Ab bhe har december main
Mujh se pochty hain loog
kis liye december main
yun udas rehta hon
koi dukh chupata hon
ya kesi k jane ka
soog phir manata hon
app mere album ka safa safa dekhain gy
aaye dekhata hon zubt aazmata hon
sardion k mosam mai garm garm cofi k
choty choty sip ly kar
koi mujh sy kehta hai
haaye es december mai kis bala ke sardi hai
ketna thanda mosam hai
ketni yaakh hawain hain
ap bhe ajab shay hain
eti sakht sardi mai ho k etnay by-parwah
jeans aur t-shirt mai kis mazay sy phirty hain
shaal bhe mujhy dy di
Coat bhe ourha dala..
phir bhe kanpti hon main
chalye ab sharafat say pehan lejiye sweter
ap k liye maine
bun liya tha 2 din main
ketna maan tha us ko meri apni chaht par
ab bhe hr december mai uski yad ati hai
garm garm cofi k
chotay choty sip leti
hath gal par rakhy herat-o-ta'ajub sy
mujh ko dekhti rehti aur muskura deti
sookh-o-shang lehjay main
mujh sy phir wo kehti the
etnay sard mosaam main
aadhi sleaves ke t-shirt
MALE CHAUVINISM hai
es kadar na itraye
sedhay sedhay ghr jaye
ab ki baar jab aaye
blak trouser k sath blak high neck pehanye
coat dhang ka ly lein
werna mai kasam sy phr
Aisay routh jaoo gi...
samnay na aao gi
dhundhty he rahye gaa
pass bethay abu k ap suntay rahye ga
tabsaray siyasat par
cofi ly k kamray mai tu phr kabhe na ao gi
khali khali nazron sy ap in khaalaon mai
yunhi taktay rahye ga
aur by khayali par dant khaty rahye ga
ketni mukhtalif thi wo
sab sy munfarid thi wo
apni ek lagzish sy
maine kho diya us ko
ab bhe har december main uski yaad ati hai
sardion k mosam mai
garam garam cofi k
choty choty sip leti
gal hath par rakhy herat-o-taa'jub say
mujh ko dekhti rehti aur muskura deti
ab bhe har december mai us ki yaad aati hai ...!
No comments:
Post a Comment