Pages

Friday, December 31, 2010

MUHABBAT KHUSH GUMA HAI

MUHABBAT KHUSH GUMA HAI

Tumhari angushtari ke NAG mai
Meri muhabbat chamak rahi hai
Agar kabhi ye guma guzre
Ke tumhain main bholne laga ho'n
Tou is nageene ko dekh lene
Meri nigaho ki jagmagahat
Tumhari ankhon se ye kahe gi
"SUNO MUHABBAT TOU KHUSH GUMA HAI"
Agar koi bugz-e-dil ka maara
Nazar se toota hoa sitara
Tumhare seene main waswaso ke
kaseele khanjar utarta ho....
ke wo, jo dil phaink-o-bewafa hai
ke wo, jo sab pe farefta hai
ke wo, jo pardes ja basa hai
Tumhain bhanwar beech chor de ga
Wafa ke sab qaul toor de ga

Tou is se pehle roo paro tum
Tou is se pehle jal bojho tum
Tou is se pehle ke ye kaho tum
Wo ahd-o-peman sab galat they
Wafa ke unwaan sab galat they
Sehar ke imkaan sab galat they
Tum aPni angusht-e-dilruba per
GULAAB CHEHRA JHUKA KE KAHNA
"SUNO WO SACH MUJ HI BEWAFA HAI?"
Tumhara roota sawal sun kar
Ye shookh NAG muskura pare ga
muhabbaton ke safeer ban ke
Ye surKh NAG aur HASEEN ANGUTHI
Meri numaindagi karain ge
Tumhare chehre se cheAar karte
Tumhari ankhon ke rang parhte
Tumhare baloo pe hath rakh ke
Tumhare galoo ko thapthapa ke
Haseen angushtari kahe gi
"SUNO MUHABBAT TOU KHUSH GUMA HAI"

SABHI KUCH CHOOR AYA HO'N

SABHI KUCH CHOOR AYA HO'N

Tumhare pass se uth k main aa gaya ho'n

Magar har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n

Wo mushkbaar si sansain wo dhemi dhemi mehak

Wo khushgawar si hiddat wo halki halki kasak

har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n

wo mere chehre ko takti hoi gazal ankhain

wo jhuk k uthti hoi dilnawaz si palkain

wo beqarar nigahain, wo sogawar nazar

har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n

mere labo pe wo ghabra k haath rakh dena

wo un kahi main har ik baat mujhse kah dena

gureez karti hoi “HA” ka dilnasheen manzar

tumhare pass se main uth k agaya magar

har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n

kitabain FAIZ ki bikhri hoi sirhane per

nafi mai hilta hoa wo sar, bekhudi main shane per

har aik manzar-e-zeba har aik saa’at-e-khush

ada’e husan ki masoomeat ka wo pekar

tumhare pass se main uth k agaya magar

har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n

wo kapkapate hoe lab wo dubdubati nazar

wo alwidai tabassum sa, zard chehre per

tehar gaya hai nigaho main akhri manzar

tumhare pass se main uth k agaya magar

har ik sha'e ushi kamre main choor aya ho'n

Thursday, December 30, 2010

Chalo december...

*Dekho December!!
Ye bonda bandi!
Ye taiz andhi?
Bila wja tou ni hue hy?
Hy isk pechy koi kahani?
Vo ulfaton ki koi nishani?
Vo rat jago mai
vo siskiyon ki awaz ani..
Suna December.
Awaz uski?
Gaye shabon mai jo sath tha
vo mery dil k pas tha jo
nae hy isbar mery dil ki
veraniyon main
mery dil ki
kahaniyon main
Vo sard rato mai dair tk
uski bato mai beshtar
ulfaton ka guman hona
hy ab kahan?
Nahe December
Mjy gily ni hai us sy
mjy gr vo mla ni hy
kun ye uski judae ka
abi tk zakhm sila ni hy
Utho Decembr
Bulaen usko Asmar
manaen usko
kahen sy ao
dhond laen usko
Chalo December
Chalo december...

