروں میں پختہ سو چ اور تجربہ دکھائی دیتا ہے۔۔لیکن افسوس جونہی ہم ان تجربوں سے فیض یاب ہونے لگتے ہیں، ڈائری کے صفحات ختم ہوجاتے ہیں۔۔۔۔۔۔۔۔

Faasle Aise Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha


Faasle Aise Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha 

Saamne Betha Tha Mere Aur Woh Mera Na Tha

Woh Ke Khusboo Ki Tarah! Pehhla Tha Mere Chaar Soo
Mai Use Mehsoos Kar Sakta Tha Chu! Sakta Na Tha

Aks Tho Mojood Tha Par Aks Tanhaee Ke The
Aainaa Tho Tha Magar Use Mai Tera Chehra Na Tha

Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Alaida Kar Diye
Aaj Mai Roya Tho Mere Saath Woh Roya Na Tha

Yaad Kar Ke Aur Bhi Takleef Hoti Hai Adeem 
Bhool Jaane Ke Siwa Ab Koi Aur Chara Na Tha

Adeem hashmi

ajab pagal si larki hai


Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum


Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum
har baar tum se mil ke bichhadta raha hoon main
tum kaun ho ye khud bhi nahi’n jaanti ho tum
main kaun hoon ye khud bhi nahi’n jaanta hoon main
tum mujh ko jaan kar hi padi ho azaab mein
aur iss tarah khud apni saza ban gaya hoon main
tum jis zameen par ho main uss ka KHUDA nahi’n
bas sar-basar azeeyat-o-aazaar hi raho
bezaar ho gaee ho bahot zindagi se tum
jab bas mein kuch nahi’n hai to bezaar hi raho
tum ko yahaa’n ke saaya-e-partau se kya garaz
tum apne haq mein beech ki deewar hi raho
main ibtada-e-ishq mein bemehar hi raha
tum inteha-e-ishq ka miyaar hi raho
tum khoon thookti ho ye sun kar khushi huee
iss rang iss ada mein bhi purkaar hi raho
maine ye kab kaha tha ke mohabbat mein hai najaat
maine ye kab kaha tha ke wafadaar hi raho
apni mata-e-naaz luta kar mere liye
baazaar-e-iltafaat mein naadaar hi raho
jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de saka
gham mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na de saka
jab mere saare charaag-e-tamanna hawa ke hain
jab mere saare khwaab kisi bewafa ke hain
phir mujhe chaahne ka tumhein koi haq nahi’n
tanha karaahne ka tumhein koi haq nahi’n.

uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar


haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii

shauq meN kuch nahiiN gayaa, shauq kii zindagii gayii
ek hii haadisaa to hai aur vo ye ke aaj tak

baat nahiiN kahii gayii, baat nahiiN sunii gayii
baad bhii tere jaan-e-jaaN dil meN rahaa ajab samaaN

yaad rahii terii yahaaN, phir terii yaad bhii gayii
uske badan ko dii namuud hamne suKhan meN aur phir

uske badan ke vaaste ek qabaa bhii sii gayii
skii ummiid-e-naaz kaa hamse ye maan thaa ke aap

umr guzaar deejiye, umr guzaar dii gayi
uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye

haalat-e-di,l ke thii Kharaab, aur Kharaab kii gayii
teraa firaaq jaan-e-jaaN aish thaa kyaa mere liye

yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pii gayii
uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar

ek galii kii baat thii aur galii galii gayii

Ajeeb pagal sa larka hai


Ajeeb pagal sa larka hai

wo mujh se jab bhi milta
hai
mujhey har baar kehta
hai

terey honey sey meri
zaat ki takmeel hoti hai

usey maloom bhi hai
main
to khud ik aam larki hoon

magar wo mujh se kehta
hai

nahi tum sa koi dooja

Ajeeb pagal sa larka hai

wo mujh se jab bhi milta
hai
naya ik naam deta hai, nayi
pehchaan deta hai

meray andar ke sab
mausam bina meray
kahey hoye
wo hamesha
jaan laita hai

meri barson purani baat
bhi wo yaad rakhta hai

mujhay her baar kehta
hai

teri aawaz ka jadoo
mujhey soney nahi deta

Ajeeb pagal sa larka hai

woh mujh sey jab bhi
milta hai

to pehron mujh ko takta
hai

usey her rang jo main ne
ho pehna, acha lagta hai

usey her khuwab jo
maine ho dekha, sacha
lagta hai

Ajeeb pagal sa larka hai

mujhey dukh ke andheron
main kabhi khoney nahi
deta

usey meray hina-ii-haath
takna acha lagta hai

usey mujhko mujhi ko
sochnay ki janay kia zid
hai

ho din ka koi bhi lamha,
andheri raat ka pal ho

wo mujh ko socha karta
hai, mujhi ko yaad rakhta
hai

ajab pagal sa larka hai

wo mujh se jab bhi milta
hai
hazaron baar kehta hai

mujhay tum se mohabbat
hai

bus ik pal me wo apna
aap mujh ko sonp deta hai

main us pagal sey larkey
ke liye ab aur kia likhoon

Ajeeb pagal sa larka hai
Ajeeb pagal si main bhi
hoon .!


