Pages

Thursday, July 11, 2013

Kon kehta hai ke maut aayi to mar jaungaa

Kon kehta hai ke maut aayi to mar jaunga
main to dariya hun samandar mein utar jaunga

tera dar chod ke main aur kidhar jaunga
ghar mein ghir jaunga sahara mein bikhar jaunga

tere pehlu se jo uthunga to mushkil ye hai
sirf ik shakhs ko paunga jidhar jaunga

ab tere shahar mein aaunga musafir ke tarah
saya-e-abr ke manind guzar jaunga

tera paiman-e-vafa reh ke divar bana
warna socha tha ke jab chahunga mar jaun ga

charasazon se alag hai mera mayar ke main
zakhm khaunga to kuch aur sanvar jaun ga

ab to khurshid ko dube hue sadiyan guzarin
ab use dhundhane main ta-ba-sahar jaunga

zindagi shamma ke manind jalta hun ‘nadeem’
bujh to jaunga magar subah to kar jaunga


No comments:

Post a Comment