Pages

Thursday, December 9, 2010

DECEMBER tu aye ga

Bohat shidat se intezar rehta hay mujhey DECEMBER ka.
Wese tu sab mosamon se pyar hay mujhey 
lakin DECEMBER se khas lagao hay mujhey
is ki wajah ye hay k jab wo pechle saal DECEMBER main pardes ko jane laga tha tu
usne mujhse kaha tha k wo DECEMBER main hi wapis aye ga.
yehi wajah hay k DECEMBER se pyar hay mujhey.
DECEMBER aa gaya hay ab Dil bohat beqarar rehta hay.
Jab se wo gaya hay na tu uska koi Phone aya hay na koi Khat.
Shayed wo achanak Mujhey aa ker mujhey hairan kerna chahta hay.
Main pagli uska bohat intezar kerti hun
DECEMBER main ane ka Wada jo kiya tha usne
Aaj DECEMBER ka akhri din hay.Saal aur DECEMBER dono borhe ho gaye hain.
Yunhi surkh naak hay meri 
Tum to jante ho na Sardi bohat hay
Ankh main bus intezar hay
Main us ki yaad main bilkul nahi roi
Han bus us ke palatne ka intezar ker rahi hun Shayed us ne agle DECEMBER ka kaha ho ga.
Akhir wo Pardes main gaya hay char pese kamane k liye.Lotne main Takhir tu ho sakti hay.
Yeh mujhey tu maloom hay k wo apni zuban ka khara hay.
Us ne kaha tha ke wo DECEMBER main hi aye ga.Lakin sath main us ne saal ka nahi bataya tha
Wo DECEMBER 2009 ka ya 2010 ka ya kon se saal ka ho ga.
Bus itna yaad hay k usne kaha tha
K wo DECEMBER main hi Lote ga
Abi pechle 11 mahine DECEMBER ke intezar main tanha kate hain.
Ab aur 11 maah ka intezar Oooooh Mere RABA!
11 mahine tu kat hi jayen ge lakin December un 11 mahino se b lamba hota hay Intezar ka tu Aik aik lamha bohat lamba hota hay.
akhir mere kehne per DECEMBER na tu January ki jaga tu nahi aye ga aur na hi there ga.
Chalo jahan 1 DECEMBER beet gaya wahan 1 aur DECEMBER ka intezar kerte hain.
Akhir hum un se Pyar kerte hain.DECEMBER tu aye ga hi us ka pata nahi.


No comments:

Post a Comment