Pages

Saturday, April 27, 2013

Last Call


Kal hamesha ki tarah us nay kaha yeh phone per
mai bahut masroof hoon mujhko bahut say kaam hain
is liye tum ao milnay, mai tu asakti nahin
har riwayat tor kar is bar mainay kah diya
tum jo ho masroof tu mai bhi bahut masroof hoon
tum jo ho mashhoor tu mai bhi bahut maroof hoon
tum agar gamgin ho mai bhi bahut ranjore hoon
tum thakan say choor ho tu mai bhi thakan say choor hoon
jaan-e-man hai wakt mera bhi bahut hi keemti
kuch puranay doston nay milnay ana hai abhi
mai bhi ab faarigh nahi mujh ko bhi lakho kaam hain
warna kahnay ko tu sab lamhay tumharay naam hain
meri ankhain bhi bahut bojhal hain sauna hain mujhay
ratjagon kay baad ab neendon mai khona hai mujhay
mai lahu apni anao ka baha sakta nahin
tum nahin atin tu milnay asakta nahin
us ko yeh kah kay WASI mai receiver rakh diya
aur phir apni ana kay paon pay sar rakh diya

No comments:

Post a Comment