Kiya Tumhain Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay
Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
Utartay chaand ka mojon main aks partay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi?
Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi
Azaan hotay hi aanchal se sar ko dhaktay huay bhi nahi?
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya??
No comments:
Post a Comment