Pages

Friday, November 30, 2012

December Last Night


Raat Bhar Neend Na Aanay Ka Sabab Tu

Maloom Nahi

Haan Mager

December Ki Guzarti Hoii

Aankhri Adhori Shab

Meri Zindagi Ki Adhori 

Kahani See Lagi

Her saal jaunary


Her saal jaunary
humain kuch sapnay dikhati hai
jis ko poora kernay main 
december aa pohanchta hai
zindagi aur akheer bi mano 
umer kay january aur december hain
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai
aur umer ka december aan pohanchta hai
aur saal ki terha
saans bi khutum ho jati hai

Saal kaa Aakhri Din Hai


Saal kaa Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai
Chaloo Mil Baith Kay Apnay Khasaray Bant Letay Hain
Sab He Rang Aur jugnoo Aur Sitaray Bant Letay Hain
Zara See Dair Ko Tay Hai key Akhir Shaam Hona Hai 
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

Too kyon Naa Kuch Shaam Say Pehlay
Jo Kuch Ghariyan Muyasir Hain
Unhee Mein Zindagi Kar Lain,
Kisi Ahsaas Kee Shama Jala Kar
Inn Andheron Main
Koyee Daam Roshni Kar Lain
Chaloo Hum Dosti Kar Lain
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

مجھ سے پوچھتے ہیں لوگ کس لئیے دسمبر میں


مجھ سے پوچھتے ہیں لوگ
کس لئیے دسمبر میں
یوں اداس رہتا ہوں
کوئی دکھ چھپاتا ہوں
یا کسی کے جانے کا
سوگ میں مناتا ہوں


آپ میرے البم کا
صفحہ صفحہ دیکھیں* گے
آئیے دکھاتا ہوں
ضبط آزماتا ہوں


سردیوں کے موسم میں
گرم گرم کافی کے
چھوٹے چھوٹے سپ لے کر
کوئی مجھ سے کہتا تھا
ہائے اس دسمبر میں
کس بلا کی سردی ہے
کتنا ٹھنڈا موسم ہے
کتنی یخ ہوائیں ہیں


آپ بھی عجب شے ہیں
اتنی سخت سردی میں
ہو کے اتنے بے پروا
جینز اور ٹی شرٹ میں
کس مزے سے پھرتے ہیں


شال بھی مجھے دے دی
کوٹ بھی اڑھا ڈالا


پھر بھی کانپتی ہوں میں


چلئیے اب شرافت سے
پہن لیجئے سویٹر
آپ کے لئیے میں* نے
بن لیا تھا دو دن میں


کتنا مان تھا اس کو
میری اپنی چاہت پر


اب بھی ہر دسمبر میں
اسکی یاد آتی ہے


گرم گرم کافی کے 
چھوٹے چھوٹے سپ لے کر
ہاتھ گال پر رکھے
حیرت و تعجب سے
مجھ کو دیکھتی رہتی
اور مسکرا دیتی


شوخ و سرد لہجے میں
مجھ سے پھر وہ کہتی تھی
اتنے سرد موسم میں
آدھی سلیوز کی ٹی شرٹ!ٓ
اس قدر نہ اترائیں
سیدھے سیدھے گھر جائیں
اب کی بار جب آئیں
براؤن ٹراؤزر کے ساتھ
بلیک ہائی نیک پہنیں
کوٹ کوئی ڈھنگ سا لے لیں
ورنہ میں* قسم سے پھر ایسے روٹھ جاؤں* گی
سامنے نہ آؤں گی
ڈھونٹتے ہی رہئیے گا
پاس بیٹھے ابّو کے
پالٹیکس پر کیجئے گرم گرم ڈسکشن
کافی لے کے کمرے مِیں مَیں تو پھر نہ آؤں* گی
خالی خالی نظروں* سے آپ ان خلاؤں* میں 
یوں ہی تکتے رہئیے گا
اور بے خیالی پر ڈانٹ کھاتے رہئیے گا


