Pages

Sunday, March 17, 2013

mohabbat ki tabiyat main

mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai
k jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai
yaqin ki aKhiri had tak dilon main lahlahati ho
nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
use izhar k lafzon ki hajat phir bhi rahti hai
mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
k jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
aur shab main baura uthe
zamin ko khod kar dekhe
k paudha ab kahan tak hai
mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki Khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunane se nahi thakati
bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa'at ho
ise bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai
kuch aisi besakuni hai vafa ki sarzaminon main
k jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai
k jaise phul main Khsuhbu k jaise hath main tara
k jaise sham ka tara
mohabbat karne valon ki sahar raton main rahti hai
gumanam k shakhchon main ashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal main bhi hijr k khadshon main rahti hai
mohabbat k musafir zindagi jab kat chukte hain
thakan ki karachiyan chunte vafa ki ajarakn pahne
samay ki rahguzar ki aKhiri sarhad pe rukte hain
to koi dubati sanson ki dori tham kr
dhire se kahta hai
k ye sach hai na
hamari zindagi ik dusare k nam likhi thi
dhundhalaka sa jo ankhon k qarib-o-dur phaila hai
isi ka nam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakkha hai

No comments:

Post a Comment