Pages

Monday, January 31, 2011

January ki raat

January ki raat
Mere Doston kay nAam
Ulfat Bhara Slam
Mere Doston kay NaAm
Likha Hai yeh Kalam
Main Nay Doston kay naam
Kuch ko main nay manaya
Kuch nay mujhe manaya
Hum nay diya Elzam
Ek dosray kay Naam
Kuch waday keay puray
Kuch Reh gaey Adhoray
Nibhayen gay hum ye Dosti
Ehd-e-Wafa kay Naam
Chalti rahe ye Dosti
Ta Dam-e-Ikhtitam
Mera Hai yeah Pegham
Meray Doston kay Naam.....
JANUARY ki raat
Meray Doston kay Naam..

*˜˜˜”*°• ♥ SHAIKH SUF| ♥ •°*”˜˜˜*

Friday, January 28, 2011

Ajab Din They Mohabbat Ke

Ajab Din They Mohabbat Ke
Ajab Din Thhey Mohabbat Ke
Ajab Raatein Thhein Chaahat ki
Kabhi Gar Yaad Aa Jaein
To Palkon Per Sitaarey Jhilmilaatey Hein
Kissi Ki Yaad Mein,
Raaton Ko Aksar Jaagna Maamool Thha Apna
Kabhi Gar Neend Aajati!
To Ham Ye Soch Letey Thhey!
Abhi To Woh Hamaarey Waastey!
Soyaa Nahi Ho Gaa!
Abhi Royaa Nahi Ho Ga!
To Phir Ham Jaagtey Thhey Aur Uus Ko Yaad Kertey Thhey!,
Akeley Baith Ker Weeran Dil Abaad Kertey Thhey!
Hmaarey Saamney Taaron Ki Jhhurmut Mein!
Akela Chaand Hota Thha!
Jo Uus Ke Husn Ke Aagey!
Bohat Hi Maand Hota Thha!
Jab Agley Roz Ham Miltey To!
To Guzri Raat Ki Har Be-Kali Ka Zikar Kertey Thhey!
Har Ik Qissa Suunatey Thhey!
Kahan Kis Baat Pe Dil Dharka Batatey Thhey!
Mein Jab Kehta !
Ke Jaanan Raat Ko!
Roshan Sitaaron Mein!
Tumhaara Naam Daikha Thha!
To `Woh' Kehti!
"Razi" Tum Jhoot Kehtey Ho!
Sitaarey Mein Ne Daikhey Thhey!
Aur Uun Roshan Sitaaron Mein!
Tumhaara Naam Likhha Thha!!!!
Ajab `Masoom' Larki Thhi!
Mujhe Kehti Thhi Lagta Hai!
Ke Ab Apney Sitaarey!
Mil Hi Jaaein Gai!
Magar Uuss Ko Khabar Kia Thhi!
Kinaarey Mil Nahi Saktey!
Mohabbat Ki Kahaani Mein,
Mohabbat Kerney Walon Ke,
`Sitaarey' Mil Nahi Saktey.

safed sada udas kaghaz


safed sada udas kaghaz

qalam ko apny kareeb rakhy
meri tawaju ka muntazir tha

qalam ka shola pakar kay mein nay
safed sada udas kaghaz
kay cheray ko

kalay kalay muheed lafzo say bhar diya tha

safed sada udas kaghaz ka dhuk mitany
ki jostaju mein

safed sada udas kaghaz kay dhuk ko
mein nay bhara diya tha

so mere lehjay ki wehsatu nay
jo lafz kaghaz pr rakh deya thay

wo lafz atny udas thay kay

safed sada udas kaghaz kay
cheray pay cha gay thay

wo dhuk jo mein nay
sehay thay musalsal

wo aik kaghaz pay
aa gay thay
  • safed sada udas kaghaz

Thursday, January 27, 2011

Maut sa hum dildaar dondhte hai...


Dard bhari zindgi ka surag doondhte hai,
Andhra bahut hai ek chiraag doondhte hai.

Banaya tha tamaasa zindagi ko ish tarah,
Ke un maherbano ka elaj doondhte hai.

koi in andhero me mere dil ki samma jala de,
Hum apni badnasibi ka raaz doondhte hai.

Hasrat ka aayina ye pathar dil se toot gaya,
Seesho ke in tukdo me apna aaj doondhte hai.

Maazi ke tulkh lamho ne hume jhulsa ke rakh diya,
Dil ko behlane ke liye koi hasen khawab doondhte hai.

Pyar mere saamne hai phir bhi,
Maut sa hum dildaar dondhte hai... 

Tuesday, January 18, 2011

Suno .... ik baar keh do na

Suno ....
ik baar keh do na
k bin meray tum b adhoori ho
k jo main nahi to har khuwahish
namukammal c lagti hai
har din azab sa lagta hai
raatain bekhuaab guzarti hain
shamai'n roz rulati hain
meri ahat ka intezar hai tum ko
k jb b koi tumharay naam se pukarta hai to
dil khush sa ho jata hai
mera hi gumaa'n hota hai
or muj ko waha na paa kar
phir se mayoosi cha jati hai
chehchahatay parind buray lagtay hain
sogwar sa maatmi sa sara shehr esay jesay
luqma-e-ajal ho gaya ho
koi ronaq koi saaz dil na jeet pata hai
sansain beeqar c lagti hai'n
rooh sisaktay hue pasmurda se zehr alood jism ki maanind ho chuki lagti hai
jo bachna b na chahy
or mar b na sakay
khayalaat o tasawoorat to boht door ho'n
zehn me bas aik hi tasweer hai ...meri
meray khad o khaal tumhari ankho'n me esay hain jesay
tumharay saamnay hoo main
or mujh se batain karna
or ghanton kartay rehna
tumhara mashghla ban chuka hai
lakin maloom hai mujhay ik sach
k esa kuch b nahi hai
ye sab meray wehm k ilawa kuch b nahi
tumharay din o raat muztarib nahi
tumhari shamain mo'tdal hain
kisi pukar me main pinhaa'n nahi hoo
tumhara shehr ab b abaad hai khush baash hai
har naya din eid sa hai
har raat chand raat hai
tum ab b banti sanwarti ho
ab b payal pehnti ho
baarish ki chankaar main
ab b rangin patangay ki manind
geet gungunana adat hai tumhari

lakin me kya karoo ??
kaho !! main kya karoo ???

k tumhari yaad k sooraj ki tapish main
sulagna or sulagte rehna adat hai meri
or adatain na badlain to
fitrato'n me dhal jai'n to
rog sabit hoti hain
or suno aye jan-e-wafa....!!!
ye rog jaan lewa hai
ye rog jaan lewa hai

Thursday, January 13, 2011

Ajab pagal si larki hai Mujhay her roze kehti hai Batao kuch naya likha?

Ajab pagal si larki hai 
Ajab pagal si larki hai 
Mujhay her roze kehti hai 
Batao kuch naya likha? 
Kabhi is say yeh kehta hoon 
K main nay nazam likhi hai 
Magar unwan daina hai 
Bohat baytab hotti hai 
Woh kehti hai 
Sunao 
Main issay acha sa ikl unwan daiti hoon 
Woh meri nazam sunti hai 
Aur iss ki boalti ankhain 
Kissi missra kissi tashbeeh per un muskurati hai 
Mujhay lafzoon say kirnain phoothti mehsoos hotti hai 
Woh phir iss nazam ko acha sa ik unwan daiti hai 
Aur is k akhiri missra k neechay 
Ik adaay baynayazi say 
Woh apna naam likthi hai 
Main kehta hoon 
Sunoo 
Yeh nazam meri hai 
To phir tum nay appnay naam say mansoob ker li hai 
Meri yeh baat sun kar uss ki ankhain muskurati hai 
Woh kehti hai sunoo 
Sadda sa rishta hai 
K jaisay tum meray ho is terhan yeh nazam meri hai 
Ajab pagal si larki hai