کتنی مختلف تھی وہ
سب سے منفرد تھی وہ
اپنی ایک لغزش سے
میں نے کھو دیا اسکو


اب بھی ہر دسمبر میں
اسکی یاد آتی ہے

PAIGHAM december ka


PAIGHAM
Jata december ki
Sard hawaoo
kaho ja ka us sa
bhula day sari khataye
nadaniya, jafayain
teri ranj adayan
humain rulayee
sar-e-shamm ban ka ankhoon main jugnoo
kaho jaka us sa
sard hawaoo
ya lamhay phir na aye ga
kis tarah dil ko apna hum samjaye
tujhe kare yaad
ya ka bhool jaye!

December ki aakhri sard shaam thee


Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay
Guzarti saa'atoo ke dhundelkay
Aur
Palkoon pe yadoo ke sitaaray
Pal bhar ko yun laga jaisay
Unhi yaadon unhi kahaaneyoon ke beech
Wakt tham sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraag jala thaa roshni ke liye
Madham hogaya ho jaisay
Aur jo dariya muhabbatoon ka tha
Ab utar gaya ho jaisay
Aakhri shaam ka doobta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chaahatoon ka suraj bhi
Doob raha ho jaisay


Magar ab dil mein yaadoon ke siwa
Aur aankh mein aanso'oon ke siwa
Aur bacha hi kya hai
Jo ab aakhri saa'atoon ke naam karoon
Woh sab chaahatain aur sab muhabbatain
Aur un muhabbatoon ki saari shiddattain
Sab kuch tu ussi ke naam kar diya thaa


Haan, magar ab tak yaad hai
Us wakt bhi suraj yunhi doob raha thaa
Aur... woh bhi
December ki aakhri sard shaam thee
Jab us ne dheeray se kaha thaa
"Naya Saal Mubarak"... !!!

Shaal Pehnaaye Ga Ab Kaun December Main Tumhein


Ab Talak To Tere Ashk Main Honton Se Chura Leta Hoon

Haath Se Inhein Khud Poncho Gi To Yaad Aaaoun Ga

Shaal Pehnaaye Ga Ab Kaun December Main Tumhein

Baarishon Main Bheego Gi To Yaad Aaaoun Ga

December tum mat aaya karo


December tum mat aaya karo 

Suno k 

Jab bhi tum aate ho 

Udasiyon ki undeikhi 

BARISHON MEIN DIL KO BHIGHO DEITE HO 

Tum aate ho to... 

Barfeeli si tanhaiyon ki 

Sard hawa kantton ki tarah 

Rag-e-jaan mein chubhne lagti hai 

Aur akayle pan mein 

Dukh jaag kar 

Neendon ko nigel jate hein 

Aur jo apne.. 

Judaai ki dhund mein.. Kho gaye hein 

Hum se buhat door ho gaye hein 

Unki yaad.. phir se aane lagti hai 

"Suno December" Tum mat aaya karo!!!

