Pages

Monday, December 20, 2010

December ke maheene meiN

December lauT aaya hai
tumhaare lauT aane ki
naii ummeed jaagi hai

abhi pichhle baras tum ne
mire seene pe sar rakh kar
haya se muNh chhupaaya tha

abhi pichhle baras hi to
December ke maheene meiN
tumheiN baaNhoN meiN thaama tha

magar april aane tak
tumhaari jheel aaNkhoN meiN
naya sapna samaaya tha

Maray chhoTe se aaNgan meiN
tumheiN vehshat si hoti thi
mujhe tum ne bataaya tha

"kisi ki qaid meiN rehna
mujhe achchha naheeN lagta
maiN ik aazaad panchhi hooN"

suna hai phir se tanha ho
sitambar ke maheene se
bohat khaamosh rehti ho

k jis ko tum ne chaaha tha
vafa ke naam se us ko
bohat vehshat si hoti thi

voh ik aazaad panchhi tha
kisi ki qed meiN rehna
usay achchha na lagta tha

suna hai mere aaNgan ki
tumheiN ab yaad aati hai
suna hai tum pashemaaN ho

chalo phir aisa karte haiN
disambar ka maheena hai
naya aaghaaz karte haiN

tumheiN baaNhoN meiN le looN maiN
mire seene pe sar rakh kar
haya se muNh chhupa lo tum

December lauT aaya hai
suno ab lauT aao tum
suno ab lauT aao tum

No comments:

Post a Comment