Pages

Showing posts with label baraish [rain]. Show all posts
Showing posts with label baraish [rain]. Show all posts

Tuesday, July 16, 2013


"Hum se kahiye dard k qissay,

"Hum se kahiye dard k qissay,

Hum se kijiye runj ki baat,

Hum pe beetay kya kya mousam,

Tanha dil, laakhon aafat,

Aaj hi dil kuch thehra tha,

Aur aaj hi aankhain khushk si theen,

Aaj hi zaalim toot k barsi,

MOUSAM KI PEHLI BARSAAT!"

Yaadai'n jaag jati hyn

Yaadai'n jaag jati hyn
Barisho'n k mausam main

Har ghari satati hyn
Barisho'n k mausam main

Shaambhi kisi surat
Chain se nahi kat'ti

Subhai'n bhi satati hyn
Barisho'n k mausam main

Zehen k jharokey main
Jab koi sada ubhrey

Aankhai'n bheeg jati hyn
Baarisho'n k mausam main

Usay kehna, Lout Aao K Meri Sansain,

Usay kehna, Lout Aao K Meri Sansain,
Ab Tinka Tinka Jhulasti Hain...

Kahin Meri Jaan Na Le Le,
Ye 'BARISH' January ki !!

"BARISH KI TARAH TUJH PE BARASTI RAHEN KHUSHIYAN...

"BARISH KI TARAH TUJH PE BARASTI RAHEN KHUSHIYAN...


HER BOOND TERAY DIL SE HER EK GHUM KO MITA DE."
happy Rainy day.

Aaj Ki Is Baarish Mei

Aaj Ki Is Baarish Mei
Phir Wohi Saa Manzar Hy
Phir Wohi Si Boondain Han
Phir Wohi Si Thandak Hy
Phir Wohi Sa Sub Kuch Hy

Par

Aaj Ki Is Baarish Mei
Saath Tm Nhi Ho To
Aankh Nm Si Kitni Hy
Saans Tang Si Ktni Hy
Rooh Pyasi Ktni Hy
Yeh Udaasi Ktni Hy

Aaj Ki Is Baarish Mei....

Thursday, July 11, 2013

Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye

Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye
Mausam ke haath  bheeg ke saffaak ho gaye
Baadal ko kya khabar hai k baarish ki chaah meN
Kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye
Jugnu ko din ke waqt parakhne ki zidd kareN
Bachche hamaare ‘ahd ke  chaalaak ho gaye
Lehra rahi hai barf ki chaadar hata ke ghaas
Sooraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye
Sooraj-dimaag log bhi iblaagh-e-fikr mein
Zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye
Jab bhi ghareeb-e-shehar se kuch guftagu huee
Lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye
Saahil pe jitne aabguzeeda thhay sab ke sab
Dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye

Saturday, June 29, 2013

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad 
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuon ko dekh kar 
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar 
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi 
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein 
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par 
Naam tera likh diya baarish ke baad....!

Thursday, June 13, 2013

ye rim jhim


Aaj December ki pehli baarish thi


Aaj December ki pehli baarish thi

Mujhe yaad hai ab tak
Jub barasti tap tap kerti rim-jhim main
Haan December ki us thutharti
Sard raat ki pehli baarish main
Us ne mujh se kaha tha
"Mujhe baarishen sard mousam ki bohat pasand hain..."

Sard mousam ki barishon se unsiyat rakhne wala
Mere lehje main sard-pan utaar gaya hai
Meri zaat main ajab tarz ki
Aik thandak utaar gaya hai
Main jis ko chhoo lon
Wo barf k mahboos ho jata hai
Mujhe ab andaza hota hai
Usay sard mousamon ki baarish se kia nisbat thi
Usay sard mousamon ki baarish se kia qurbat thi...!!!


Abhi to rozanon se chhanti kirnon ki


Abhi to rozanon se chhanti kirnon ki

Pehli baarish thi
Abhi to hatheli ki lakeeron k
Khad-o-khaal dikhne thay
Abhi to dareeda daaman ki
Siyahi ko mitaana tha
Alfaz ki banawat ko
Tasweer main pirona tha
An-ginat jazbe mere
Toote parre thay
Bikhre parre thay
Magar...
Tumhen kis ne kaha tha k
Rozanon k paar
Apne rukh ko in marmareen
Hathelion mian chhupa lo???
Tumhen kis ne kaha tha...!!!


Kal halki halki barish thi

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha
Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay
Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay
Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin


Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye thay …

Barish hui to ghar ke dareeche se lage ham,



Barish hui to ghar ke dareeche se lage ham,
Chup-chaap sogwaar tumhen sochte rahe…..!!!


Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish,,
Mujhay yaad aa rahay hain mujhay bhool janay walay..

Ye barishain bhi tum si hain,

Ye barishain bhi tum si hain,

Jo baras gayi tou bahaar hain,

Jo thehar gayi tou qaraar hain,

Kabhi aa gayi yunhi be’sabab,

Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab,

Kabhi shor hai, kabhi chup si hain,

Ye barishain bhi tum si hain,

Raat ko ik dabi hui si raakh ko,

Kabhi yun hua ke bujha dia,

Kabhi khud se khud ko jala dia,


Kahin boond boond mein gum si hain,

Ye barishain bhi tum si hain..


Is Baarish Kay Mausam Main Ajeeb Si Kashish Hai,
Na Chahte Howay Bhi Koi Shidat Say Yaad Aata Hai…


Rim jhim rim jhim



Rim jhim rim jhim baras rahi hai,

Yaad tumhaari qatraa qatraa…

Friday, April 26, 2013

Aaj Bhi Wesa hi Mosam Hay


Aaj Bhi Wesa hi Mosam Hay
Aaj Bhi Wesey hi Baadal Hay
Aaj Bhi Wesey hi Baarish Hay
Jub Hum Pehli Baar Miley They
Yaad Hay Hum Nay Yeh Socha
Tha Hum ko Miltey Dekh Kar
Mosam itna Khush Hay
Itna Khush Hay kay
is ki Aankhein bheeg Gayi Hain
Magar Aaj Yeh Jaan gaye Hain.............
Us Din Mosam Kioun Roya Tha
[ aatif saeed ]

Monday, April 8, 2013

Barishon k mosam me

Monday, April 1, 2013

Aaj Bhi Wesa hi Mosam Hay

Aaj Bhi Wesa hi Mosam Hay 
Aaj Bhi Wesey hi Baadal Hay 

Aaj Bhi Wesey hi Baarish Hay 
Jub Hum Pehli Baar Miley They 
Yaad Hay Hum Nay Yeh Socha 
Tha Hum ko Miltey Dekh Kar 

Mosam itna Khush Hay 
Itna Khush Hay kay 
is ki Aankhein bheeg Gayi Hain 
Magar Aaj Yeh Jaan gaye Hain............. 
Us Din Mosam Kioun Roya Tha
[ aatif saeed ]