Pages

Sunday, November 28, 2010

ALLAH

♥░░▓▓▓▓░░▓▓░░░░▓▓░░░░░▓▓▓▓░░▓▓░░▓▓░░♥
♥░▓▓░░▓▓░▓▓░░░░▓▓░░░░▓▓░░▓▓░▓▓░░▓▓░░♥
♥░▓▓▓▓▓▓░▓▓░░░░▓▓░░░░▓▓▓▓▓▓░▓▓▓▓▓▓░░♥
♥░▓▓░░▓▓░▓▓░░░░▓▓░░░░▓▓░░▓▓░▓▓░░▓▓░░♥
♥░▓▓░░▓▓░▓▓▓▓▓░▓▓▓▓▓░▓▓░░▓▓░▓▓░░▓▓░░♥

december se judiae ka dhukh..

Tuj say judai ka dukh

Tere hijer ka karb

Dekh ! phir say aa gaee hain

December kee sard ratain

Azab ratein

Tere karb main dobi

Khowfanak ratain


Teri wo pur noor ratain

Tujhey kiya khaber

December kee sard ratoon main

Tere sang beeti sardion key

Khushgawar khobsurut shamoon ko yaad kertha hoon

Ik mohoom si tamana kay sahray

Teri talash mein

Sarkoon per awara phirth hoon


Aatay jatay chehroon main tujhey khoja kerta hoon

Shayad kay wo tum ho

Aur thak haar ker jo lautta hoon

To khud per khoub hansta hoon

Phir !

Phoot phoot ker roota hoon

december ki akhri sham

"AAKHRI SHAAM"

Usy kehna....!

December ja reha hay

Or December ki aakhri shaam hay

Aur December k guzartay hi

Baras ik aur maazi ki fiza mein doob jaye gaa

Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly

Muhabat ki kahani ko koi takmeel day jana

Usy kehna, December ka maheena jaisy hi guzray ga

Umeeden doob jayen gee

Wo sapnay toot jayen gay

Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly
Mohabat ko koi tabeer dai jaye

Usy kehna, Muqadar ko hamaray doob jany say
bacha lena..!!!

me lotoga december me

"DECEMBER JAB BHi AATA HAi" 


Wo Pagli Phir Se 
Beetay Mosam Ko, 
Yad Krti He 


PoraNe Cards Parhti Hai, 
K Jis MaiN Oss Ne Likha Tha, 
MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN 


Naye Kaprey BaNati Hai, 


Wo Sara Ghar Sajati Hai, 
DECEMBER K Har Aik DiN Ko, 
Wo GiN GiN Ker Bitati He. 


JooN Hi 15 Gozarti Hai, 


Wo Kch Kch Toot Jati Hy, 


Magar Phir B, 
PoraNi Albums Ko Khol Ker, 
Maazi Ko Bolati He. 


Nahi Maloom Ye Oss Ko, 
K Beete Waqt Ki KhoshiyaaN, 
Bohot Takleef Deti HaiN! 
Mehiz Dil Ko Jalati HaiN. 


YooN Hi DiN Beet Jate HaiN! 
DECEMBER Lot Jata He. 


Magr Wo Khosh Feham Larki, 
Dobara Se CaleNdar MaiN, 
DECEMBER K MahiNe K Safey Ko 
Mor Ker 


Phir Se 
DECEMBER K Sehar MaiN Dob Jati He! 


K Akhir Os Ne Likha Tha, 


"MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN"...

december k haseen din the

December k haseen din thay

Murree ki yakh fizaon mein

Hamare chaar haathon nein

Mujasma ek banaya tha

Kaha tha ek dooje ko

Nishani pyar ki apni

Bari he khoobsoorat hai

Mujhe ab yaad aata hai

Mujasma barf ka tha wo

Usse aakhir pighalna tha

Usse to mitt he jana tha

Usse to mitt he jana tha..!!

december ne rula dia

Afsoos us ne mera naam tak bhula diya
is saal december ne behad rulaa diya.


her sal december mein barasta raha paani
is saal december ne bhi aanso baha diya


aab ajnabi sa lagta hai her shakhs mujhe q?
bazar-e-ishq ne mujhe kis se milaa diya


is sard raat mein bhi tapish tan badan mein hai
teri judaayi ne mujhe esa jala diya


chadar wafa ki orhh kar khud chain se soye
tanhayi k takiya per mujhe tanha sula diya


aanso k samander mujhe tohfey mein dey diye
meri wafa ka tu ne kiya acha sila diya


rakha tha saal bhar jise sambhaal kar
aatey he december ne wo diya baha diya....

december hamare haal pe roya

Humare hal per roya DECEMBER
Woh dekho toot ker barsa DECEMBER


Guzar jata hai sara saal yun toh
Nahi katta magar tanha DECEMBER


Bhala barish se kya sarab ho ga?
Tumhare wasal ka payasa DECEMBER


Woh kab bichra? nahi aab yaad lekin
Bas itna illm hai k tha DECEMBER


Yun palkein bheegati rehti hain aise
Meri aankhon main jaise aa thehra DECEMBER


Jama ponjhi yehi hai umer bhar ki
Meri tanhai aur mera DECEMBER


Sabab na pooch mere aanson ka
Hai pehle hijr ka pehla DECEMBER


Main inn yaadon se bach k jaon kaise
K mellon dor hai phela DECEMBER


Meri aankhon se ger deko toh jano
K hai barsaat main jalta DECEMBER


Abhi tak kohr main dooba hai aangan
Abhi tak yaad hai pechla DECEMBER...!!!

