Wednesday, March 27, 2013
yaad ho usko bhegi sham deceember ki
Saturday, March 23, 2013
jaNa tumHari yaad ne badal dala
jaNa tumHari yaad ne badal dala bhut mujh koo..
rato ko der tak jaga nahi karta'
tumhari yad me sona acha lagta hai'
ab rona acha lagta hai....
tumhari yad k jugno rat bhar khuwabo me aty hai
khty hai mujhe bholi nahi ho tum'
keese yaqeen me karlo'
chalo tasleem me karlo'
mujhe bholi nahi ho tum...
magar phir ankh khulti hai to khayal ata hai
mujhe tu bhool gaya hoga'
magar jana haqiqat hai
bhut kuch badal dalaaa
teri yaad ne mujhko
qasam teri badal dala.....
[sufyan shaikh]
23/03/2013
12:35 AM
Monday, March 18, 2013
ek ashar
Chalo jAo Nahi Me roKta tuM ko..
mAgar jaB aoGi waPas meE kIsi kA ho chUka hoNga..!
[sufyan shaikh]
18/03/2013
12:19 PM
zindagi k mele main
zindagi k mele main
khvahishon k rele main tum se kya kahen jana is qadar jhamele main vaqt ki ravani hai bakht ki girani hai sakht bezamini hai sakht lamakani hai hijr k samandar main takht aur takhte ki ek hi kahani hai tum ko jo sunani hai
bat go zara si hai
bat umr bhar ki hai umr bhar ki baten kab do ghari main hoti hain dard k samandar main anginat jaziren hain beshumar moti hain ankh k dariche main tum ne jo sajaya tha bat us diye ki hai bat us gile ki hai jo lahu ki khilvat main chor ban k ata hai lafz k fasilon par tut tut jata hai
zindagi se lambi hai
bat ratjage ki hai raste main kaise ho bat takhliye ki hai takhliye ki baton main guftagu izafi hai pyar karne valon ko ik nigah kafi hai ho saky to sun jao ek din akale main tum se kya kahen jana is qadar jhamele main |
yahi bahut hai k dil us ko dhund laya hai
yahi bahut hai k dil us ko dhund laya hai
kisi k sath sahi vo nazar to aya hai
karun shikayaten takta rahun k pyar karun
gaye bahar ki surat vo laut aya hai
vo samane tha magar ye yaqin na ata tha
vo ap hai k meri khvahishon ka saya hai
azab hup k kaise hain barishen kya hain
fasil-e-jism giri jab to hosh aya hai
main kya karunga agar vo na mil saka 'Amjad'
abhi abhi mere dil main Khayal aya hai |
Sunday, March 17, 2013
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
purani kirnen naye makanon k anganon main laraz rahi hain fasil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhar gai hain gaye dinon k aziz baten nigar subahen gulab raten bisat-e-dil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar maten judaiyon ki havayen lamhon ki Khush matti ura rahi hain gai ruton ka malal kab tak chalo k shakhen to tutati hain chalo k qabron pe khun rone se apni ankhen hi phutti hain ye mor vo hai jahan se mere tumhare raste badal gaye hain purani rahon ko lautana bhi hamari qatadir main nahi k raste bhi hamare qadamon k sath age nikal gaye hain
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
tum apani ankhon main jhilmilate huye sitaron ko maut de do gai ruton k tamam phulon tamam kharon ko maut de do naye safar ko hayat bakhsho k pichli rahon pe sabt jitne nuqush-e-pa hain vo bar honge hava uraye k tum urao |
Teri zat se nikalna chahta hai
Teri zat se nikalna chahta hai
ye dariya rukh badalana chahata hai
vo sapna jis ki surat hi nahi hai
meri ankhon main chalna chahta hai
dilon ki mandagi pe kya ta'ajjub
k suraj bhi to dhalna chahta hai
nashist-e-dard badali hai to ab dil
zara pahlu badalna chahta hai
mujhe bhi samana hai karbala ka
mera sar bhi uchalna chahta hai
nahi hai tarjuman-e-gam ye ansu
ye pani ab ubalna chahta hai
tabassum zer-e-lab kahta hai 'Amjad'
koi jazba machalna chahta hai |
sitare jo damakate hain
sitare jo damakate hain
kisi ki chashm-e-hairan main mulaqaten jo hoti hain jamal-e-abr-o-baran main
ye na abad vaqton main
dil-e-nashad main hogi muhabbat ab nahi hogi
ye kuch din bad main hogi
guzar jayenge jab ye din
ye un ki yad main hogi |
na shikayaten na gila kare
na shikayaten na gila kare
koi aisa shaKhs hua kare jo mere liye hi saja kare mujh hi se baten kiya kare
kabhi roye jaye vo bepanah
kabhi betahasha udas ho kabhi chup k chup k dabe qadam mere piche a kar hansa kare
meri qurbaten meri chahaten
koi yad kare qadam qadam main tavil safar main hun agar meri vapasi ki dua kare |
mera tamam fun meri kavish mera riyaz
mera tamam fun meri kavish mera riyaz
ik na-tamam git k misre hain jin k bichmani ka rabt hai na kisi kafiye ka mel
anjam jis ka tay na hua ho ik aisa khelmeri mata bas yahi jadu hai ishq ka
sikha hai jis ko main ne bari mushkilon k sath
lekin ye sahir-e-ishq ka tohfa ajib hai
khulta nahi hai kuch k haqiqat main kya hai ye
taqdir ki ata hai ya koi saza hai ye
kis se kahen ai jan k ye qissa ajib hai
kahne ko yun to ishq ka jadu hai mere pas
par mere dil k vaste itna hai is ka bojhsine se ik pahar-sa hatta nahi hai ye
ekin asar k bab main halka hai is qadar
tujh pe agar chalaun to chalata nahi hai ye |
kuch aise ghao bhi hote hain
kuch aise ghao bhi hote hain
jinhen zakhmi ap nahi dhote bin roye huye ansuon ki tarah
sine main chupa k rakhte hain
aur sari umr nahi rote
ninden bhi muhaiya hoti hain
sapne bhi dur nahi hote kyun phir bhi jagte rahte hain kyun sari rat nahi sote
ab kis se kahen ai jan-e-vafa
ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain kyun bujh k rakh nahi hote |
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai
savad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai
samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai
sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai
ye basti hai sitam parvar digan kiyaha koi kisi se kam nahi hai
kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai
dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai
main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai
jo koi sun sake 'Amjad' to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai |
Khud apne liye baith k sochenge kisi din
Khud apne liye baith k sochenge kisi din
yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din
bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main
duniya ne diya vaqt to likkhenge kisi din
hil jayenge ik bar to arshon k dar-o-bam
ye khaknashin log jo bolenge kisi din
apas ki kisi bat ka milta hi nahi vaqt
har bat ye kahae hain k baithenge kisi din
ai jan teri yad k be-nam parinde
shakhon pe mere dard ki utrenge kisi din
jati hai kisi jhil ki gahrai kahan tak
ankhon main teri dub k dekhenge kisi din
khushbu se bhari sham main jugnu k qalam se
ik nazm tere vaste likkhenge kisi din
soyenge teri ankh ki khlvat main kisi rat
saye main teri zulf k jagenge kisi din
khushbu ki tarah ,asl-e-saba khak numa se
galiyon se tere shahar ki guzrenge kisi din
'Amjad' hai yahi ab k kafan bandh k sar se
us shahar-e-sitamgar main jayenge kisi din |
kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja
kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja
vo jo mil gaya use yad rakh jo nahi mila use bhul ja
vo tere nasib ki barishen kisi aur chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri bat sun use bhul ja use bhul ja
main to gum tha tere hi dhyan main teri as main tere guman main
hava kah gai mere kan main mere sath a use bhul ja
tujhe chand ban k mila tha jo tere sahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya visal ka so utar gaya use bhul ja |
jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-Khush main sama gaye
jo utar ke zina-e-sham se teri chashm-e-Khush main sama gaye
vahi jalte bujhte se mahar-o-mah mere bam-o-dar ko saja gaye
ye ajib khel hai ishq ka main ne ap dekha ye mojeza
vo jo lafz mere guman main the vo teri zuban par a gaye
vo jo git tum ne suna nahi meri umr bhar ka riyaz tha
mere dard ki thi dastan jise tum hansi main ura gaye
vo charag-e-jan kabhi jis ki lau na kisi hava se nigun hui
teri bevafai ke vasava use chupke chupke bujha gaye
vo tha chand sham-e-visal ka k tha rup tere jamal ka
meri ruh se meri ankh tak kisi raushani main naha gaye
ye jo bandagan-e-niyaz hai ye tamam hai vo lashkari
jinhen zindagi ne aman na di to tere huzur main a gaye
teri beruKhi k dayar main main hava ke sath hava hua
tere aine ki talash main mere Khvab chehara ganva gaye
tere vasvaon k fishar main tera sharar-e-rang ujar gaya
meri khvahishon k gubar main mere mah-o-sal-e-vafa gaye
vo ajib phul se lafz the tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-khvab main dur tak koi bagh jaise laga gaye
meri umr se na simat sake mere dil main itne saval the
tere pas jitne javab the teri ik nigah main a gaye |
dil k dariya ko kisi roz utar jana hai
dil k dariya ko kisi roz utar jana hai
itna besimt na chal laut ke ghar jana hai
us tak ati hai to har chiz thahar jati hai
jaise pana hi use asl main mar jana hai
bol ai sham-e-safar rang-e-rihai kya hai
dil ko rukana hai k taron main thahar jana hai
kaun ubharate hue mahatab ka rasta roke
us ko har taur su-e-dasht-e-sahar jana hai
main khila hun to isi khak main milna hai mujhe
vo to khushbu hai use agle nagar jana hai
vo tere husn ka jadu ho k mera gam-e-dil
har musafir ko isi ghat utar jana hai |
chuke chupke asar karta hai
chuke chupke asar karta hai
ishq kainsar ki tarah barhta hai
jo koi ji na sake mar jaye
ap ka nam abas leta hai
kaun sunata hai kisi ki vipada
sab k mathe pe yahi qissa hai
koi darta hai bhari mahfil main
koi tanhai main hans parta hai
yahi jannat hai yahi hai dozakh
aur dekho to yahi duniya hai
sab ki qismat main fana hai jab tak
asmanon pe koi zinda hai
vo Khuda hai to zamin par aye
hashr ka din to yahan barpa hai
sans roke hue baitho 'Amjad'
vaqt dushman ki tarah chalta hai |
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajate ho baras jao kisi din
razon ki tarah utaro mere dil main kisi shab
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din
peron ki tarah husn ki barish main naha lun
badal ki tarah jhum k ghir ao kisi din
Khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din
phir hath ko khairat mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohrao kisi din
guzaren jo mere ghar se to ruk jayen sitare
is tarah meri rat ko chamkao kisi din
main apani har ik sans usi rat ko de dun
sar rakh k mere sine pe so jao kisi din |
chand k sath kai dard purane nikle
chand k sath kai dard purane nikle
kitne gam the jo tere gam ke bahane nikle
fasl-e gul ai phir ik bar asiran-e-vafa
apne hi khun k dariya main nahane nikle
hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai
dil ki befaiz zaminon se khazane nikle
umr guzri hai shab-e-tar main ankhain malte
kis ufaq se mera khurshid na jane nikle
ku-e-qatil main chale jaise shahidon ka julus
Khvab yuu bhigti ankhon ko sajane nikle
dil ne ik int se tamir kiya taj mahal
tu ne ik bat kahi lakh fasane nikle
dasht-e tanhai-e-hijranN main khara sochta hun
haye kya log mera sath nibhane nikle
main ne 'Amjad' use bevasta dekha hi nahi
vo to Khushbu main bhi ahat ke bahane nikle |
aisi hi sard sham thi vo bhi
aisi hi sard sham thi vo bhi
jab vo mahndi rachaye hathon main apni ahat k khauf se larazan surkh anchal main munh chipaye hue apne khat mujh se lene ai thi us ki sahmi hui nigahon main kitni khamosh iltijayen thin us k chehre ki zard rangat main kitni majaburiyon k saye the mere hathon se khat pakarte hi jane kya soch kar achanak vo mera shana pakar kar roi thi us k yaqut rang honthon k kapkapate hue kinaron par saikaron ankahe fasane the sard shamon main der tak aksar jab ye manzar dikhai deta hai ek lamha hinai hathon se mujh ko apani taraf bulata hai hamnashin ruth kar na ja mujh se aisi hi sard sham thi vo bhi |
mohabbat ki tabiyat main
mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai
k jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai yaqin ki aKhiri had tak dilon main lahlahati ho nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho use izhar k lafzon ki hajat phir bhi rahti hai
mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
k jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye aur shab main baura uthe zamin ko khod kar dekhe k paudha ab kahan tak hai
mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki Khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunane se nahi thakati bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa'at ho ise bas ek hi dhun hai kaho mujh se mohabbat hai kaho mujh se mohabbat hai
kuch aisi besakuni hai vafa ki sarzaminon main
k jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai k jaise phul main Khsuhbu k jaise hath main tara k jaise sham ka tara mohabbat karne valon ki sahar raton main rahti hai gumanam k shakhchon main ashiyan banata hai ulfat ka ye ain visal main bhi hijr k khadshon main rahti hai
mohabbat k musafir zindagi jab kat chukte hain
thakan ki karachiyan chunte vafa ki ajarakn pahne samay ki rahguzar ki aKhiri sarhad pe rukte hain to koi dubati sanson ki dori tham krdhire se kahta hai k ye sach hai na hamari zindagi ik dusare k nam likhi thi dhundhalaka sa jo ankhon k qarib-o-dur phaila hai isi ka nam chahat hai tumhen mujh se mohabbat thi tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakkha hai |
Saturday, March 16, 2013
زندگی بھی بس اک ڈائری کی مانند ہے،جس کے ہر صفحے پر دن، تاریخ، ماہ و سال چسپاں ہیں۔۔ صفحہ ایک سے آخر تک زندگی اس پر بے شمار تحریریں لکھتی ہے۔۔اس تحریر کی نوعیت ہر زندگی کے مزاج پر منحصر ہے۔۔
جب یہ خوش ہوتی ہے تو دھنک کے ساتوں رنگ ڈائری میں س…جاتی ہے
اور
جب ناخوش ہوتی ہے تو ماتمی سیاہ رنگ سے صفحوں کو کالا کر ڈالتی ہے۔
