tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
purani kirnen naye makanon k anganon main laraz rahi hain fasil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhar gai hain gaye dinon k aziz baten nigar subahen gulab raten bisat-e-dil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar maten judaiyon ki havayen lamhon ki Khush matti ura rahi hain gai ruton ka malal kab tak chalo k shakhen to tutati hain chalo k qabron pe khun rone se apni ankhen hi phutti hain ye mor vo hai jahan se mere tumhare raste badal gaye hain purani rahon ko lautana bhi hamari qatadir main nahi k raste bhi hamare qadamon k sath age nikal gaye hain
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
tum apani ankhon main jhilmilate huye sitaron ko maut de do gai ruton k tamam phulon tamam kharon ko maut de do naye safar ko hayat bakhsho k pichli rahon pe sabt jitne nuqush-e-pa hain vo bar honge hava uraye k tum urao |
Sunday, March 17, 2013
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
shaikh_Labels:
amjad islam amjad
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment