Ankahi Baat Ko Samjho Gi To Yaad Aaoun Ga
Hum Ne Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Akhatte Dekhe Hain
Safah_E_Zeesat Ko Palto Gi To Yaad Aaaoun Ga
Isi Andaaz Main Hote Thay Mukhaatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likho Gi To Yaad Aaaoun Ga
Sard Raaton Ke Mahakte Huye Sanaaton Main
Jub Kisi Phool Ko Choomo Gi To Yaad Aaaoun Ga
Ab Talak To Tere Ashk Main Honton Se Chura Leta Hoon
Haath Se Inhein Khud Poncho Gi To Yaad Aaaoun Ga
Shaal Pehnaaye Ga Ab Kaun December Main Tumhein
Baarishon Main Bheego Gi To Yaad Aaaoun Ga
Aaj Tum Mehfil_E_Yaaraan Pe Ho Magroor Bohot
Jub Kabhi Toot Ke Bikhro Gi To Yaad Aaaoun Ga
Haadse Aayein Ge Jeewan Main To Tum Ho Ke Nidhaal
Kisi Deewar Ko Thaamo Gi To Yaad Aaaoun Ga
Is Main Shaamil Hai Meri Bakht Ki Taareeki Bhi
Tum Siyaah Rang Jo Pehno Gi To Yaad Aaaoun Ga
(wasi shah)
No comments:
Post a Comment