ہم اگر شروع سے آخر تک اسے پڑھتے جائیں تو پتہ چلے گا کہ تاریخ کے ساتھ ساتھ تحریروں میں پختہ سو چ اور تجربہ دکھائی دیتا ہے۔۔لیکن افسوس جونہی ہم ان تجربوں سے فیض یاب ہونے لگتے ہیں، ڈائری کے صفحات ختم ہوجاتے ہیں۔۔۔۔۔۔۔۔
زندگی بھی بس اک ڈائری کی مانند ہے،جس کے ہر صفحے پر دن، تاریخ، ماہ و سال چسپاں ہیں۔۔ صفحہ ایک سے آخر تک زندگی اس پر بے شمار تحریریں لکھتی ہے۔۔اس تحریر کی نوعیت ہر زندگی کے مزاج پر منحصر ہے۔۔
جب یہ خوش ہوتی ہے تو دھنک کے ساتوں رنگ ڈائری میں س…جاتی ہے
اور
جب ناخوش ہوتی ہے تو ماتمی سیاہ رنگ سے صفحوں کو کالا کر ڈالتی ہے۔
جب یہ خوش ہوتی ہے تو دھنک کے ساتوں رنگ ڈائری میں س…جاتی ہے
اور
جب ناخوش ہوتی ہے تو ماتمی سیاہ رنگ سے صفحوں کو کالا کر ڈالتی ہے۔
ہم اگر شروع سے آخر تک اسے پڑھتے جائیں تو پتہ چلے گا کہ تاریخ کے ساتھ ساتھ تحریروں میں پختہ سو چ اور تجربہ دکھائی دیتا ہے۔۔لیکن افسوس جونہی ہم ان تجربوں سے فیض یاب ہونے لگتے ہیں، ڈائری کے صفحات ختم ہوجاتے ہیں۔۔۔۔۔۔۔۔
Faasle Aise Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha
Faasle Aise Bhi Honge Yeh Kabhi Socha Na Tha
Saamne Betha Tha Mere Aur Woh Mera Na Tha
Woh Ke Khusboo Ki Tarah! Pehhla Tha Mere Chaar Soo
Mai Use Mehsoos Kar Sakta Tha Chu! Sakta Na Tha
Aks Tho Mojood Tha Par Aks Tanhaee Ke The
Aainaa Tho Tha Magar Use Mai Tera Chehra Na Tha
Aaj Us Ne Dard Bhi Apne Alaida Kar Diye
Aaj Mai Roya Tho Mere Saath Woh Roya Na Tha
Yaad Kar Ke Aur Bhi Takleef Hoti Hai Adeem
Bhool Jaane Ke Siwa Ab Koi Aur Chara Na Tha
Adeem hashmi
Adeem hashmi
Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum
Har Baar Mere Saamne Aati Rahi Ho Tum
har baar tum se mil ke bichhadta raha hoon main
tum kaun ho ye khud bhi nahi’n jaanti ho tum
main kaun hoon ye khud bhi nahi’n jaanta hoon main
tum mujh ko jaan kar hi padi ho azaab mein
aur iss tarah khud apni saza ban gaya hoon main
har baar tum se mil ke bichhadta raha hoon main
tum kaun ho ye khud bhi nahi’n jaanti ho tum
main kaun hoon ye khud bhi nahi’n jaanta hoon main
tum mujh ko jaan kar hi padi ho azaab mein
aur iss tarah khud apni saza ban gaya hoon main
tum jis zameen par ho main uss ka KHUDA nahi’n
bas sar-basar azeeyat-o-aazaar hi raho
bezaar ho gaee ho bahot zindagi se tum
jab bas mein kuch nahi’n hai to bezaar hi raho
tum ko yahaa’n ke saaya-e-partau se kya garaz
tum apne haq mein beech ki deewar hi raho
bas sar-basar azeeyat-o-aazaar hi raho
bezaar ho gaee ho bahot zindagi se tum
jab bas mein kuch nahi’n hai to bezaar hi raho
tum ko yahaa’n ke saaya-e-partau se kya garaz
tum apne haq mein beech ki deewar hi raho
main ibtada-e-ishq mein bemehar hi raha
tum inteha-e-ishq ka miyaar hi raho
tum khoon thookti ho ye sun kar khushi huee
iss rang iss ada mein bhi purkaar hi raho
tum inteha-e-ishq ka miyaar hi raho
tum khoon thookti ho ye sun kar khushi huee
iss rang iss ada mein bhi purkaar hi raho
maine ye kab kaha tha ke mohabbat mein hai najaat
maine ye kab kaha tha ke wafadaar hi raho
apni mata-e-naaz luta kar mere liye
baazaar-e-iltafaat mein naadaar hi raho
maine ye kab kaha tha ke wafadaar hi raho
apni mata-e-naaz luta kar mere liye
baazaar-e-iltafaat mein naadaar hi raho
jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de saka
gham mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na de saka
jab mere saare charaag-e-tamanna hawa ke hain
jab mere saare khwaab kisi bewafa ke hain
phir mujhe chaahne ka tumhein koi haq nahi’n
tanha karaahne ka tumhein koi haq nahi’n.