Ab Bhi Har December Main

Mujh Say Poochtey Hain Log
Kis Liye December Main
Yon Udaas Rehta Hoon
Koi Dukh Chupata Hoon
Yaa Kisi Kay Janey Ka
Sog Main Manata Hoon


Aap Mery Album Ka
Safha Safha Dekhein Gay?
Aaiye Dikhata Hoon
Zabt Aazmata Hoon


Sardion Kay Mausam Main
Garam Garam Coffee Kay
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Koi Mujh Say Kehta Tha
Haye Iss December Mein
Kis Bala Ki Sardi Hay
Kitna Thanda Mausam Hay
Kitni Yakh Hawayein Hain
Aap Bhi Ajab Shay Hain
Itni Sakht Sardi Mein
Ho Kay Itney Bey Parwah
Jeans Aur T-Shirt Main
Kis Mazey Se Phirtey Hain


Shaal Bhi Mujhay Dey Di
Coat Bhi Oorrha Dala
Phir Bhi Kaanpti Hoon Main
Chaliye Ab Sharafat Say
Pehan Lijiye Sweater
Aap Kay Liye Main Nay
Bun Liya Tha Do Din Mein


Kitna Maan Tha Us Ko
Meri, Apni Chahat Par
Ab Bhi Har December Main
Uss Ki Yaad Aati Hay


Garam Garam Coffee Kay
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Haath Gaal Par Rakhey
Hairat Aur Taaj'jub Se
Mujh Ko Dekhti Rehti
Aur Muskura Deti


Shokh-o-Sard Lehjay Mein
Mujh Se Phir Wo Kehti Thi
Itney Sard Mausam Mein
Aadhi Sleeves Ki T-Shirt
Iss Qadar Na Itrayein
Seedhay Seedhay Ghar Jayein


Ab Ki Baar Jab Aayein
Brown Trouser Kay Sath
Black High Neck Pehnein
Coat Koi Dhang Ka Ley Lein
Warna Main Qasam Se Phir
Aisi Routh Jaon Gi
Dhoondtey Hi Rahiye Ga
Samney Na Aaon Gi


Pass Baithey Abbu Kay
Politics Par Kijiye Garam Garam Discussion
Coffee Ley Kar Kamrey Mein
Main Tu Phir Na Aaon Gi
Khali Khali Nazron Say Aap In Khalaon Main
Yon Hi Taktey Rahiye Ga
Aur Bey Khayali Per Daantt Khatey Rahiye Ga


Kitni Mukhtalif Thi Wo
Sab Say Munfarid Thi Wo
Apni Aik Lagzish Say
Main Nay Kho Diya Us Ko
Ab Bhi Har December Main
Us Ki Yaad Aati Hay...!!!

Tuesday, December 28, 2010

 Lutaf e Muhabat aur b barha daiti hain ",,,,
Buhat anmool hoti hian rateen DECEMBER ki ,,,!!!!!

Sunday, December 26, 2010

Wednesday, December 22, 2010

Tujhey kia khabar december

Tujhey kia khabar december ki sard raton main ,
Terey sang beeti sardiyon k
Khushgawar khubsorat shamo kw yad rakhta hon ,
Is mausam see tamanna k saharey ,
Teri salash main sarkon par,
Awaraa pirta hon ,
Tujhey khoja karta hon ,
Shayad k wo tum hoo,
Aor thak kar joo loutta hon,
Phir phoot phoot k rotaa hon

December lot jae ga

December aa geya yaro,
Udasi mai koi pnchi,
Tumai lori sunaega,
Koi ptta shajar se toot K
Khud ko metaye ga,

Hr ik barish ka Qtra,
Dstan apni sunaye ga,

To in lmhat mai,
Wo dard phir se jag jae ga,

Koi bechra howa sathi,
Phr se yad aye ga,

To ik gumnam si manzil,
To ik gumnam sa rasta,

Tmhein phir se rulaye ga,
To in kamzor LAMHON mn
Koi bechain sa Aanso,

Teri palkon K saye par,
Aa K ruk sa jae ga,

To phir sar ko juka kar tum,
Is Aanso ko baha dena,

December lot jae ga

December Mujh Se Bola Thaa

December Mujh Se Bola Thaa
Ab K Jab Main Aon Ga
Tujhe Phir Se Pukaron Ga
Usy Main Sath Laon Ga
Jo Tujh Ko Bhool Betha Hai
Keh” Jis K Hijr Ka Lawa
Tera Tann Mann Jalata Hai
Keh” Jis Ki Yaad Ki Jheelon Main
Aksar Doob Jaty Ho
Keh” Jis K Wasty Baithy
Yahan Tum Geet Gaty Ho !
December Mujh Se Bola Tha
Suno Tum Bhool Na Jana
Jo Yadain Us Ne Sonpi Hain
Jo Lamhy Us Ne Bakhshy Hain
Chahy Yeh Zakhm Sary
Rooh Ka Nasoor Ban Jaein
Inhain Bharny Nahi Dena
Inhain Marny Nahi Dena
Keh” In Zakhmon Pe Marham
Aik Din Us Ne He Rakhna Hai !
December AA Geya Lekin
December Woh Nahi Aaya
Keh” Jis Ne Mujh Se Bola Tha
Usy Woh Sath Laye Ga
Mujhe Phir Se Pukary Ga !
December ! Ghor Se Sun Lo
Usy Bhi Tum Bata Dena
Yeh Sansain Machli Bethi Hain
Ab Rukhsat Pe Jany Ko
Yeh Aankhain Bhi Barasti Hain
Usy Wapis Bulany Ko
Magar Yeh Janty Hain Hum
Hamain Wo Bhool Betha Hai !
December Aaye Jo Ab Ho
To Itna Yaad Rakh Lena
December Aor He Tha Woh
Keh” Jis Ne Mujh Se Bola Tha
Mujhe Umeedain Bakhshi Thin
Mujhe Jeena Sikhaya Tha
Buhat Masoom Thy Hum To
Jo Itna Bhi Nahi Samjhy
December To December Hai
Sab He Ko Rulata Hai
Hamesha Dair Karta Hai
Sanam K Taor Rakhta Hai
Sada Akhir Mein Aata Hai !
December Us Se Keih Dena
Mujhe Jitna Bhi Tarpa Le
Keh” Tujh Se Haar Maani Hai
Ab Hum Ne Yeh He Thaani Hai
Yoon Us Se Door Jana Hai
Kabhi Wapis Na Aana Hai !
Chalo Chhoro Ab Jany Do
December Kuchh Bhi Na Kehna
Koi Shikwa Nahi Karna
Keh” Jis Se Yeh Guman Guzry
Usy Hum Yaad Karty Hain
Usi Ki Raah Takty Hain
Keh” Apni Zindgani Ka
Es Sari Kahani Ka
Yeh Manzar Akkhri Ho Ga !
DECEMBER AKHRI HO GA
DECEMBER AKHRI HO GA…

DECEMBER


*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,


Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,


Haan Yehi DECEMBER Hai.

Monday, December 20, 2010

mahe December

December mai tanha khadi
apne aap mein gum,
Kuch beete lamhe dhuund rahi huu..
Haa main tumhe yaad kar rahi huu..

Is maah mai ek aas mei hu
Main tumahri raho mei
Ke le lo shayad mujhe tum apni baho mei

Dinn beet'te jaa rahee haii..or yeh bheega
December ko khatam hote dekh rahii huu....
issi intezaar mein ke tum laut aaao,
aur tumko khud mein dhoond rahii huu...

hai akhri guzarish tumse
mohabbat ko ruswaiyo se bachana
duniya ki fikr chord is mahe December
mai meri jaan tum laut aana tum laut aana

Aye Maah-e-December Alwida

Alvida !! Aey December
Alwida aye December
Alwida!

jaa rahay ho tum
shukriyaa tumharaa

Aye Maah-e-December
Alwida!

Bheega bheega yeh maah-e-December
YaadouN kee meri, iss maiN hay ab Qabar

Jinn say dil maiN aik chain bhee hay
ik dukh bhee hay aur ik khalish bhee hay

magar aye December!
teraa hay ab mujh par karam
aur meri taraf say tumhaiN ab
Alwida!
Aye Maah-e-December
Alwida!

pardah uTh gayaa haqeeqat ka kuch aisay iss December maiN
dilouN kee baat youN hee tau nahiN aa gaie lubouN maiN
HoNTT tau dil say juda thay so kaaNpay nahiN kissi kay bhee
nafrat kaa behr-e-baykaraaN dekh liya laikin maiN nay dilouN maiN

iss nazaaray kaa shukriya, Alwida!
Aye Maah-e-December
Alwida!

tera mujh par yeh ehsaan hay
tu nay dikhlaa diye mujh ko
sitaarouN kay woh jaltay nasheman
kay dooor say dekhnay waali aankhaiN bhee
ab pehchaan gaieN qurbat-e-kawaakib bhee
chaand kaa daagh hay ab accha lagnay laggaa
hus'n-e-Qamar maiN izaafa youN honay laggaa
jo saaf nazar aataa hai, woh hee buss haseeN hay
Abb daagh-e-Mehtaab yaqeenan chaand say bhee haseeN hay

tau aye meray dost!
Aye Maah-e-December
Alwida!

