kuch aise ghao bhi hote hain 
jinhen zakhmi ap nahi dhote bin roye huye ansuon ki tarah 
sine main chupa k rakhte hain 
aur sari umr nahi rote 
ninden bhi muhaiya hoti hain 
sapne bhi dur nahi hote kyun phir bhi jagte rahte hain kyun sari rat nahi sote 
ab kis se kahen ai jan-e-vafa 
ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain kyun bujh k rakh nahi hote  | 
No comments:
Post a Comment