kab mene usko roka tha



aaj sawan meri ankho me


mohabbat jin say hoti hai


mohabbat jin say hoti hai
unhain khonay ka dar har waqt daman geer rehta hai
yaqeen ki akhri manzil pay akar bhi
koi khadsha koi shak koi andaisha
buhat bay chain rakhta hai

mohabbat jin say hoti hai
unhain khonay ka dar har waqt daman geer rehta hai
kahin yeh wasl k lamhay
badal jayen na furqat main
kahin yeh qurb ki gharyan
judayi me na dhal jayen
kahin aisa na ho k 
koi uss ko badguman karday
kahin aisa na ho k
jiss ko hum nay hasil e umr e rawan samjha
jhatak kar hath wo bay dard
sub kuch rayegan karday
kahin aisa na ho
wo mehrban ankhain, badal jayen
kahin aisa na ho
yeh garam joshi sard par jayay
tapak e jan say milnay ki ravish
yakh basta hojaey
aday e dilbarana bay rukhi ka roop dharay
aur dil ka dard ban jayay

mohabbat jin say hoti hai
unhain khonay ka dar har waqt daman geer rehta hai
kabhi mehfil main sub k samnay
wo ehtyatan bhi
agar nazrain chura jayay
to dil pay choat lagti hai
ansoaon ka main barasta hai
kabhi masrofiyat main
mehviyat main
fone ki ghanti ka wo notice na lay
aur rabtay ka silsila moqof hojayay
dharak uth'ta hai dil
kia janyay kia hogaya ussko
tawajja main kami q agayi
q uss ki janib aik sannata sa chaya hai
jo apna iss qadar apna tha
akhir q paraya hai

MOHABBAT JIN SAY HOTI HAI
UNAHAIN KHONAY KA DARR
HAR WAQT DAMAN GEER REHTA HAI

Main aesi muhabbat karta hun, Tum kesi muhabbat karti ho.



Tum jahan pe beth k jati ho, Jis cheez ko hath lagati ho,

Main wahin pe betha rehta hun Uss cheez ko chhuta rehta hun,

Main aesi muhabbat karta hun, Tum kesi muhabbat karti ho.

Tum jis se hans kar milti ho, Main us ko dost banata hun,

Tum jis rastay pe chalti ho Main us se aata jata hun

Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho


Tum jin ko dekhti rehti hoWo khuwab sirhanay rakhta hun,

Tum se milnay julnay k Kitnay hi bahanay rakhta hun,

Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho


Kuch khuwab saja kar aankhon mein, Palkon se moti chunta hun

Koi lams agar chhu jaey to, Main pehron us ko sochta hun,

Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho



Jin logon mein tum rehti hoTum jin se baatien karti ho,

Jo tum ko acchay lagtay hain, Wo hi mujh ko acchay lagtay hain

Main aesi muhabbat karta hunc


Har mokay par har manzar mein, Main sath tumharay rehta hun,

Main chashm e tasavvur mein aksar, Bus tum ko sochta rehta hun

Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho

Tumhari bheegti palkoon say mainay barha poocha


Tumhari bheegti palkoon say mainay barha poocha

kay dil k kheil mein kia jeetnay walay bhee rotay hein?

wu jinki chasm-e-khudbeen aur ko deekha nahi kerti,


bhala kis dil say gham k taar mein moti pirootay hein?

Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha





Kay kia manind-e-sheesha patharoon mein baal aata hay?

asar-angaiz hay ab bhee muhabbat ka wuhi jazba,


ju aisay hoshmandoon ko bhee yun pagal banata hay?

Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha




misaj-e-husn mein yun yak-bayak kia inkilaab aaya?

sitara daikhna aur daikh ker afsurda hu jana…


barri takheer say tumko sitaroon ka hisab aaya!!

Tumhair bheegti palkoon say mainay barha poocha





Kay terk-e-rabt say kia mujhse wehsi yaad aatay hein?

tal-luk torna aasan tha tu aankh kyun numm hay… …


ana-perwar jaffa-paisha bhee yun aansoo bahatay hein?

Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha





kay jalnay aur jalanay mein bhala kia lutf aata hay??

bus ek jhooti ana kay wastay berbad hu jana??


khudi kay zua’mm mein insaan kitnay dukh uthata hay… …