gham mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na de saka
jab mere saare charaag-e-tamanna hawa ke hain
jab mere saare khwaab kisi bewafa ke hain
phir mujhe chaahne ka tumhein koi haq nahi’n
tanha karaahne ka tumhein koi haq nahi’n.
uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar
haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
shauq meN kuch nahiiN gayaa, shauq kii zindagii gayii
ek hii haadisaa to hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahiiN kahii gayii, baat nahiiN sunii gayii
baad bhii tere jaan-e-jaaN dil meN rahaa ajab samaaN
yaad rahii terii yahaaN, phir terii yaad bhii gayii
uske badan ko dii namuud hamne suKhan meN aur phir
uske badan ke vaaste ek qabaa bhii sii gayii
skii ummiid-e-naaz kaa hamse ye maan thaa ke aap
umr guzaar deejiye, umr guzaar dii gayi
uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye
haalat-e-di,l ke thii Kharaab, aur Kharaab kii gayii
teraa firaaq jaan-e-jaaN aish thaa kyaa mere liye
yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pii gayii
uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar
ek galii kii baat thii aur galii galii gayii
Ajeeb pagal sa larka hai
Ajeeb pagal sa larka hai
wo mujh se jab bhi milta
hai
mujhey har baar kehta
hai
terey honey sey meri
zaat ki takmeel hoti hai
usey maloom bhi hai
main
to khud ik aam larki hoon
magar wo mujh se kehta
hai
nahi tum sa koi dooja
Ajeeb pagal sa larka hai
wo mujh se jab bhi milta
hai
naya ik naam deta hai, nayi
pehchaan deta hai
meray andar ke sab
mausam bina meray
kahey hoye
wo hamesha
jaan laita hai
meri barson purani baat
bhi wo yaad rakhta hai
mujhay her baar kehta
hai
teri aawaz ka jadoo
mujhey soney nahi deta
Ajeeb pagal sa larka hai
woh mujh sey jab bhi
milta hai
to pehron mujh ko takta
hai
usey her rang jo main ne
ho pehna, acha lagta hai
usey her khuwab jo
maine ho dekha, sacha
lagta hai
Ajeeb pagal sa larka hai
mujhey dukh ke andheron
main kabhi khoney nahi
deta
usey meray hina-ii-haath
takna acha lagta hai
usey mujhko mujhi ko
sochnay ki janay kia zid
hai
ho din ka koi bhi lamha,
andheri raat ka pal ho
wo mujh ko socha karta
hai, mujhi ko yaad rakhta
hai
ajab pagal sa larka hai
wo mujh se jab bhi milta
hai
hazaron baar kehta hai
mujhay tum se mohabbat
hai
bus ik pal me wo apna
aap mujh ko sonp deta hai
main us pagal sey larkey
ke liye ab aur kia likhoon
Ajeeb pagal sa larka hai
Ajeeb pagal si main bhi
hoon .!