"Naya Saal Mubarak"... !!!

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay
Guzarti saa'atoo ke dhundelkay
Aur
Palkoon pe yadoo ke sitaaray
Pal bhar ko yun laga jaisay
Unhi yaadon unhi kahaaneyoon ke beech
Wakt tham sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraag jala thaa roshni ke liye
Madham hogaya ho jaisay
Aur jo dariya muhabbatoon ka tha
Ab utar gaya ho jaisay
Aakhri shaam ka doobta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chaahatoon ka suraj bhi
Doob raha ho jaisay

Magar ab dil mein yaadoon ke siwa
Aur aankh mein aanso'oon ke siwa
Aur bacha hi kya hai
Jo ab aakhri saa'atoon ke naam karoon
Woh sab chaahatain aur sab muhabbatain
Aur un muhabbatoon ki saari shiddattain
Sab kuch tu ussi ke naam kar diya thaa

Haan, magar ab tak yaad hai
Us wakt bhi suraj yunhi doob raha thaa
Aur... woh bhi
December ki aakhri sard shaam thee
Jab us ne dheeray se kaha thaa
"Naya Saal Mubarak"... !!! 

aah december lout aaya hai

Ah December Laut Aaya Hai
aah december lout aaya hai
yakh basta thhithharti hui taweel raatein
yaadoo'N ka aanchal aurh keR
meray dil kay taqchon meiN
aashaao'n kay deep jalaati hein
meray mann mein bajti ghantiyoun ney
barff ki chaadar aurhi hai
rooh pehlay sey khwaaboun per
koher ka perda chhaya hai
hijar ki lambi raato'n may
chhat per tanha teheltey howey
shaal ka kouna dhalak gaya hai
balconey kay hairaan chaand per
meray aansoo'n ka saaya hai
aah december lout aaya hai

December Ki Barish Mai

December Ki Barish Mai


December Ki Barish mai
Beeghtay Pairoon Se Pocho
Akela pan Kia Hai
Tanhaayee kise Kehtay hain
Seh Pehr Ki Dhoop Ko Tarasna
aur Barish mai Beghtay Rehna
Jangle Ki Rahoon mai Akelay jana
Uss kay Garam Hathoon Ki Chaah Ko Tarasna
aur Barish mai Beeghtay Rehna
December Ki Barish mai
Lehr der lehr Mehakti Hawa Se Pocho
Khushboo Sa Khayal Rakhnay Walay Tanha Kaisey Rehtay Hain
Beeghtee Hain Jab Sard Ratein
December Ki Barish Se kaho
Kabhi Jangle Kay Uss Paar Milay
dhaltay hoon Shaam Kay Saaye
Tu Inn Ankhoon se Milay

December mai Chalay aao..

December mai ChalaY aAo..
December mai Chalay Aao..!
Kabal Iss Kay..!!
December Ki Hawawoon Se Ragoon mai Khoon Ki Gardish Tehr Jaye
Jism Be jaan Ho Jaye
Tumhari Muntazir Palkain Jhapak Jayen
Basa Jo Khawb Ankhoon mai Hai Woh Armaan Ho Jaye
Barsoon Ki Riyazat Se
Jo Dil Ka Ghar bana Hai..woh Makaan Ho Jaye
Tumharey Naam Ki Tasbeeh Bhuladein Dharkanain Meri
Yeh Dil Nadaan ho jaye
Teri Chahat Ki Khushboo se Basa Angan jo Dil KA hAi
Woh Phir Weeran ho jaye
Qareeb ul marg honay ka koi Samaan ho jaye
Kabal iss kay..!
December Ki Yeh Nanni Dhoop Ki Kirnain
Shararoon Ki Tarah ban Kar'mera daman jala dalain
Bohot Mumkin hai
Phir Dil bhi barf ki manind peghal jaye
Mumkin Phir bhi yeh hai Janaan..! Keh Teri Yaad Bhi
Kaheen Aah Ban Kar Nikal Jaye
Mausam Badal Jaye
Ya Pehlay Ki Tarah Ab phir December na dhal jaye
Kabal Iss kay Keh..!
December aur Ham teri Rahoon mai baithay Tujhko Awaz detay hain..
Keh Tum milnay Chalay aao
December mai Chalay aao..

