beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
tum bhii auron kii tarah mujh se judaa ho jaanaa
main bhii palakon pe sajaa longaa lahuu kii bondain
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa
Khalq kii sangzanii merii Khataaon kaa silaa
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa
ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
No comments:
Post a Comment