Wednesday, January 30, 2013
Tuesday, January 15, 2013
وہ شخص مجھ کو جیت کے ہارا ہے اور بس
وہ شخص مجھ کو جیت کے ہارا ہے اور بس
اتنا ہی زندگی کا خسارا ہے اور بس
دنیا کو اس میں درد کی شدت کہاں ملے
آنکھوں سے ٹوٹتا ہوا تارا ہے اور بس
لفظوں میں دردِِ ہجر کو محسوس کر کے دیکھ
کہنے کو میں نے وقت گزارا ہے اور بس
اب ان میں کوءی خواب سجانے نہیں مجھے
آنکھوں کو انتظار تمہارا ہے اور بس
کیسے کہوں کہ اس کا ارادہ بدل گیا
سچ تو یہی ہے اس نے پکارا ہے اور بس
میں نے کہا کہ خواب میں دیکھی ہیں بارشیں
اس نے کہا کہ ایک اشارہ ہے اور بس
Kitna Bojhal Sa Lehja Tha
Kitna Bojhal Sa Lehja Tha
Jab Tou Nai Mujh Sai Pouch Tha
Piyar K Baray Mai Kuch Bolo
Ishq Ke Sare RamzaiN Kholo
Piyar Ibadat Ku Hota Hai?
Dard Ke Koi Hud Hote Hai?
Hijar Qayamat Kiun Hota Hai?
Jab Tou Nai Yai Sb Pocha Tha
Or Mai Us Bojhal Lehjay Mai
Khud Ko Jalta Deakh Raha Tha
Taman’naon K Sab Dar Kholta Hai
Taman’naon K Sab Dar Kholta Hai
“Teri Ankho Ka Lehja Bolta Hai”
Chupany Ke Koi Surat Nahi Hai
Koi Upper Sai Sab Kuch Dekhta Hai
Suna Hai Bhegtee Hain Us Ke Palkain
Wo Jab Bhee Kuch Khuda Sai Mangta Hai
!Kahin Sai Roshne Laow Khudara
Meray Ghar Mai Andhera Bolta Hai
Meray Charon Teraf Phele Hai Khushbo
Yai Lagta Hai Wo Mujh Ko Sochta Hai
Najany Kiun Mujhy Lagta Hai Aisa
K Wo Kuch Mujh Sai Kehna Chahta Hai
Daikh hamaaray maathay par ye dasht-e-talab ki dhool Miaan
Daikh hamaaray maathay par ye dasht-e-talab ki dhool Miaan
Ham se ajab tera dard ka naata, daikh hameiN mat bhool MiaaN
Ahl-e-wafa se baat na karna, ho ga taira usool Miaan
Ham kyoN chhoRaiN un galyoN key phairoN ka maamool Miaan?
Yeh to kaho kabhee ishq kiya hai? jag meiN huway ho ruswa bhee?
Is ke siwa ham kuchh bhee na poochheiN, baaqee baateiN fuzool Miaan
Nasb kareiN mehraab-e-tamanna, deeda o dil ko farsh kareiN
Suntay haiN woh koo-e-wafa meiN aaj kareiN gey nuzool Miaan!
Sun to lia ek naar ki Khaatir kaaTa koah, nikaalee nehr
Aik zara sey qissey ko ab kyoN daitey ho tool Miaan?
Khailnay deiN unheiN ishq ki baazee, khaileiN gey to seekheiN gey
Qais kee ya Farhaad kee Khaatir kholeiN kya iskool Miaan?
shehr e dil ki galion main ..
shehr e dil ki galion main .. sham se bataktey hein .. Chand key tamanaee ... beqarar sudaee ... dil gudaz tareeki.. jaan guzad tanhaee ... rooh o jaan ko dasti hey .... rooh o jaan main basti hey .... shehr e dil ki galion main ... taak e Shab ki beeloun per ... shabnameen sarshikoun per ... beqarar logoon ney.. beshumar logoon ney .. yaad gar churi hey .. itni baat thuri hey ... sad hazar batein thi... heela e shika e baee .. sooratoun ki zaibaee ... kaamatoun ki raa-naee ... in seyaah Ratun main ... eik bhi na yaad aei .. jaaa bajaa bataktey hein .. kis ki rah taktey hein ... chaand ke tamanaee .... yea nagar kabhi pehley .. is kader na weeraan thaa .. kahney waley kahtey hein .. kareeya a nigaran tha .... khair apney jeeney ka .. yea bhi eik samaan tha ... ajj dil main weraani .. abar ban key girh aei .. ajj dil ko kiya kahiye ... ba wafaa na harjaee .... phir bhi loog dewaney .. aa ghey hein samjaney ... apni wehshat e dil apni wehshat e dil key... bun liey hein afsaney.... khush khyaal dunya ney ... germiyaan tu jati hein ... yea rutein bhi ati hein ... jab malool ratun main ... dostoon ki batun main ... jee na chein paey gha .. aur OUB jaey gha .... ahatun sey gonjey ghee ... Shehar e Dil ki pehnaee .... aur chand ratun main ... Chandni key shedaee .. her bahaney niklein ghey ... Azmaney niklein ghey ... arzu ki geraee .... dhondney ko ruswaee ... sard sard ratun ko .. zard chand bakshey gha.... be-hisaaab tanhaee .... be hejaab tanhaee.... shehar e dil ki galion main ... |
Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya
Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya
Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya
Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya
Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi
Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya
Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya
Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai
KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya
KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya
Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari
Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya
Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya
Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai
Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya
Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya
Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN
Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya
Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya
Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann
Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya
Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya
Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN, KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare
Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya
Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya
Dil ishq meiN bepaayaaN, sauda ho to aisa ho
Dil ishq meiN bepaayaaN, sauda ho to aisa ho
Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho
Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho
Ham se nahiN rishta bhi, ham se nahiN milta bhi
Hai paas wo baiTha bhi, dhoaka ho to aisa ho
Wo bhi raha baygaana, ham ne bhi na pehchaana
HaaN ai dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho
Ham ne yahi maaNga tha, us ne yahi baKhshaa hai
Banda ho to aisa ho, daata ho to aisa ho
Is daur meN kya kya hai, ruswaayi bhi lazzat bhi
KaaNTa ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho
Ai Qais junooN paisha, Insha ko kabhi dekha?
Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho
Apne hamraah jo aate ho idhar se pahle
Apne hamraah jo aate ho idhar se pahle
Dasht paRta hai miyaN ishq meiN ghar se pahle
Dasht paRta hai miyaN ishq meiN ghar se pahle
Chal diye uThke su-e-shahar-e-wafa, ku-e-habib
Puchh lena tha kisi khaak basar se pahle
Puchh lena tha kisi khaak basar se pahle
Ishq pahle bhi kiya hijr ka Gham bhi dekha
Itne taRrpe hain na ghabraye na tarse pahle
Itne taRrpe hain na ghabraye na tarse pahle
Ji bahalta hi nahin ab koi saa’at, koi pal
Rat Dhalti hi nahin chaar pahar se pahle
Rat Dhalti hi nahin chaar pahar se pahle
Ham kisi dar pe na thithke na kahiN dastak di
Saikaron dar the meri jaN tere dar se pahle
Saikaron dar the meri jaN tere dar se pahle
Chand se aankh mili, ji ka ujala jaga
Ham ko sou bar hui subh, sahar se pahle
Ham ko sou bar hui subh, sahar se pahle
Sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho
Sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho
Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho
Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho
Dil kii baat chhupaanii mushkil,lekin Khuub chhupaate ho
Ban meN daanaa, shahr ke andar diivaane kahlaate ho
Ban meN daanaa, shahr ke andar diivaane kahlaate ho
Bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadaab ke saath
AaNkh churaa kar dekhte ho, phir bhole bhii ban jaate ho
AaNkh churaa kar dekhte ho, phir bhole bhii ban jaate ho
Peet meN aise laakh jatan haiN, lekin ek din sab nakaam
Aap jahaaN meN rusvaa hoge, vaa’z hameN farmaate ho
Aap jahaaN meN rusvaa hoge, vaa’z hameN farmaate ho
Ham se naam junuuN kaa qaayam, ham se dasht kii aabaadii
ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?
ham se dard ka shikvaa karte, ham ko zakhm dikhaate ho?
Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua
Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua
Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua
Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua
Aaj to jaani, rastaa takte, shaam ka chaNd padeed hua
Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua??
Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua??
Aan ke is beemaar ko dekhe!! tujh ko bhi taufeeQ hui?
Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua
Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua
HaaN us ne jhalak dikhlayi, ek hi pal ko dreeche meN
Jaano ek bijli lahraayi, aalam ek shaheed hua
Jaano ek bijli lahraayi, aalam ek shaheed hua
Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi
Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua
Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua
Duniya ke sab karaj chhoRe, naam pe tere ‘Insha’ ne
Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua
Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua
Raat ke Khaab sunaayeN kis ko raat ke Khaab suhaane the
Raat ke Khaab sunaayeN kis ko raat ke Khaab suhaane the
DhuNdhle dhuNdhle chehre the par sab jaane pahchaane the
DhuNdhle dhuNdhle chehre the par sab jaane pahchaane the
Ziddii vahshii alhaR chanchal miiThe log rasiile log
HoNT un ke GhazaloN ke misr’e aaNkhoN meN afsaane the
HoNT un ke GhazaloN ke misr’e aaNkhoN meN afsaane the
Ye laRkii to in galiyoN meN roz hii ghuumaa kartii thii
Is se un ko milnaa thaa to is ke laakh bahaane the
Is se un ko milnaa thaa to is ke laakh bahaane the
Ham ko saarii raat jagaayaa jalte bujhte taaroN ne
Ham kyuuN un ke dar pe utre kitne aur Thikaane the
Ham kyuuN un ke dar pe utre kitne aur Thikaane the
Vahshat kii unvaan hamaarii in meN se jo naar banii
DekheNge to log kaheNge ‘Insha’ ji diiivaane the
DekheNge to log kaheNge ‘Insha’ ji diiivaane the
Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan
Daikh hamaray mathay pe yeh dasht-e-talab ki dhool miyaan
Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan
Hum se ajab tera dard ka nata,daikh hmain mut bhool miyaan
Ahl-e-wafa se baat na karna ho ga tera usool miyaan
Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan
Hum kioun phairain in galyoon k phairoN ka ma’mool miyaan
Yunhi to nahi dasht main pohnchay,yunhi to nahi jog liya
Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan
Basti basti kantay daikhay jangal jangal phool miyaan
Yeh to kaho kabhi ishq kia ha?jag main hoye ho ruswa bhi
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan
Is k siwa hum kuch na puuchain baqi baat fazool miyaan
Nasb karain mehraab-e-tamanna,deeda-o-dil ko farsh karain
Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan
Suntay hain wo kooe-wafa main aaj karain gay nazool miyaan
Sun to liya kisi naar ki khatir kata koh, nikali nehr
Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan
Ik zara say Qissay ko ab daitay ho kioun tool miyaan
Khailnay day inhain ishq ki baazi,khailain gay to seekhain gay
Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan?
