aisi hi sard sham thi vo bhi
jab vo mahndi rachaye hathon main apni ahat k khauf se larazan surkh anchal main munh chipaye hue apne khat mujh se lene ai thi us ki sahmi hui nigahon main kitni khamosh iltijayen thin us k chehre ki zard rangat main kitni majaburiyon k saye the mere hathon se khat pakarte hi jane kya soch kar achanak vo mera shana pakar kar roi thi us k yaqut rang honthon k kapkapate hue kinaron par saikaron ankahe fasane the sard shamon main der tak aksar jab ye manzar dikhai deta hai ek lamha hinai hathon se mujh ko apani taraf bulata hai hamnashin ruth kar na ja mujh se aisi hi sard sham thi vo bhi |
Sunday, March 17, 2013
aisi hi sard sham thi vo bhi
shaikh_Labels:
amjad islam amjad
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment