Pages

Thursday, July 11, 2013

Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye

Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye
Mausam ke haath  bheeg ke saffaak ho gaye
Baadal ko kya khabar hai k baarish ki chaah meN
Kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye
Jugnu ko din ke waqt parakhne ki zidd kareN
Bachche hamaare ‘ahd ke  chaalaak ho gaye
Lehra rahi hai barf ki chaadar hata ke ghaas
Sooraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye
Sooraj-dimaag log bhi iblaagh-e-fikr mein
Zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye
Jab bhi ghareeb-e-shehar se kuch guftagu huee
Lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye
Saahil pe jitne aabguzeeda thhay sab ke sab
Dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye

No comments:

Post a Comment