December ke maheene meiN

December lauT aaya hai
tumhaare lauT aane ki
naii ummeed jaagi hai

abhi pichhle baras tum ne
mire seene pe sar rakh kar
haya se muNh chhupaaya tha

abhi pichhle baras hi to
December ke maheene meiN
tumheiN baaNhoN meiN thaama tha

magar april aane tak
tumhaari jheel aaNkhoN meiN
naya sapna samaaya tha

Maray chhoTe se aaNgan meiN
tumheiN vehshat si hoti thi
mujhe tum ne bataaya tha

"kisi ki qaid meiN rehna
mujhe achchha naheeN lagta
maiN ik aazaad panchhi hooN"

suna hai phir se tanha ho
sitambar ke maheene se
bohat khaamosh rehti ho

k jis ko tum ne chaaha tha
vafa ke naam se us ko
bohat vehshat si hoti thi

voh ik aazaad panchhi tha
kisi ki qed meiN rehna
usay achchha na lagta tha

suna hai mere aaNgan ki
tumheiN ab yaad aati hai
suna hai tum pashemaaN ho

chalo phir aisa karte haiN
disambar ka maheena hai
naya aaghaaz karte haiN

tumheiN baaNhoN meiN le looN maiN
mire seene pe sar rakh kar
haya se muNh chhupa lo tum

December lauT aaya hai
suno ab lauT aao tum
suno ab lauT aao tum

Sunday, December 19, 2010

December Ka Mahina Hai

December Ka Mahina Hai 
Suhani Shaam Mangal Ki 
Kooi Larki Pari Jaisi 
Mili Thi Wrong No Par 
Magar Woh Tum Nahee Shayad Tumharay Jaisi Larki Thi 
K Jis Ki Garam Joshi Se Anokhi Aag Bharki Thi 
Yeh Telephone Us Ka Tha Hoi Thi Guftagu Us Say 
Bohot Si Raaz Ki Batain Unhay Mein Kaisay Dohraooo 
December Ka Mahina Tha 
Suhani Shaam Mangal Ki 
Hai Yeh Kushkismati Meri Jisay Socha Usay Paya 
Haseen Awaz Ne Uski Meri Sansooon Ko Garmaya 
December Ka Mahina Tha 
Chalo Choro Abhi Usko Nahee Mojood Agar Ab Woh 
Tumhara Lehja Milta Hai Usi Benaam Larki Say 
Zara Itna Bata Do Tum Tumhari Ankein Kaisi Hai 
December Ka Mahina Tha 
Suhani Shaam Mangal Ki 
Koi Larki Pari Jaisi 
Mili Thi Wrong No Par 
Magar Woh Tum Nahee Shayad 
Tumharay Jaisi Larki Thi 
K Jis K Garam Joshi Se Anokhi Aag Bharki Thi 
Tumhari Yo Mudhar Awaz 
Batati Hai Mujhay Yeh Raaz 
Haseen Tum Us Se Bhar Kar Ho 
Kisi Sapney Ki Soorat Ho 
Mili Ho Itefakan Tum Usi K Wrong No Par 
December Ka Mahina Hai 
Suhani Shaam Mangilmangal Ki 
Zara Bhi Tum Na Sharmaoo Mujhay Milnay Chali Aaoo 
December Ka Mahina Hai

suno December!

Suno
kay is saal ki hur gharri
tumhari tarah mein ne bhee
guzari kissi ki yaad mein
kitni tanha thee mein
suno December!
meri jaan nikalney kion aatay ho
abhi hum ne apne ansooun se
wazo bhee nahi kia
abhi tu roh ko nehlana baqi hai
suno December!
un se milne ki
bharpoor tamanna baqi hai...

Saturday, December 18, 2010

Suno ayy jaan say pyaree...

Suno ayy jaan say pyaree...
tumhain maloom he ho ga
tumharay bin tou ab mera
Guzara ho nahi sakta...
trapta hon judaee mein..
ye maree bay basee dekhoo
Mein khul k roo nahin saktaa
meray aa'sab pay hawee..
tumharee yaad ka pehraa
mein shaab ko sou nahi sakta
Suno jaan'an koi rasta..
koi tadbeer ho aisee..
kay dil k chaak sil jayin
judaee mein wafaon ke
kaheen pe gul jo khil jayin
Ke hum ik bar mil jayin!!!
Jawab'an uss nay likh bhayja..

"Ayy meri jaan se barh ker...!!!
Ye meraa Akhree khaat hai
Ye manaa hai bohat mushkil
magar dekho maree khatir..
tumhain har haal mein mujh say..
kinaraa karna he ho ga..!!!
tumhain ab meray bin jaan;an
Guzaraa karna he ho ga....
Koi tadbeer bhi ab kay...
humaray bus say bahir hai!!!
jo dil ke chaak hain jaan;an..
ye phir say sil nahi saktay
Judaee mein wafaon ke...
kabhi gul khil nahi saktay
Sunoo......Hum mil nahi saktay!!!"
Tumharee Khahishain jaan;an
hein sar ankhon pay mere Sou
sar-e-raah-e-mohabbat mein
tumharee khahishon ka ab..
jo ik tawaan hai mujh per
ussi ko bhaar raha hon meiN
Ubhartee sans kahtee hai
Musalsal MaaR Rahaa hon meiN
Guzaraa Kar raha hon mein !!

Friday, December 10, 2010

Woh Muskana Tera Woh Sharmana Tera December Ka Sama
Woh Bheegi Bheegi Sardiyaan 
Woh Mosam Kaya Huwa Naa Jaane Kahan Kho Gaya
Bas Yaadien Baki.......

december bet gaya

Aaj tum na phone kia aur na hi koi mail 
Din bhar tumharay phone ka intizar raha.. 
Phir majboranan mein ne khud he kar lia 
Tumhai bura to nahin laga….jana’n! 

is saal december ne

Yakh Basta December Ki Raaton Mein,



December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!

December ki shab-e-aakhir na poocho kis terha guzri
Yehi lagta tha her dam woh hamein kuch phhool bhaijey gaa

Chandi DECEMBER ki.. !!

Raat Osne Poocha Tha
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki..?

Mene Kehna Chaha Tha
Saal-O-Maah K Baaray Main
Guftagu K Kya Maainay..
Chahay Koi Manzar Ho
Dasht Ho, Samandar Ho
June Ho, December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Man'zaro Pe Bhari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaise
Ek Nasha Sa Taari Hai

Lekin Os Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Mene
Takti Reh Gai MUjh ko
Chandi DECEMBER ki.. !!

Thursday, December 9, 2010

DeCemBEr kyuN Udaasiyon k khel khelta hai
najane kyun gher rahi hai besabab udaasi si

December ! Tehar jao….!!!


Abhi lamhe nahi bikhre
Abhi mosam nahi bichre
Mere kamray ki thandak me
Abhi kuch dhoop baqi hay
Meri diary k kuch safhay
Abhi kuch keh nahi paye
Mere angan k sab poday
Abhi bhi gungunate hain
Mere be-jaan hoonton per
Abhi muskaan waisi hay
Kisi k laut aanay ka
Abhi imkaan baqi hay
December !
Aik baat boolun main,
Agar tum maan jao,
December !
Tehar jao….!!!
Tehar jao….!!!

DECEMBER LoT AaYa Hai..


DECEMBER LoT AaYa Hai..

December Lot Aaya Hai
Tumhare Lot AaNaY Ki Nayi Umeed JaGi Hai
Abhi Pichly Baras Tumne
Mere Haathon Pe Rakh K Haath
Haya Se Mouh Chupaya Tha
Abhi Pichly Baras Hi To
December K Mahiny Main
Tumhain Baahon Main Thama Tha
Aur April Aany Tak
Tumhari Jheel Ankhon Main Naya Sapna Sajaya Tha
Mere Choty Se AnGan Main
Tumahain Wehshat Si Hoti Thi, Mujhe Tumne Bataya Tha
Kisi Ki Qaid Main Rehna Mujhe Acha Nahi Lagta
Main Aik Aazaad Panchi Hoon
Suna Hai Phir Se Tanha Ho
Setember K Mahinay Main
Aise Boht Khamosh Rehte Ho
K Jis Ko Tumne Chaha Tha
Wafa K Naam Se Osko Boht Wehshat Si Thi
Wo Aik Aazaad Panchi Tha
Kisi Ki Qaid Main Rehna Ose Acha Nahi Lagta
Suna Hai Mere AanGan Ki
Tumhain Ab Yaad Aati Hai
Suna Hai Tum PAsheMa'aN Ho
Chalo Phir Aisa Karte Hain
December Ka Mahina Hai
Naya AaGhaZ Karte Hain
Tumhain Baahon Main Le Loon Main
Mere Seenay Pe Sar Rakh K
Haya Se Mouh Chupa Lo Tum
DECEMBER Lot AaYa Hai.. 

