Aaj Faraghat Patay He Mazi Ka Daftar Khola Hai
Tanhai Mein Beth K Apna Ek Ek Zakham Tatoola Hai
Chaan Chuka Hon Jism-O-Rooh Pr i Howe Kharashu Ko
Ulat Palat K Dekh Liya Hai Armano Ki Laashu Ko
Kamray Mein Rakha Tha Usay Yah Dil Main Kaheen Dafnaya Tha
Jane Woh Anmol Khazana Mein Nay Kahan Chupaya Tha
Sari Umar Ka Hasil Thi Yeh Khonay Wali Cheez Na Thi
Soch Raha HOn Yad Teri Ghum Hone Wali Cheez Na Thi
Warq Warq Dekha Hai Apni Gard Alud Kitabu Ko
Jehsay Koi Bedari Mein Dhoond Raha ho Khowabo Ko
Aakal K Hathu Say Be Aksar Nadani Ho Jati Hai
Bohat Sambhal K Rakhne Pr Be Cheez Kabhi Kho Jati Hai
Apny Saray Ghar Walo Ko Dewana Sa Lagta Hon
Is Kamray Say Us Kamray Mein Khoya Khoya Phirta Hon
Soch Samj Kr Duniya Ki Nazro Say Chupa Kr Rakha Tha
Mein Toh Us Yad Ko Apny Liyeh Bacha Kr Rakha Tha
Kamray Main Rakha Tha Usay Yah Dil Mein Kaheen Dafnaya Tha
Jane Woh Anmol Khazana Mein Nay Kahan Chupaya Tha
Monday, December 6, 2010
Aaj Faraghat Patay He Mazi Ka
shaikh_Labels:
aatif saeed
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment