Pages

Tuesday, January 15, 2013

Daikh hamaaray maathay par ye dasht-e-talab ki dhool Miaan


Daikh hamaaray maathay par ye dasht-e-talab ki dhool Miaan
Ham se ajab tera dard ka naata, daikh hameiN mat bhool MiaaN

Ahl-e-wafa se baat na karna, ho ga taira usool Miaan
Ham kyoN chhoRaiN un galyoN key phairoN ka maamool Miaan?

Yeh to kaho kabhee ishq kiya hai? jag meiN huway ho ruswa bhee?
Is ke siwa ham kuchh bhee na poochheiN, baaqee baateiN fuzool Miaan

Nasb kareiN mehraab-e-tamanna, deeda o dil ko farsh kareiN
Suntay haiN woh koo-e-wafa meiN aaj kareiN gey nuzool Miaan!

Sun to lia ek naar ki Khaatir kaaTa koah, nikaalee nehr
Aik zara sey qissey ko ab kyoN daitey ho tool Miaan?

Khailnay deiN unheiN ishq ki baazee, khaileiN gey to seekheiN gey
Qais kee ya Farhaad kee Khaatir kholeiN kya iskool Miaan?

No comments:

Post a Comment