Pages

Tuesday, September 4, 2012

Mujhe Tum Yaad rakho ge.


Bichar jaiyein ge Hum laikin
Hamari yaad kay Jugnoo
Tumhari shab kay daman mein
Sitara bn kay chamkein ge
Tumhein bechean rakhein ge
Bohat Masroof rehne kay
Bahane Tum bnao ge
Bht koshish kro ge Tum
Kay ab Moasam jo badlein tou
Hamari yaad na aiye
Magar aisa nahin ho ga
Kahin Jo Sard Moasam mein
December ki hawaoun mein
Tumhare Dil kay goshon mein
Jammi hain barf ki taraah
Woh yaadein kaise pighlein gi
Kabhi garmi ki tapti surkh gharriyon mein
Mere Maazi ko socho ge
Tou Aankhein bheeg jaiyein gi
Gharri peeche ko doure gi
Kae saalon ki gum gashta
Hamari yaad aiye gi
Bichar jao Magar Sun lo..........!!!!!
Hamare Darmiyaan Aisi ..............
Koi tou baat bhi ho gi.............
Jissay Tum Yaad rakho ge..............
Mujhe Tum Yaad rakho ge.

use kehna kabhi milne chala aye


use kehna

kabhi milne chala aye
hamarey paon me jo rasta tha
rastey me paid the
paidon me jitni taairon ki tolian
hum se mila karti theen
abb wo udtey udtey thak gayi hain
wo ghani shakhain
jo hum pe saya karti theen,murjha gayi hain
usey kehna kabhi milne chala aye
Labon par lafz hain
Lafzon me koi dastan, qisa, kahani
jo usey aksar sunatey the
kisey ja kr sunain ge
batain ge keh hum
mehrab-e-abroo par sitare tankne wale
dar-e-lab bosa-e-izhar ki dastak pe
aksar kholne wale
kabhi bikhri hui zulfon main hum
mehtab ke gajre bana kar bandhne wale
charagh or aieney k darmean
kab se sar-e-sahil khadey mojon ko takte hain
use kehna use hum yad karte hain
Use kehna hum aa kar khud use milte magar
maqtal badalte mosmon k khoon main rangeen hain
aur hum qatar under qatar
esey boht se mosmon ke darmean tanha khadey hain
jane kabb apna bulawa he
keh hum main aj bhi ik umr ki waraftagi 
or wahshaton ka raqs jari he
wo bazi jo bisat-e-jan pe kheli thi
abhi hum ne na jeti he na hari he....!