Suno ....
ik baar keh do na
k bin meray tum b adhoori ho
k jo main nahi to har khuwahish
namukammal c lagti hai
har din azab sa lagta hai
raatain bekhuaab guzarti hain
shamai'n roz rulati hain
meri ahat ka intezar hai tum ko
k jb b koi tumharay naam se pukarta hai to
dil khush sa ho jata hai
mera hi gumaa'n hota hai
or muj ko waha na paa kar
phir se mayoosi cha jati hai
chehchahatay parind buray lagtay hain
sogwar sa maatmi sa sara shehr esay jesay
luqma-e-ajal ho gaya ho
koi ronaq koi saaz dil na jeet pata hai
sansain beeqar c lagti hai'n
rooh sisaktay hue pasmurda se zehr alood jism ki maanind ho chuki lagti hai
jo bachna b na chahy
or mar b na sakay
khayalaat o tasawoorat to boht door ho'n
zehn me bas aik hi tasweer hai ...meri
meray khad o khaal tumhari ankho'n me esay hain jesay
tumharay saamnay hoo main
or mujh se batain karna
or ghanton kartay rehna
tumhara mashghla ban chuka hai
lakin maloom hai mujhay ik sach
k esa kuch b nahi hai
ye sab meray wehm k ilawa kuch b nahi
tumharay din o raat muztarib nahi
tumhari shamain mo'tdal hain
kisi pukar me main pinhaa'n nahi hoo
tumhara shehr ab b abaad hai khush baash hai
har naya din eid sa hai
har raat chand raat hai
tum ab b banti sanwarti ho
ab b payal pehnti ho
baarish ki chankaar main
ab b rangin patangay ki manind
geet gungunana adat hai tumhari
lakin me kya karoo ??
kaho !! main kya karoo ???
k tumhari yaad k sooraj ki tapish main
sulagna or sulagte rehna adat hai meri
or adatain na badlain to
fitrato'n me dhal jai'n to
rog sabit hoti hain
or suno aye jan-e-wafa....!!!
ye rog jaan lewa hai
ye rog jaan lewa hai
No comments:
Post a Comment