Hawa us se kehna
Hawa!
subah dam us ki ahista ahista khulti hui aankh se
khwab ki sipia chunne jae to kehna
ke hum jagte hain
Hawa us se kehna
ke jo hijar ki aaj peeti ruton ki tanabein
ragon ke sath ulajhti hui saans ke sath kas de
unhe raat ke surmai hath khairaat mein neend kab de sake hain
hawa, us ke bazoo pe likha hua koi taaweez bandhay to kehna
ke awargi oorh kar saans lete musafir
tujhe khojte khojte thak gai hain
hawa us se kehna
ke hum ne tujhe khojne ki sabhi khwahishon ko
udaasi ki deewar mein chun diya hai
hawa us se kehna
ke wahshi darindo ki basti ko jate hue raaston par
tere naqsh e paaon dekh kar
hum ne dil mein tere naam ke har taraf
ek siah matami hashia bun dia hai
Hawa us se kehna
hawa kuch na kehna......!!
No comments:
Post a Comment