Pages

Tuesday, January 15, 2013

shehr e dil ki galion main ..

shehr e dil ki galion main ..
sham se bataktey hein ..
Chand key tamanaee ...
beqarar sudaee ...
dil gudaz tareeki..
jaan guzad tanhaee ...
rooh o jaan ko dasti hey ....
rooh o jaan main basti hey ....
shehr e dil ki galion main ...
taak e Shab ki beeloun per ...
shabnameen sarshikoun per ...
beqarar logoon ney..
beshumar logoon ney ..
yaad gar churi hey ..
itni baat thuri hey ...
sad hazar batein thi...
heela e shika e baee ..
sooratoun ki zaibaee ...
kaamatoun ki raa-naee ...
in seyaah Ratun main ...
eik bhi na yaad aei ..
jaaa bajaa bataktey hein ..
kis ki rah taktey hein ...
chaand ke tamanaee ....
yea nagar kabhi pehley ..
is kader na weeraan thaa ..
kahney waley kahtey hein ..
kareeya a nigaran tha ....
khair apney jeeney ka ..
yea bhi eik samaan tha ...
ajj dil main weraani ..
abar ban key girh aei ..
ajj dil ko kiya kahiye ...
ba wafaa na harjaee ....
phir bhi loog dewaney ..
aa ghey hein samjaney ...
apni wehshat e dil
apni wehshat e dil key...
bun liey hein afsaney....
khush khyaal dunya ney ...
germiyaan tu jati hein ...
yea rutein bhi ati hein ...
jab malool ratun main ...
dostoon ki batun main ...
jee na chein paey gha ..
aur OUB jaey gha ....
ahatun sey gonjey ghee ...
Shehar e Dil ki pehnaee ....
aur chand ratun main ...
Chandni key shedaee ..
her bahaney niklein ghey ...
Azmaney niklein ghey ...
arzu ki geraee ....
dhondney ko ruswaee ...
sard sard ratun ko ..
zard chand bakshey gha....
be-hisaaab tanhaee ....
be hejaab tanhaee....
shehar e dil ki galion main ...



No comments:

Post a Comment