December b Ajab Maheena Hay
Iss k Shoro Hotay Hi Aisa Mehsos Hota Hay
k Jaisy Purani Diary k Auraaq
Hamarey Samney Khul Gaye Hon
Yaadein, Judaiyan...Guzrey Lamhaat Phir Se Zinda Ho Kar
Dard Ko Aanch Deney Lagtey Hain
Sood-o-Zayan Ka Hisab,Raiganii Ka Karb
Waqt k Guzarney Ka Ehsas Do Chand Ho Jata Hay
Kya Khoya Kya Paya Ka Maizan Takleef Deta Hay
Mujhay Lagta Hay k Har Shakhs k Ander Apna Apna December Saans Leta Hay
Mery Ander b Ik December Hay
Jis Ne Meri Zindagi Par
Dukh Aur Hijr k Nohay Likhay Hain
Yeh December Ki Kuhar Alood Rat
Dukh Ki Be Yaqeeni Mein Ghira Hua
Aansoun Mein Doba Hua Mera Chehra
Aankhon k Kinarey Khushk Hoyein To Barshein Zameen-e-Dil Par Barasti Hain
Dukh Ehsas Ki Jarr Pakarta Hay Aur
Mery Lafzon Mein Hamakta Dikhayi Deta Hay
Zindagi Na Gihanii Judayii Se Laraz Uthtii Hay
Takhleeqkaaron Ko December Judayi,Dukh Aur Hijr Ka Ista,ara Lagta Hay
Usay Kehna December Aa gaya Hay
Hawayein sard Hain
Aur Zindagi
Kuhar Ki Deewaron Par Larzan Hay
Shagoofay Tehniyon Par So Rahay Hain
Aur In Par Barf Ki Chadar Jami Hay
Usay Kehna
Agar Sooraj Na Nikley Ga
To Kaisy Barf Pighley Gi...?!!
No comments:
Post a Comment