Pages

Tuesday, January 15, 2013

Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua


Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua
Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua
Aaj to jaani, rastaa takte, shaam ka chaNd padeed hua
Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua??
Aan ke is beemaar ko dekhe!! tujh ko bhi taufeeQ hui?
Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua
HaaN us ne jhalak dikhlayi, ek hi pal ko dreeche meN
Jaano  ek bijli lahraayi,  aalam ek shaheed hua
Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi
Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua
Duniya ke sab karaj chhoRe, naam pe tere ‘Insha’ ne
Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua

No comments:

Post a Comment