zindagi k mele main
khvahishon k rele main tum se kya kahen jana is qadar jhamele main vaqt ki ravani hai bakht ki girani hai sakht bezamini hai sakht lamakani hai hijr k samandar main takht aur takhte ki ek hi kahani hai tum ko jo sunani hai
bat go zara si hai
bat umr bhar ki hai umr bhar ki baten kab do ghari main hoti hain dard k samandar main anginat jaziren hain beshumar moti hain ankh k dariche main tum ne jo sajaya tha bat us diye ki hai bat us gile ki hai jo lahu ki khilvat main chor ban k ata hai lafz k fasilon par tut tut jata hai
zindagi se lambi hai
bat ratjage ki hai raste main kaise ho bat takhliye ki hai takhliye ki baton main guftagu izafi hai pyar karne valon ko ik nigah kafi hai ho saky to sun jao ek din akale main tum se kya kahen jana is qadar jhamele main |
Monday, March 18, 2013
zindagi k mele main
shaikh_Labels:
aatif saeed,
amjad islam amjad
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment