Pages

Thursday, July 11, 2013

kis ko qatil main kahun kis ko masiha samajhun

kis ko qatil main kahun kis ko masiha samajhun
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samajhun

wo bhi kya din the ke har vaham yaqin hota tha
ab haqiqat nazar aaye to use kya samajhun

dil jo tuta to kai hath dua ko uthe
aise mahaul mein ab kis ko paraya samajhun

zulm ye hai ke hai yaqta teri beganaravi
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apna samajhun

No comments:

Post a Comment