Pages

Tuesday, September 4, 2012

use kehna kabhi milne chala aye


use kehna

kabhi milne chala aye
hamarey paon me jo rasta tha
rastey me paid the
paidon me jitni taairon ki tolian
hum se mila karti theen
abb wo udtey udtey thak gayi hain
wo ghani shakhain
jo hum pe saya karti theen,murjha gayi hain
usey kehna kabhi milne chala aye
Labon par lafz hain
Lafzon me koi dastan, qisa, kahani
jo usey aksar sunatey the
kisey ja kr sunain ge
batain ge keh hum
mehrab-e-abroo par sitare tankne wale
dar-e-lab bosa-e-izhar ki dastak pe
aksar kholne wale
kabhi bikhri hui zulfon main hum
mehtab ke gajre bana kar bandhne wale
charagh or aieney k darmean
kab se sar-e-sahil khadey mojon ko takte hain
use kehna use hum yad karte hain
Use kehna hum aa kar khud use milte magar
maqtal badalte mosmon k khoon main rangeen hain
aur hum qatar under qatar
esey boht se mosmon ke darmean tanha khadey hain
jane kabb apna bulawa he
keh hum main aj bhi ik umr ki waraftagi 
or wahshaton ka raqs jari he
wo bazi jo bisat-e-jan pe kheli thi
abhi hum ne na jeti he na hari he....!

No comments:

Post a Comment