Pages

Thursday, June 13, 2013

Suna hai December jaane wala hai

Suna hai December jaane wala hai
Phir se koi naya saal aane wala hai
Naye calender bhi deewaron per aa jayen ge
Her jaanib khush-rang phool se khil jayen ge
Log kehte hain December lout jaye ga...!!!

Log kehte hain December k lout jaane se
Un ki yaadon ki azaab raaton ki hiddat
Maand parr jati hai, be-jaan ho jati hai
Un ki siyah raaton ko ik noor milta hai
December k lout jane se unhen suroor milta hai...

Per main logon ko kese samjhaon...?
Janwari ho Farwari ho ya koi bhi mousam
Saal k baara he to maah December hain
December ka rang_e_siyah ger aankhon main bus jaye
December ka sard lehja haddion tak main pewast ho jaye
Ager December ik baar bhi baam pe utar aaye
Hijr ban k rooh_o_dil main utar jaye
To deewaron per mahez calender badalne se
Hijr nahi jaata, azaab raaten nahi jaati
December nahi jaata, yaaden nahi jaati
To jaan lo logon, ye maan lo logon
Abhi tak tumhara December aaya he nahi hai
Haan abhi tak tum ne December dekha he nahi hai...!!!


No comments:

Post a Comment