Pages

Saturday, March 16, 2013

Main aesi muhabbat karta hun, Tum kesi muhabbat karti ho.



Tum jahan pe beth k jati ho, Jis cheez ko hath lagati ho,

Main wahin pe betha rehta hun Uss cheez ko chhuta rehta hun,

Main aesi muhabbat karta hun, Tum kesi muhabbat karti ho.

Tum jis se hans kar milti ho, Main us ko dost banata hun,

Tum jis rastay pe chalti ho Main us se aata jata hun

Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho


Tum jin ko dekhti rehti hoWo khuwab sirhanay rakhta hun,

Tum se milnay julnay k Kitnay hi bahanay rakhta hun,

Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho


Kuch khuwab saja kar aankhon mein, Palkon se moti chunta hun

Koi lams agar chhu jaey to, Main pehron us ko sochta hun,

Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho



Jin logon mein tum rehti hoTum jin se baatien karti ho,

Jo tum ko acchay lagtay hain, Wo hi mujh ko acchay lagtay hain

Main aesi muhabbat karta hunc


Har mokay par har manzar mein, Main sath tumharay rehta hun,

Main chashm e tasavvur mein aksar, Bus tum ko sochta rehta hun

Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho

No comments:

Post a Comment