Pages

Thursday, December 30, 2010

Ab Bhi Har December Main

Mujh Say Poochtey Hain Log
Kis Liye December Main
Yon Udaas Rehta Hoon
Koi Dukh Chupata Hoon
Yaa Kisi Kay Janey Ka
Sog Main Manata Hoon


Aap Mery Album Ka
Safha Safha Dekhein Gay?
Aaiye Dikhata Hoon
Zabt Aazmata Hoon


Sardion Kay Mausam Main
Garam Garam Coffee Kay
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Koi Mujh Say Kehta Tha
Haye Iss December Mein
Kis Bala Ki Sardi Hay
Kitna Thanda Mausam Hay
Kitni Yakh Hawayein Hain
Aap Bhi Ajab Shay Hain
Itni Sakht Sardi Mein
Ho Kay Itney Bey Parwah
Jeans Aur T-Shirt Main
Kis Mazey Se Phirtey Hain


Shaal Bhi Mujhay Dey Di
Coat Bhi Oorrha Dala
Phir Bhi Kaanpti Hoon Main
Chaliye Ab Sharafat Say
Pehan Lijiye Sweater
Aap Kay Liye Main Nay
Bun Liya Tha Do Din Mein


Kitna Maan Tha Us Ko
Meri, Apni Chahat Par
Ab Bhi Har December Main
Uss Ki Yaad Aati Hay


Garam Garam Coffee Kay
Chotay Chotay Sip Ley Kar
Haath Gaal Par Rakhey
Hairat Aur Taaj'jub Se
Mujh Ko Dekhti Rehti
Aur Muskura Deti


Shokh-o-Sard Lehjay Mein
Mujh Se Phir Wo Kehti Thi
Itney Sard Mausam Mein
Aadhi Sleeves Ki T-Shirt
Iss Qadar Na Itrayein
Seedhay Seedhay Ghar Jayein


Ab Ki Baar Jab Aayein
Brown Trouser Kay Sath
Black High Neck Pehnein
Coat Koi Dhang Ka Ley Lein
Warna Main Qasam Se Phir
Aisi Routh Jaon Gi
Dhoondtey Hi Rahiye Ga
Samney Na Aaon Gi


Pass Baithey Abbu Kay
Politics Par Kijiye Garam Garam Discussion
Coffee Ley Kar Kamrey Mein
Main Tu Phir Na Aaon Gi
Khali Khali Nazron Say Aap In Khalaon Main
Yon Hi Taktey Rahiye Ga
Aur Bey Khayali Per Daantt Khatey Rahiye Ga


Kitni Mukhtalif Thi Wo
Sab Say Munfarid Thi Wo
Apni Aik Lagzish Say
Main Nay Kho Diya Us Ko
Ab Bhi Har December Main
Us Ki Yaad Aati Hay...!!!

No comments:

Post a Comment