Pages

Monday, December 20, 2010

Aye Maah-e-December Alwida

Alvida !! Aey December
Alwida aye December
Alwida!

jaa rahay ho tum
shukriyaa tumharaa

Aye Maah-e-December
Alwida!

Bheega bheega yeh maah-e-December
YaadouN kee meri, iss maiN hay ab Qabar

Jinn say dil maiN aik chain bhee hay
ik dukh bhee hay aur ik khalish bhee hay

magar aye December!
teraa hay ab mujh par karam
aur meri taraf say tumhaiN ab
Alwida!
Aye Maah-e-December
Alwida!

pardah uTh gayaa haqeeqat ka kuch aisay iss December maiN
dilouN kee baat youN hee tau nahiN aa gaie lubouN maiN
HoNTT tau dil say juda thay so kaaNpay nahiN kissi kay bhee
nafrat kaa behr-e-baykaraaN dekh liya laikin maiN nay dilouN maiN

iss nazaaray kaa shukriya, Alwida!
Aye Maah-e-December
Alwida!

tera mujh par yeh ehsaan hay
tu nay dikhlaa diye mujh ko
sitaarouN kay woh jaltay nasheman
kay dooor say dekhnay waali aankhaiN bhee
ab pehchaan gaieN qurbat-e-kawaakib bhee
chaand kaa daagh hay ab accha lagnay laggaa
hus'n-e-Qamar maiN izaafa youN honay laggaa
jo saaf nazar aataa hai, woh hee buss haseeN hay
Abb daagh-e-Mehtaab yaqeenan chaand say bhee haseeN hay

tau aye meray dost!
Aye Maah-e-December
Alwida!

No comments:

Post a Comment