*** DECEMBER KA DUKH ***


December b Ajab Maheena Hay
Iss k Shoro Hotay Hi Aisa Mehsos Hota Hay
k Jaisy Purani Diary k Auraaq 
Hamarey Samney Khul Gaye Hon
Yaadein, Judaiyan...Guzrey Lamhaat Phir Se Zinda Ho Kar
Dard Ko Aanch Deney Lagtey Hain
Sood-o-Zayan Ka Hisab,Raiganii Ka Karb
Waqt k Guzarney Ka Ehsas Do Chand Ho Jata Hay
Kya Khoya Kya Paya Ka Maizan Takleef Deta Hay
Mujhay Lagta Hay k Har Shakhs k Ander Apna Apna December Saans Leta Hay
Mery Ander b Ik December Hay
Jis Ne Meri Zindagi Par
Dukh Aur Hijr k Nohay Likhay Hain
Yeh December Ki Kuhar Alood Rat
Dukh Ki Be Yaqeeni Mein Ghira Hua
Aansoun Mein Doba Hua Mera Chehra
Aankhon k Kinarey Khushk Hoyein To Barshein Zameen-e-Dil Par Barasti Hain
Dukh Ehsas Ki Jarr Pakarta Hay Aur
Mery Lafzon Mein Hamakta Dikhayi Deta Hay
Zindagi Na Gihanii Judayii Se Laraz Uthtii Hay
Takhleeqkaaron Ko December Judayi,Dukh Aur Hijr Ka Ista,ara Lagta Hay
Usay Kehna December Aa gaya Hay
Hawayein sard Hain
Aur Zindagi
Kuhar Ki Deewaron Par Larzan Hay
Shagoofay Tehniyon Par So Rahay Hain
Aur In Par Barf Ki Chadar Jami Hay
Usay Kehna
Agar Sooraj Na Nikley Ga
To Kaisy Barf Pighley Gi...?!!

December lout aaya hy


December lout aaya hy

bhegi surd hawao

ussy batao________!!!

December lout aaya hy

dil pay udasiyo ka pehra hy

paya to uski mohabbat main kuch bhi nahi

buss__________!!!

chain o qarar hum ny khoya hy

beet gaya judayi ka ek or saal

hasher sa uski yado ny uttaya hy

bhegi surd hawao_______

ussy batao__________!!!

dil py lagy hy jo ghao

unhain dekh jaye

jal rahy hy jo

dukh k dehakty aalao

bhegi surd hawao

ussy batao_____!!!

December lout aya hy

tum bhi lout aao

hum sitam rasida logo ko

or na satao

lout aao

December beet raha hai


December beet raha hai

wo gham 
wo aansoon 
wo dard
ab bhi mehsoos hota hai 

wo batain 
wo sapnain 
wo ratain 
ab bhi jeetain hain

wo rahain 
wo sasain
wo bahain
ab bhi tarpati hain

par sard shamain guzar rahi hai

wo garm sasain tehar rahi hain

aankhon ki un surkhion main lehar thi jo wo jam rahi hai 

or zindagi bhi tham rahi hai

k ab 

december beet raha hai.......

December Ki


Iss baar december main

Iss baar december main mujhey tum bohat yaad aaye
shaam dhaliy tamanna key sarak par taheelty howe
kheza key sokhey pato par chalty howe bareshe main
bhegtey howe,heejre key gum seheety howe,aamawas
ki raat kaatey howe sarde ki dhoop sengtey howe
share aakely parhty aur samjhty howe raat der tuk jagty
howe,chand aur chandani ko taktey howe, khamoshe
sey ansoon bahaty howe,aakely december banatey howe,
mujhey tum bohat yaad aaye.....................!

Khamoshi december ki


Khamoshi december ki

khamoshi december ki
veeran sard raaton main
khunk se her ahat main
zabt ki kai koshishooo ko
juhtlati hai....aur sard banati hain
khamoshi december ki
is terha nikharti hai
hijr ko berhati hai...
mujhe bechain kerti hai
khamoshi december ki

Sard Raatoon Main


December ki sard ratoon mein,
kuch lamhoon mein kuch Baatoon mein,

Koi mere sath tha,
Jisnay kaha tha Nibhaonga sath,

Aj mein us say bohat Door aachuka hon,
Mein wo Waqt ganwa chuka hon,

Per jab uski Yaad aati hai,
Neend bohat door chali jati hai,

Meri Taanhaiyoon ko haseen banati hai,
Ab aesey hi Zindagi bitaengey,

Thursday, November 8, 2012

wada

Mera waada hai yeh tum se
Tumhein main itna chahun ga
K duniya mein kaheen par bhi
Muhabbat k hawaly se
Kabhi jo baat nikly gi
Hamara naam aye ga..!!!