Pages

Saturday, March 16, 2013

Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum


Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum
har baar tum se mil ke bichhadta raha hoon main
tum kaun ho ye khud bhi nahi’n jaanti ho tum
main kaun hoon ye khud bhi nahi’n jaanta hoon main
tum mujh ko jaan kar hi padi ho azaab mein
aur iss tarah khud apni saza ban gaya hoon main
tum jis zameen par ho main uss ka KHUDA nahi’n
bas sar-basar azeeyat-o-aazaar hi raho
bezaar ho gaee ho bahot zindagi se tum
jab bas mein kuch nahi’n hai to bezaar hi raho
tum ko yahaa’n ke saaya-e-partau se kya garaz
tum apne haq mein beech ki deewar hi raho
main ibtada-e-ishq mein bemehar hi raha
tum inteha-e-ishq ka miyaar hi raho
tum khoon thookti ho ye sun kar khushi huee
iss rang iss ada mein bhi purkaar hi raho
maine ye kab kaha tha ke mohabbat mein hai najaat
maine ye kab kaha tha ke wafadaar hi raho
apni mata-e-naaz luta kar mere liye
baazaar-e-iltafaat mein naadaar hi raho
jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de saka
gham mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na de saka
jab mere saare charaag-e-tamanna hawa ke hain
jab mere saare khwaab kisi bewafa ke hain
phir mujhe chaahne ka tumhein koi haq nahi’n
tanha karaahne ka tumhein koi haq nahi’n.

No comments:

Post a Comment