Qais ki ya Farhad ki khatir kholain kiya iskool miyaan?
Ab to hamain manzoor hai yeh bhi,shehr se niklain,ruswa hoN
Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan
Tujh ko daikha, baatain kar leen,mehnat hoi wasool miyaan
Insha jee kiya uzr hai tm ko, naqd-e-dil-o-jaan nazr karo
Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!!
Roop nagar kay nakay per yeh lagta hai mehsool miyaan!!
Farz karo hum ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
Farz karo hum ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
Farz karo ye donoN baateN jhuTii hoN afsaane hoN
Farz karo ye donoN baateN jhuTii hoN afsaane hoN
Farz karo ye ji ki biptaa ji se jor ? sunaayi ho
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupaayi hoN
Farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupaayi hoN
Farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde hum ne bahaane hoN
Farz karo ye nain tumhare sach-much ke maiKhaane hoN
Farz karo ye nain tumhare sach-much ke maiKhaane hoN
Farz karo ye rog ho jhuTaa jhuuTi peet hamaari ho
Farz karo is peet ke rog meN saaNs bhi hum pe bhaari hoN
Farz karo is peet ke rog meN saaNs bhi hum pe bhaari hoN
Farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho
Farz karo bas yahi haqiiqat baqui sab kuch maayaa hoN
Lub per naam kisi ka ho, dil meN tera naqsha hai
Lub per naam kisi ka ho, dil meN tera naqsha hai
Aay tasweer bananey wali, jab sey tujh ko dekha hai
Aay tasweer bananey wali, jab sey tujh ko dekha hai
Be tere kya wahshat hum ko, tujh bin kaisa sabR-o sukooN
Tu hi apna sheher hai jaani, tu hi apna sehra hai
Tu hi apna sheher hai jaani, tu hi apna sehra hai
Neeley perbat, oodhi dharti, charoo.b koot main tu hi tu
Tujh sey apney jee ki khalwat, tujh sey mun ka maila hai
Tujh sey apney jee ki khalwat, tujh sey mun ka maila hai
Aaj tu hum bikne ko aay, aaj humarey daam laga
Yousuf tu bazaar-e wafa main, aik tikey ko bikta hay
Yousuf tu bazaar-e wafa main, aik tikey ko bikta hay
Lay jaani ab apne mun k pairahan ki girhaiN khol
Lay jaani ab aadhi shab hay, charoo.n taraf sanata hai
Lay jaani ab aadhi shab hay, charoo.n taraf sanata hai
TufaaN ki baat nahi hay, tofaaN aate jaate rehte hain
Tu ek narm hawa ka jhonka, dil k baagh main tehra hai
Tu ek narm hawa ka jhonka, dil k baagh main tehra hai
Ya tu aaj humai.n apna lay, ya tu aaj humara ban
Dekh k waqt guzarta jaa, koun abad tak jeeta hai
Dekh k waqt guzarta jaa, koun abad tak jeeta hai
Firda mehez fasoo.n ka parda, hum tu aaj k bandey hain
Hij’r-o wasl,wafa aur dhoka sab kuch aa j pe rakhta hai
Hij’r-o wasl,wafa aur dhoka sab kuch aa j pe rakhta hai
Kuuch de issey rukhsat ker,
Kuuch de issey rukhsat ker, kyoon aankh jhukaa li hai
Haan dar pe tere Maula Insha bhi sawaali hai
Iss baat pe kyoon isski ithna bhi hijaab aaey
Faryaad se be-behraa kashkol se khaali hai
Sha'ir hai to adna hai aashiq hai to ruuswaa hai
Kis baat mein achcha hai kis wasf mein aali hai ??
Aawara hai raahon mein duniya ki nigahon mein
Izzat bhi mitta li hai tamkee.n bhi ganwaali hai
Bakh-shish mein ta'aammuul hai aur aankh jhukaa li hai
Kuch dar pe tere Maula ye baat niraali hai
Insha ko bhi rukhsat ker Insha ko bhi kuch de dey
Insha se hazaaron hain Insha bhi sawaali hai !!!
Subscribe to:
Posts (Atom)