mohabbat jin say hoti hai
mohabbat jin say hoti haiunhain khonay ka dar har waqt daman geer rehta haiyaqeen ki akhri manzil pay akar bhikoi khadsha koi shak koi andaishabuhat bay chain rakhta haimohabbat jin say hoti haiunhain khonay ka dar har waqt daman geer rehta haikahin yeh wasl k lamhaybadal jayen na furqat mainkahin yeh qurb ki gharyanjudayi me na dhal jayenkahin aisa na ho kkoi uss ko badguman kardaykahin aisa na ho kjiss ko hum nay hasil e umr e rawan samjhajhatak kar hath wo bay dardsub kuch rayegan kardaykahin aisa na howo mehrban ankhain, badal jayenkahin aisa na hoyeh garam joshi sard par jayaytapak e jan say milnay ki ravishyakh basta hojaeyaday e dilbarana bay rukhi ka roop dharayaur dil ka dard ban jayaymohabbat jin say hoti haiunhain khonay ka dar har waqt daman geer rehta haikabhi mehfil main sub k samnaywo ehtyatan bhiagar nazrain chura jayayto dil pay choat lagti haiansoaon ka main barasta haikabhi masrofiyat mainmehviyat mainfone ki ghanti ka wo notice na layaur rabtay ka silsila moqof hojayaydharak uth'ta hai dilkia janyay kia hogaya usskotawajja main kami q agayiq uss ki janib aik sannata sa chaya haijo apna iss qadar apna thaakhir q paraya haiMOHABBAT JIN SAY HOTI HAIUNAHAIN KHONAY KA DARRHAR WAQT DAMAN GEER REHTA HAI
Main aesi muhabbat karta hun, Tum kesi muhabbat karti ho.
Tum jahan pe beth k jati ho, Jis cheez ko hath lagati ho,
Main wahin pe betha rehta hun Uss cheez ko chhuta rehta hun,
Main aesi muhabbat karta hun, Tum kesi muhabbat karti ho.
Tum jis se hans kar milti ho, Main us ko dost banata hun,
Tum jis rastay pe chalti ho Main us se aata jata hun
Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho
Tum jin ko dekhti rehti hoWo khuwab sirhanay rakhta hun,
Tum se milnay julnay k Kitnay hi bahanay rakhta hun,
Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho
Kuch khuwab saja kar aankhon mein, Palkon se moti chunta hun
Koi lams agar chhu jaey to, Main pehron us ko sochta hun,
Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho
Jin logon mein tum rehti hoTum jin se baatien karti ho,
Jo tum ko acchay lagtay hain, Wo hi mujh ko acchay lagtay hain
Main aesi muhabbat karta hunc
Har mokay par har manzar mein, Main sath tumharay rehta hun,
Main chashm e tasavvur mein aksar, Bus tum ko sochta rehta hun
Main aesi muhabbat karta hun Tum kesi muhabbat karti ho
Tumhari bheegti palkoon say mainay barha poocha
Tumhari bheegti palkoon say mainay barha poocha
kay dil k kheil mein kia jeetnay walay bhee rotay hein?
wu jinki chasm-e-khudbeen aur ko deekha nahi kerti,
bhala kis dil say gham k taar mein moti pirootay hein?
wu jinki chasm-e-khudbeen aur ko deekha nahi kerti,
bhala kis dil say gham k taar mein moti pirootay hein?
Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha
Kay kia manind-e-sheesha patharoon mein baal aata hay?
asar-angaiz hay ab bhee muhabbat ka wuhi jazba,
ju aisay hoshmandoon ko bhee yun pagal banata hay?
Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha
misaj-e-husn mein yun yak-bayak kia inkilaab aaya?
sitara daikhna aur daikh ker afsurda hu jana…
barri takheer say tumko sitaroon ka hisab aaya!!
Tumhair bheegti palkoon say mainay barha poocha
Kay terk-e-rabt say kia mujhse wehsi yaad aatay hein?
tal-luk torna aasan tha tu aankh kyun numm hay… …
ana-perwar jaffa-paisha bhee yun aansoo bahatay hein?
Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha
kay jalnay aur jalanay mein bhala kia lutf aata hay??
bus ek jhooti ana kay wastay berbad hu jana??
khudi kay zua’mm mein insaan kitnay dukh uthata hay… …
Subscribe to:
Posts (Atom)