december

sulag rahi hain dahan mey kibaein lafzon ki
mgr zubaan pe wohi sardion ka mosam hai

tumhare aane pe suraj k haath chamkein ge
mere makan pe wohi sardion ka mosam hai

har ek simt pighalne lage hain san'nate
tere beyaan pe wohi sardion ka mosam hai

teri judai k pal se hua hai ishq hanoot
k iss jahan pe wohi sardion ka mosam hai

wo mujh ko soonp gya furkatein DECEMBER mey
darkhte jaan pe wohi sardion ka mosam hai

humare lab to duaein jalay rakhte hain
par asmaan pe wohi sardion ka mosam hai..!!
December Main tera ayna mujhy acha sa lagta hai
pall pall Roth karna jana mujhy acha sa lagta hai


kabhi sarde se lagte hi tere namkeen baton sey
Ayon Khayaab Main Aynaa Tera Acha sa lagta hai


Tumhare Sharbate Aankhin Mujay Aksir Batate hain
Mare Saath Athlana Tumye Acha Sa Lagta hai


Kabhi Jo Shaam ko AKsir main Tanha sa hota hon
Tum ko Such kar Gungunana Bhara Acha Sa Lagta hai

December Ki Tanha Ratin Us par tera jadoo
Supno Main khoye Jana bhara Acha sa lagta hai

main Tayaar Rheta hon kub wo han kardai
us ko dulhan bunana ghar lana Acha sa lagta hai..!!

december aan phuncha hai

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar main aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar ayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka hai raaj khizaan taaak main hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut main udasi bhi chaukhat pe khadi hai
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum Aao to mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut to sar e baam hai December aan pahuncha hai..!!

Jitne shedat se mujhe zakham deye hain
Utne shedat se to main ne ose chaha bhi na th..!! :((

Ajab Tamasha_e_ishq Daikha ELLAHi Teri Duniya Mein.
Teray Hi ik Banday Nay Teri hi Yaad Say GafiL Kr Dia..

ara Maza HO K Mehshar Main Hum Karain Shikwa

ara Maza HO K Mehshar Main Hum Karain Shikwa..
Who Mintto Sy Kahy, Chup Raho na Khuda K Liy.......

december sehleta hai

 SArd raTo ki Bhegi TanHai,..

barsaAt ki boNd k chO0te hi, suLagTa baDan,...

biTi yaD0o bitEe laHo0 me,suLagtA huWa DIl....


yu guzRe saRee saAl k dhuk.. aur SAreee ghum..!!!
akelA ek DECEMBER sehleta hai...!!

ek shaks ko dheka tha

ik taza hikayat hai sun lo to anayat hai

ik shakhs ko dekha tha taron ki tarah ham ne
ik shakhs ko chaha tha apno ki tarah ham ne
ik shakhs ko samjha tha pholon ki tarah ham ne

wo shakhs qayamat tha kia karen us ki batain
din us kaliay paida aor us ki hi theen raten
kam milna kisi se tha ham se then mulakaten

rang us ka shahabi tha zulfon men then mehkaren
ankhen then k jadu tha palken then k talvaren
dushmun bhi agar dekhen sao jan se dil haren

kuch tum se wo milta tha baton men,shabahat men
han tum hi sa lagta tha shokhi men,shirarat men
lagta bhi tum hi sa tha dastur-e-mubahat men

wo shakhs hamen aik din apno ki tarah bhoola
taron ki tarah dooba pholon ki tarah toota
phir hath na aya wo ham ne to bohat dhonda

tum kis liya chonke ho kab zikar tumhara hai
kab tum se taqaza hai kab tum se shikayat hai
ik taza hikayat hai sun lo to anayat hai

ajab pagal si larki hai

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhay her khat main likhti hai
“Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN?”
meri baatain satati hain
meri neendain jagati hain
meri aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho?
kisi khamosh rustay se
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoN main
tum abb bhi chhatt pe jaatay ho?
falak ke sab sitarooN ko
meri baatain sunatay ho?
kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai?
Ajab pagal Si larki hai
mujhay her khat main likhti hai..

Jawaban ous ko likhta hooN..
meri masroofiyat daikho subah se shaam office main
chiragh-i-umer jalta hai
phir ous k baad duniya kee
kaee majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad
kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai
farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai
mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo log akser gungunatay hain
ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal si lerki ho
meri masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
“tumhain main yaad aati hooN ?”
meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN

tumhe taqsem kardega..!!


Tumhein Taqseem Kr De Ga Ye Har Ik Dil Mein Ghar Krna...

Tum Ab K Baar Youn Kar Lo K, Bus Mery Hi Ho Jao...!!