Wo pagal sa ek ladka tha

Wo pagal sa ek ladka tha 
Jo mujhko achcha lagta tha 
Mujhe dekh-dekh kar hansta tha 
Meri ankhon mein wo basta tha 
Har roz wo roop badalta tha 
Har roop mein acha lagta tha 
Ankh mein uske masti thi 
Wo baat baat pe hansta tha 
Barish ki mast si raton mein 
Wo khoya khoya rehta tha 
Baton mein uske bechani thi 
Bechain wo mujhko karta tha 
pagal tha ya dewana tha 
Par mujhko achcha lagta tha 
Wo chand ko chhu kar aya ho 
Aisa roshan lagta tha 
Wo pagal sa ek ladka tha 
Jo mujhko achcha lagta tha 
Tumhara khat mila jana

woh jis mein tumne pucha hai.

k ab halaat kaisay hain?

mere din rat kaisay hain? 

mehrbani tumhari hai !

k tum ne is tarah muj se

mere halaat poche hain

mere din raat poche hain

tumhe sub kuch bata doon ge

mujhe itna bata do k...

kabhi saagar kinare per

kisi machli ko dekha hai?

k jis ko lehrain pani ki

kinare tak to lati hain

magar phir chor jati hain

mere halaat aisay hain,

mere din raat aisay hain.

Tumhara khat mila jana

Tumhara khat mila jana

woh jis mein tumne pucha hai.

k ab halaat kaisay hain?

mere din rat kaisay hain? 

mehrbani tumhari hai !

k tum ne is tarah muj se

mere halaat poche hain

mere din raat poche hain

tumhe sub kuch bata doon ge

mujhe itna bata do k...

kabhi saagar kinare per

kisi machli ko dekha hai?

k jis ko lehrain pani ki

kinare tak to lati hain

magar phir chor jati hain

mere halaat aisay hain,

mere din raat aisay hain.

**RAAT KA AKHRI PEHAR THA**

**RAAT KA AKHRI PEHAR THA**

Mujh se chand ne kaha..........!
Hamnasheen Alvida...
Mujh ko neend arahi hey,
Kal milenge isi jagah,sunn kar me Muskura di,uss ko batla diya,
Jaaney wale lot'tey nahin,
Tum nahin aoge,
Mujhey he yaqeen,

Meri bat sunn kar wo ruk gaya...

Or kehney laga...!
Tum se wadda karun,
Phir pura na karun,
Aesa mumkin nahin,
Sunn......;hamnasheen
Mein insaan nahin

**ME KOI INSAAN TO NAHIN........!**

Na wo farishta ho na farishtey jesa ho,

Na wo farishta ho na farishtey jesa ho,
Mujhe talaash he uski jo mere jesa ho,
Mere khuloos ko pehchanta ho bs kafi he,

Wo koi bhi ho
Kahin bhi ho
Kaisa bhi ho

Agar kbhi rooth jaon me us se to,
Muskura k mnaye wo aesa ho,
Dukhon me hasane ka hunar janta ho,
Ek aesa ham-safar jo samandar jesa ho..........

بارشوں کے موسم میں


جب کسی کی یاد آئے
تم ذرا سا رو لینا
اپنے روتے چہرے کو
بارشوں میں دھو لینا
بارشوں کا موسم بھی
جب بُرا لگے تم کو
اور اپنی شامیں بھی
تم کو تنہا لگتی ہوں
یا تو چاندنی راتیں
تم سے کچھ نہ کہتی ہوں
اُس گھڑی سمجھ لینا
تم نے اِک خطا کی ہے
بارشوں کے موسم میں
تم نے جس کو چھوڑا تھا
وہ ہی تم کو پیارا تھا
تم نے جس کو ٹھکرایا
اُس میں دِل تمھارا تھا
اب سزا تو ملنی ہے
بارشوں کے موسم میں
اُس کی سسکیاں تم کو
رات بھر ستاتی ہیں
اُس کی سرد آہیں بھی
دردِ دل جگاتی ہیں
تم اُداس رہتے ہو
بارشوں کے موسم میں
جب کسی کی یاد آئے
اُس گھڑی سمجھ لینا
آج تم جو تنہا ہو
تم سے دور رہ کر تو
آج وہ بھی تنہا ہے
بارشوں کے موسم میں