DECEMBER tu aye ga

Bohat shidat se intezar rehta hay mujhey DECEMBER ka.
Wese tu sab mosamon se pyar hay mujhey 
lakin DECEMBER se khas lagao hay mujhey
is ki wajah ye hay k jab wo pechle saal DECEMBER main pardes ko jane laga tha tu
usne mujhse kaha tha k wo DECEMBER main hi wapis aye ga.
yehi wajah hay k DECEMBER se pyar hay mujhey.
DECEMBER aa gaya hay ab Dil bohat beqarar rehta hay.
Jab se wo gaya hay na tu uska koi Phone aya hay na koi Khat.
Shayed wo achanak Mujhey aa ker mujhey hairan kerna chahta hay.
Main pagli uska bohat intezar kerti hun
DECEMBER main ane ka Wada jo kiya tha usne
Aaj DECEMBER ka akhri din hay.Saal aur DECEMBER dono borhe ho gaye hain.
Yunhi surkh naak hay meri 
Tum to jante ho na Sardi bohat hay
Ankh main bus intezar hay
Main us ki yaad main bilkul nahi roi
Han bus us ke palatne ka intezar ker rahi hun Shayed us ne agle DECEMBER ka kaha ho ga.
Akhir wo Pardes main gaya hay char pese kamane k liye.Lotne main Takhir tu ho sakti hay.
Yeh mujhey tu maloom hay k wo apni zuban ka khara hay.
Us ne kaha tha ke wo DECEMBER main hi aye ga.Lakin sath main us ne saal ka nahi bataya tha
Wo DECEMBER 2009 ka ya 2010 ka ya kon se saal ka ho ga.
Bus itna yaad hay k usne kaha tha
K wo DECEMBER main hi Lote ga
Abi pechle 11 mahine DECEMBER ke intezar main tanha kate hain.
Ab aur 11 maah ka intezar Oooooh Mere RABA!
11 mahine tu kat hi jayen ge lakin December un 11 mahino se b lamba hota hay Intezar ka tu Aik aik lamha bohat lamba hota hay.
akhir mere kehne per DECEMBER na tu January ki jaga tu nahi aye ga aur na hi there ga.
Chalo jahan 1 DECEMBER beet gaya wahan 1 aur DECEMBER ka intezar kerte hain.
Akhir hum un se Pyar kerte hain.DECEMBER tu aye ga hi us ka pata nahi.


Tum Meri Aankh Ke Tewar Na Bhula Paao Gi

Tum Meri Aankh Ke Tewar Na Bhula Paao Gi

Ankahi Baat Ko Samjho Gi To Yaad Aaoun Ga

Hum Ne Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Akhatte Dekhe Hain

Safah_E_Zeesat Ko Palto Gi To Yaad Aaaoun Ga

Isi Andaaz Main Hote Thay Mukhaatib Mujh Se

Khat Kisi Aur Ko Likho Gi To Yaad Aaaoun Ga

Sard Raaton Ke Mahakte Huye Sanaaton Main

Jub Kisi Phool Ko Choomo Gi To Yaad Aaaoun Ga

Ab Talak To Tere Ashk Main Honton Se Chura Leta Hoon

Haath Se Inhein Khud Poncho Gi To Yaad Aaaoun Ga

Shaal Pehnaaye Ga Ab Kaun December Main Tumhein

Baarishon Main Bheego Gi To Yaad Aaaoun Ga

Aaj Tum Mehfil_E_Yaaraan Pe Ho Magroor Bohot

Jub Kabhi Toot Ke Bikhro Gi To Yaad Aaaoun Ga

Haadse Aayein Ge Jeewan Main To Tum Ho Ke Nidhaal

Kisi Deewar Ko Thaamo Gi To Yaad Aaaoun Ga

Is Main Shaamil Hai Meri Bakht Ki Taareeki Bhi

Tum Siyaah Rang Jo Pehno Gi To Yaad Aaaoun Ga
(wasi shah)