Khushaal se tum bhi lagtey ho
Yun afsurda tu hum bhi nahin
Par janney waley jantey hain
Khush tum bhi nahin, khush hum bhi nahin
Tum apni khudi k pehrey mein
Hum apni zayem k nargey mein
Anaa haath hamarey pakrey huwey
Ik mudat se galtaan pechaa'an
Hum apney aap se uljhey huwey
Pachtawoon k aangaroon mein
Mehsoor e talatim aaj bhi ho
Go tum ne kinarey dhoond liye
Toofan se sambhlein hum bhi nahin
Kehney ko saharey dhoond liye
Khamosh se tum, hum mehr be lab
Jug beet gey, tuk baat kiye
Suno khail adhoora chortey hain
Bina Chaal chaley, bina maat kiye
Jo bhagtey bhagtey Thak jaein
Woh sayein ruk bhi saktey hain
Chalo toroo qasam iqraar karein
Hum dono Jhuk bhi saktein hain
No comments:
Post a Comment