Ajeeb pagal sa larka hai
wo mujh se jab bhi milta
hai
mujhey har baar kehta
hai
terey honey sey meri
zaat ki takmeel hoti hai
usey maloom bhi hai
main
to khud ik aam larki hoon
magar wo mujh se kehta
hai
nahi tum sa koi dooja
Ajeeb pagal sa larka hai
wo mujh se jab bhi milta
hai
naya ik naam deta hai, nayi
pehchaan deta hai
meray andar ke sab
mausam bina meray
kahey hoye
wo hamesha
jaan laita hai
meri barson purani baat
bhi wo yaad rakhta hai
mujhay her baar kehta
hai
teri aawaz ka jadoo
mujhey soney nahi deta
Ajeeb pagal sa larka hai
woh mujh sey jab bhi
milta hai
to pehron mujh ko takta
hai
usey her rang jo main ne
ho pehna, acha lagta hai
usey her khuwab jo
maine ho dekha, sacha
lagta hai
Ajeeb pagal sa larka hai
mujhey dukh ke andheron
main kabhi khoney nahi
deta
usey meray hina-ii-haath
takna acha lagta hai
usey mujhko mujhi ko
sochnay ki janay kia zid
hai
ho din ka koi bhi lamha,
andheri raat ka pal ho
wo mujh ko socha karta
hai, mujhi ko yaad rakhta
hai
ajab pagal sa larka hai
wo mujh se jab bhi milta
hai
hazaron baar kehta hai
mujhay tum se mohabbat
hai
bus ik pal me wo apna
aap mujh ko sonp deta hai
main us pagal sey larkey
ke liye ab aur kia likhoon
Ajeeb pagal sa larka hai
Ajeeb pagal si main bhi
hoon .!
No comments:
Post a Comment