Pages

Sunday, March 17, 2013

mera tamam fun meri kavish mera riyaz

mera tamam fun meri kavish mera riyaz
ik na-tamam git k misre hain jin k bich
mani ka rabt hai na kisi kafiye ka mel
anjam jis ka tay na hua ho ik aisa khelmeri mata bas yahi jadu hai ishq ka

sikha hai jis ko main ne bari mushkilon k sath
lekin ye sahir-e-ishq ka tohfa ajib hai
khulta nahi hai kuch k haqiqat main kya hai ye
taqdir ki ata hai ya koi saza hai ye
kis se kahen ai jan k ye qissa ajib hai

kahne ko yun to ishq ka jadu hai mere pas
par mere dil k vaste itna hai is ka bojh
sine se ik pahar-sa hatta nahi hai ye

ekin asar k bab main halka hai is qadar
tujh pe agar chalaun to chalata nahi hai ye

No comments:

Post a Comment