Kaisi Beeti Raat Kisi Se Mat Kehna

Kaisi Beeti Raat Kisi Se Mat Kehna
Sapnon Wali Baat Kisi Se Mat Kehna
Kaisay Uthay Badal Or Kahan Takraye
Kaisi Hui Barsaat Kisi Se Mat Kehna


Kisne bheege hue baalon se ye jhatkaa pani,
Jhoom ke aayi ghata toot ke barasa pani.

Koi matawali ghata peeke jawani ki umang,
Dil baha le gaya barsat ka pehala pani.


Na jane kyo abhi ek aasu aankh se chalka,
Dil ko shayad tumhari yaad aayi,
Chahat hai itni tum se milneki,
Haste huye bhi aankhe bhar aayi.

mohabbat mar bhi sakti hay

Mohabbat mar bhi sakti hay...!!!


Jisey tum zindagi jano
tumhain wo rog kehta ho
k jis ne khud he chahat se
tumhara haath thama ho
wo apne dil k darwazay
tum he per band karday to

mohabbat mar bhi sakti hay

tumhain sangsaar karnay ko
jo sang bantay lougon main
kar k band ghar k darwazay
saans per pehray lagay to

mohabbat mar bhi sakti hay

ye kis ne keh diya tum se
mohabbat mar nahi sakti
k jab koi tumhain jaan se guzar janay ko kehta ho
aadhi raah main khud he mur janay ko kehta ho
wo apni be wafai ka khud he aitraaf karlay to

mohabbat mar bhi sakti hay.!
mohabbat mar bhi sakti hay...!!

Kisi din tez barish main

Kisi din tez barish main
Agar tum bheeg jao to
Agar barish k ye qatray
Tumhari zulf ko chu kar
Tumharay gaalon ko chumen
Agar barish k pani say
Agar thandi hawaon say
Kisi purzor jhonkay say
Meri jan jhoom jao to
Mujhy tum yaad kar lena
Agar khwahish ho aisay main
Koi sathi ho bahon main
Jo chheray zulf ko teri
Teray rukhsar ko choomay
Tu jhoomay us ki bahon main
Teri bahon main wo jhoomay
Mujhy tum yaad kar lena…

وہ دلاور جو سیاہ شب کے شکاری نکلے

وہ دلاور جو سیاہ شب کے شکاری نکلے
وہ بھی چڑھتے ہوئے سورج کے پجاری نکلے


سب کے ہونٹوں پہ مرے بعد ہیںباتیں میری!
میرے دشمن میرے لفظوں کے بھکاری نکلے


اک جنازہ اُٹھا مقتل سے عجب شان کے ساتھ
جیسے سج کر کسی فاتح کی سواری نکلے


ہم کو ہر دور کی گردش نے سلامی دی ہے
ہم وہ پتھر تھے جو ہر دور میں بھاری نکلے


عکس کوئی ہو خدوخال تمہارے دیکھوں
بزم کوئی ہو مگر بات تمہاری نکلے


اپنے دشمن سے میں بے وجہ خفا تھی سونو
میرے قاتل تو میرے اپنے حواری نکلے

 

بہت تاریک صحرا ہوگیا ہے

ہَوا کا شور گہرا ہوگیا ہے 


کسی کے لمس کا یہ معجزہ ہے 

بدن سارا سنہرا ہوگیا ہے 


یہ دل دیکھوں کہ جس کے چار جانب 

تری یادوں کا پہرہ ہوگیا ہے 


وُہی ہے خال و خد میں روشنی سی 

پہ تِل آنکھوں کا گہرا ہوگیا ہے 


کبھی اس شخص کو دیکھا ہے تم نے 

محّبت سے سنہرا ہوگیا ہے